Question: ZIna ki real meanings kia hai? i mean zina ki definition ( تعریف ) kia hai???
Answer: Zina karna yani aurat k sath bagair nikah k jinsi khowaish puri karna. (Ref : Qamoosul waheed pg # 721)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Zina ki definition kia hia? I mean Zina ki تعریف kia hai?
Answer: Zina karna yani aurat k sath bagair nikah k jinsi khowaish puri karna. (Ref : Qamoosul waheed pg # 721)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mera swal ye h ki.mai 1 ladki se bhot pyar karta hu. hum sadi bhi kre ge. lekin mane us k sath sex kar liya or condom nhi lgai. ab mujhe dar h ki khi vo pregnent na ho gaye. koi home solution na btaye. plzzz... jaldi btaye.. plz..
Answer: 1)Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 72) 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) 3)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. Note : Agar zina sai kisi larki ka kawara pan khatam hua ho tu ye kawari hi kehlay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kiya mein apni bhabi k saht zina kar sakta hun
Answer: Zina ko gunah e kabeera mai shumar kia gya hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # masla # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asak, Roz e mahshar Allah S.W.T. zinakaro ko kaisi saza dega
Answer: Rasool allah ka farman hai.: zina karne wale ya wali k lie 6 kisam k azaanb hai . 3 kisam ka duniya me aur 3 kisam ka aakerat me . dunniya me 1) chere ka nor jata rehta hai 2) ghurbat ghair lete hai,3)mout qareeb ho jate hai aur aakerat me 1) khuda ka ghazab nazil hona 2) hisaab ki sakte 3) jehanum ki me hamesha jalta rahe gha . in k pass se aise saak badbu aate hoghi jis se tamaam ahle mehshar izziat mehsoos karen ge or sab log in zina karne walo per lanat kar rahe hoge(ref: taufa tul awaam , pg: 253) Ghuna karne wale ko chaie k wo Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada hia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b.http://sistani.org/index.php?p=827020&id=864 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir ek larke ne mujh french kiss ki ha nd me bht sharminda hn kya shdi ke bad ise meri us life par ki asar pare ga ya meri new genration par koi asar pare ga and ise ki mafi kaise ha?????
Answer: 1)Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagir intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) 2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b.)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: zina karna haram hai too kiya zina nahi karna chaiye too per child kesie ayega
Answer: shadi k baad intercourse(jima/sex) kea jae tou jaiz hai aur gunah nahi hai laikin wohi kam agar shadi k bagair kea jae tou zina kehlata hai aur gunah hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 2386)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mera sawal ye hai ke kia koi apni saas ke sath humbistire kar sakta hai agar uski saas raazi ho ? plz answer jaldi sir
Answer: jee nahi saas,maa ki tarha mehram hoti hai aur us sy hambistri krna haram hai (chahay wo razi bhi ho) aur ye zina kehlaey ga.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2349 Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla #30)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aswlkm zina k baray mai sai detail btain?
Answer: Islam baqi asmani adian ki terah iffat aur pakisgi ki hifazat ka alambardar hai. Allah nai quran mai zina ki muzammat krtay huay surah bani israil surah # 17 ki ayat # 32 mai kaha hai k tum zina k qareeb mat jao yaqeenan wo qabil e nafrat burai aur bura rasta hai. Is k alawa hadees mai bhi is gunah ki bohat muzammat ki gae hai, Hazrat imam Jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k “zina krnay walay k lie 6 qism ki saza hain 3 dunya ki aur 3 aakhirat ki. Dunya ki sazain: 1)Zina sai chehray ka noor khatm ho jata hai 2)zina sai faqr o iflas ata hai 3)zina sai mout jaldi ati hai. Aakhirat ki sazain: 1)Zina sai Allah naraz hota hai 2)zina hisab ki sakhti ka sabab banta hai 3) zina hamisha ki dozakh ka sabab hai. mazeed farmaya k qayamat k din sab sai ziada azab mai wo shakhs ho ga jis nai apna nutfa haram rehm mai dala ho ga yani zina kia ho ga.” (Ref : Moharammat e Islam pg # 318-19)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Zinna ka kuffara mum kin hai? Agar hai to kya hai? Koi agar sachay dil se sharminda ho or kuffara Ada kerna chants ho to kya kare?
Answer: Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).