Question: i m five months pragnent kya mai abi nikah kr skti hu osi larke k sath
Answer: 1)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is ke liye ehtiyat e wajib ye hay k wo us aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain (Ref: Jadeed Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) 2) Etiyaat e mustahab ye hay k agar koe shaks zina kaar aurat se jis se khud os ne ya kisi dosray ne monh kala kia ho shadi kerna chahay tu hiaz aanay tak sabar karay or haiz aanay k baa dos k sath shadi ker lay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shaadi ke baad agar biwi kisi aur ke saath hum bistari karey aur is the shawahid mojood hoon to kiya ahkam hain. Mazeed yeh ke agar biwi apne husband per kala jadoo karway aur us se husband ka karoobab/job ke bandish ho to kiya ahkam hain.
Answer: 1)Agar shohar daar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #2367) 2)Difa-e-Shaitaan aur Jado ke liye Surah-e-Ahraaf Ayat No 54 Parhay (Mafati Jinah pg#208) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: if a person commits zana. tu os k liye kafara kya hai. or insaan agar allah sai maafi mange tu kya ye gunah maaf ho sakti hai. plz reply.
Answer: Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya mami k sath sex jaiz ha
Answer: Jee nahi.bivi k alawa kisi bhi mehram ko lazzat k iraday se chomna ya kisi na-mehram aurat ko chooma or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah hay or aap per is amal ki tauba kerna wajib hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#15 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: qibla agar koi apni chachi se zana kr dale to uski had mukarar ya koi tareeqa btayein jis se kalbi skoon ajaye
Answer: 1)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 2)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mufti sahab mera sawal ye hai k main hk main rehta hoon yahan main aik larki se shaadi karna chahta hoon magar shaadi se pehlay mujh ghalti sarzad ho gai hai aur wo larki pragnant ho gai gai hai aisi halat main hamain kiya karna chaye?
Answer: Is sawal k kuch pehlu hein 1) Agar koe shakhs kisi aisi aurat se zina karey jo be sohar ho magar iddat me na ho to ethiyaat e wajib ki bina per toba karne se pahle is se shadi nahi kar sakta. 2)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: if a husband is in sex relation with his sister in law (saali),thn wht is his status of nikah with wife.
Answer: 1)Sohar gunahgaar to he magar nikah me koe faraq nahi perhay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
Question: agr koi shakhs apni chachi se zana kr bethte to kia mafi ho skti ha k nai plz rep agr dunya mein koi saza ha to btaen take roz hashr bach jayen
Answer: Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay.or isi liay kaha gaya hay k “nidamat hi tuba hay”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k terk k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shaks zaroor bil zaroor apnay pichlay gunaho ka izala or tadaruk kerta hay.agar os ka hunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zarori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day.taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazimhay.albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zarori hay k dobarah tauba karain.kun keh Khuda kareen or meherban hay.or bakshnay wala hay.or tauba kernay walo ko doost rakhta hay.hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay.or isi liay hadees main ayay hay: “tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se per haiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay”( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) .
Question: kea zina dekhna bhi haram hy?
Answer: Jee haan.fehesh manazir chahay wo ba-rahay raast hoon ya television per hoon, shehwat ki nigaah se on hain daikna jaiz nahi balkeh ehtiyaat wajib k taur per kisi terah se bhi(agarchah baghair shehwat k ho) daikhnay ko terk kerna chahiay.(A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya saggi bahen jo shadi shoda ho usse se zina karne se uska nikah toot jata hai. Use kya saza dena chahiye
Answer: 1)Is aurat ka apnay shohar se nikah na tu batil hoga or nah hi totay ga.(Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). 2) Zina kerna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #30, eidition # 1st ). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).