Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.mera sawal hay kiya aurat gaher main boland awaz say azan iqamt or pore namaz boland awaz k saat ada kar sakti hay.gaher main ager bachay or sirf husband ho tu.

Answer: 1: Mard or orat k liye mustahab hai ke rozana ki wajib namazo se pehle azaan o iqaamat kahe. Or esa karna dosri wajib ya mustahab namazo k liye mashroo(yani jaiz) nahi hai. Iqamat kehna wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah # 903). 2: Subah Maghrib aur Isha ki namaz main aurat alhamd aur soora buland ya aahista aawaz say ,jaisa chahay parh sakti hay.laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par aahista parhay. aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur is kay ba-wajood agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat ki bina par namaz batil hay. jab kay zohar aur asar ki namazoon main mardoo ki tarah aihtiyat ki bina par wajib hay kay aahista parhay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah # 979,981) [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13706
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اسلام وعلیکم آغا صاحب کیا نماز کی تیسری اور چوتھی رکعات میں فقط ایک دفع تسبیحات اربع پھڑ سکتے ھیں

Answer: Jee han, Faqat aik dafa Tasbeehat e arbah perhi ja sakhti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail maslah #992). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14396
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Vah kaun sa Surah hai Quran mein jismein do bar Bismillah aata hai?

Answer: Quran main surah namal ke jis ke aagaz mai aik bismillah hai or us ki ayat #30 mai aik bismillah hai. (Ref: https://quran.com/27). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14566
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alikum Mara sawal ya k namaz ma phali surat dosri sy bari honi chayia ya phr randomly beh parh sakty hain

Answer: Zaroori hai k insan rozana ki wajib namazon ki pehli aur dusri rakat main pehlay surah e al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat karay aur ehtiyaat e wajib ye hay k aik mukammal surah ki tilawat karay. surah e waz-zuha aur surah e alam-nashrah isi terha surah e feel aur surah e qureesh ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai aik surah shumaar hoti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #965). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15257
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum mje yeh pochna tha main itne time say namaz parh rhi hun or mje yeh pata nai tha k namaz ki 3sri or 4thi rakat main tazbeh arba parhte hain to kia meri namaz galat hai iska kia hukum hai

Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al-hamd ya tasbeehat e arba parhi ja sakti he yani namaz parhne wala aik dafa tasbihaat e arba kahay. aur behter he keh tasbihaat e arba ko 3 dafa kahay. Is bina agar aap ne 3rd aur 4th rakat me tasbeehat e arba parhne ke bajaye Al-hamed parhi thi tab bhi aap ki namaz sahi hai. Q ke namaz ki 3rd aur 4th rakat me namazi ko ikhtiyar hai ke chahe to Al-hamed parhe ya tasbeehat e arba parhe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #992,996). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15646
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalaamu alykum warahmatullah.... Kya hum obligatory prayers mein musabbihat surah padh sakte hai... Agar haan toh tareke bata dijiye aap ki bohut meharbani hogi??

Answer: Jee han, parh sakte hain aur tareeqa wohi hai jo deegar surah parhne ka hai abatta zaroori hai ke rozana ki wajib namazon ki pehli aur dusri rakat main pehlay surah al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat ki jaye aur ehtiyat e wajib ye hay ke aik mukammal surah ki tilawat ki jaye. surah e waz-zuha aur surah e alam-nashrah isi tarah surah feel aur surah qureesh ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai aik surah shumaar hoti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #965,1005). [Updated on 31-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15888
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalm o alaikum puchna ye tha k farz namaz main Al hamd k bad kon kon si surah parhi ja sakti hey kyu k baz ayat main sajda wajib ho jata hey or zyda lambi sorah parhne sey bhi mana kia gya hey

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Pehli or doosri rakat men Al-hamd ke baad (wo 4 surah jin me sajde wali ayaat hain jaise surah sajda, surah hamem sajda, surah al-najam, surah alaq ke alawa) koi bhi aik surah jo aap ko yad ho parh sakte hain. jaise ke surah kausar, surah tauheed, surah aala, surah shams ya surah qadr wagera wagera..... albatta ehtiyat e wajib ye hai aik mukammal surah ki tilawat ki jaye. Aur lambi surah ka parhna bhi mana nahin. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #965). [Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19789
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: had rakaat mai kitni keraat zarori hai

Answer:

Id: 19864
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: ASAALAM U ELEKUM sir main pochna chah raha tha k bajumat namaz zuhar o asar main muqtadi khamosh hota he keya wo dil main allah k name ka wird kar sakta he

Answer:

Id: 22100
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Q1.Agar koi shakhs jaanboojh kar namaze jamat mein surae hamd aur sura padhe(jabki uski niyyat jamat padhne ki ho) to kya uski namaz batil ho jayegi jabki usko pata ho ki namaze jamat mein surae hamd sura nai padha jata. Agar woh aisa masala na jaanne ki wajah se kare to uski namaz sahi hogi ya nahin. Q2.Koi shakhs agar aisi jagah jaye jahan uski namaz qasr ho jayegi aur wahan se 4-5 dino ke baad apne watan wapas aye aur uski koi namaz qaza ho jaye to apne watan pohoncne par qasr padhega ya poori padhega. Q3. Sehme sadaat ke mustahiq kon afraad hain. Shariat ke hisaab se mustahiq kise kaha jayega.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!