Question: As salamu Alekum janab maine ye sawal pouchna hai k quran o hadees ki roshni me zina ke bare me poori jaankarii dain?
Answer: Islam baqi asmani adian ki terah iffat aur pakisgi ki hifazat ka alambardar hai. Allah nai quran mai zina ki muzammat krtay huay surah bani israil surah # 17 ki ayat # 32 mai kaha hai k tum zina k qareeb mat jao yaqeenan wo qabil e nafrat burai aur bura rasta hai. Is k alawa hadees mai bhi is gunah ki bohat muzammat ki gae hai, Hazrat imam Jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k “zina krnay walay k lie 6 qism ki saza hain 3 dunya ki aur 3 aakhirat ki. Dunya ki sazain: 1)Zina sai chehray ka noor khatm ho jata hai 2)zina sai faqr o iflas ata hai 3)zina sai mout jaldi ati hai. Aakhirat ki sazain: 1)Zina sai Allah naraz hota hai 2)zina hisab ki sakhti ka sabab banta hai 3) zina hamisha ki dozakh ka sabab hai. mazeed farmaya k qayamat k din sab sai ziada azab mai wo shakhs ho ga jis nai apna nutfa haram rehm mai dala ho ga yani zina kia ho ga.” (Ref : Moharammat e Islam pg # 318-19)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalaamoalikum.... Maine zina kiya h magr intercorse ne kiya kise b aurat se kya ye b zina ha... Kya toba krne k baad b mahram ko zina ka karz ada krna hoga... Agr me zinah me aata hu to kufara kya h.
Answer: 1)Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) 2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada kia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mene Zajbat me aakar aek larke k sath zinnah kar liya he or mene meri mani nikal ne tak aesa kiya hai or ye mene 3 ya 4 bar kiya hai to plz muje batae k ye chij se kese bacha jaye plz iska ans jaldi dena.
Answer: 1)Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), 2)Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam o Alikum main jaanna cahta hu k agr ksi ko sae tareeqay sa maafi mangni ho to kia kea jay zina k hawalay sy..?
Answer: 1)Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), 2)Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Zina aur haraam me kitna farq hai? kya haraam b Gunaahe kabeera me aata hai?
Answer: 1-Har wo amal jiska terk kerna shariyat ki nigho main zarori ho, os ko haram kehtay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg #488) 2-Zina se muraad ye hoti hay k “ Baghair nikah k aurat ki sharam gaah(vagina or anus) main aala e tanasul(penis) ko dakhil kerna.Zina kerna gunah e kabeera hay.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=297396&id=503+ ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #30) 3-Har haram amal ko anjaam daina gunah hay laikin har haram kaam gunah e kabeera nahi hay.gunah kabeera ka zikr minhaajus saliheen, part#1, maslah#30 main zirk hoa hay.(( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #30) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ger muslim larke se nikah karna chahati hu kyoki us se bahut pyar karti hu or hame sath rehte hue 6 sal ho rahe h or hamare bich phisical realation ho gaye h ab main kya kar sakti hu,,. plz help me plz
Answer: Zina haram hay aur gunah e azeem hay.Musalman aurat kafir say nikah nahi ker sakti. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2362 and Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla #30) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mene ek shadishuda hindu ladki se sex kiya.zindagi me pahli bar apni biwi ke alawa me dusri aurat se sex kiya.me iski toba karna chahta hu.me kese toba karu?
Answer: 1)Zina karna gunah e azeem hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part #1, maslah #29) 2)Sab sai pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehad or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof kar lain jaisay sport, kitab perhna waghira, or har os cheez sai bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya islam me chodna haram hai
Answer: Zina kerna haraam hay or gunah e azeem hay..(Ref:Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1, masla #30). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar ksi aurat se ek bar zina kr leya jae, Hamal etc nhi hwa , aur Allah toba kr li jae tb, us aurot ke beti se nikah jaiz ha ya nhi
Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala ki lerhki k alawa kisi or aurat se zina karay tu ehtiyaat e mustahab ye hay k oski baiti k sath shadi nah karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2361). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam alaikum Apni biwi ki Bahn kay saath Razamandi say zinna kiya to kiya hukum hay. Doosra sawal Apni biwi ko Oozoo tanasul mouth may dainay kay kia hukum hay.may yeah doono Ghunnah kaar diaaya hay.iss ka kuffara baata deejia. thank you.
Answer: 1)Zina karna islam mai gunah e kabir mai shumar kia jata hai. Aur zina k alawa jab aik aurat sai nikah ki hua ho to os ki behan sai nikah krna bhi jaiz nahi hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 29)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2355) 2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada kia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=864 ) 3)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)