Question: Agar Namaz ki teesri rakhat may Galati say Bismillah Phar lay toh Namaz batil to Nahein hoti hay.Sajdae Sahu Kurna paray ga is Galati ki Wajahat say. Tasbeehate arba Kay ellawa Namaz may tesrri aur chohati rakhat may Koi sura Phar suktay hay
Answer: 1: Aghr galti sy parha hy to namaz batil nahi hy. 2: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al hamd ya tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he. Yani namaz parhne wala aik dafa kahay aur behter he keh tasbihaat e arba ko 3 dafa kahay. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 992). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam kya akaile koi bhi farz namaz phade to jor se phad sakte hai
Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Surah Buland awaaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Maiyaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na jaanta ho to is soorat main namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah #979). (Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr Farz Namaz ki 3rd ya 4th rakat m Fathai k bad surat parh lein to kyaa ho ga usk jwab dy do??
Answer: Agar ghalti say parhi hy to namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1250 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr Farz Namaz ki 3rd ya 4th rakat m Fathai k bad surat parh lein to kyaa ho ga usk jwab dy do??
Answer: Agar ghalti say parhi hay to namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1250 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya 4 raqat kaza namaz me 3 aur 4 raqat me sirf sureh e fateha hi pade
Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al-hamd ya tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he yani namaz parhne wala aik dafa kahay aur behter he keh tasbihaat e arba ko 3 dafa kahay.qir (Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b maslah#992). [Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa agr imam k pichay sirri namaz prh rhy ho to pehli raqat mn tasmeeh prhna chahye ya tasmeeh mn b fatiah ki tarah khamosh rehna chahye?
Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabbat day jaate hain. Update on dated 15-10-19.
Question: Agar pbeli rakat m imam sahib surah. Fatima. Parhna xhoro kt Dai to Sana pRhne ha Y ahe Agar nahe to. Kb parhne ha
Answer: Zarori hai ke muqtadi (imam k pechey namaz e jamat perhne wala) Alhamd or surah ke alawa namaz ki sab cheezay khud perhe, or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 31th edition) [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Q2. Kia Namaz ki har rakat ma Surah Fatiha se pehley Bismillah parhna zaroori ? Q2. Namaz me jab hum Surah Fathih ky sath jo Sorah milaty to Surah shoro kerney se phely Bismillah Parhna chaheyi ya nahi.
Answer: Pehli aur dosri rakat me alhamd aur surah se pehly bismillah zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #965). [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalomoalkum. please i want to know whether i can recite surah ikhlas in every rkt either farz or sunnat but tarteebwise or not. thku for your kind answer.
Answer: Ruling 1007. It is disapproved to recite the same surah in the second rakʿah that one has recited in the first rakʿah; however, it is not disapproved if one recites Sūrat al-Ikhlāṣ in both rakʿahs.(Ref: https://www.sistani.org/english/book/48/2222/) [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA molvi sahib kya Quran Pak ki Dil m pwehny s wasy e sawab mily GA jasy zuban s perhy hn???
Answer: Qirat main boolna zarori hay, is se murad ye hay keh makharij k sath is tarah perha jaey keh koe shaks boolne wale ka kalam sun lay agarcheh sargoshi hi ho, faqat kalam ka dil main perh laian kafi nahi hay.(Ref: minhajus saliheen, jild#1, maslah#620) [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]