Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5446
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is zana?

Answer: 1)Zina karna yani aurat k sath bagair nikah k jinsi khowaish puri karna. (Ref : Qamoosul waheed pg # 721) 2)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager kisi larki k sath zinnah keray or phr mafi mang ker us say shadi kerna jaiz hay ya nahi ???? plz jawab jaldi dayga

Answer: 1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayatullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr bap beti ko apne sath burai krne ka kahy to us k liye kya hukm

Answer: Zina hai aur haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me aik larke k sath pyar krta hon me osk sath sex krna chata hon kia islam me sex jaiz hai

Answer: 1)Zina karna gunah e azeem hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part# maslah #29) 2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir,kia larka larkey key sath lip kiss kr sakta hai ?

Answer: Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k yani kiss karna wagira zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5676
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bagher shadi k bacha pada karna? pakistan may is ki kiya saza hai is par kiya fatwa lag sakta hai

Answer: Zina karna haram hai aur is k zariay jo aulad ho gi wo haram zada ho gi. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 29)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5715
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir ki hum ek bar zina kar ha.. or phr us k bad allah say mafi mag lay ..kia allah hum ko mafi day ga hum ko...

Answer: 1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). 2)Sachay dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5731
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya sali k sath sex se nikah khatam ho jata hai? kiya sali se sex mai andar na dala jay to bhi nikha khatam ho jata hai? kiya sali ke nazuk jaga ko suck kiya ja sakta hai aur us ke hathoon mai discharge ho sakty hai?

Answer: Sali sai sex karna haram hai magar is sai biwi haram nahi hoti hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 29) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5854
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia kisi ajnabi mard ki mani kis aurat k reham mai dalna jaiz hai aur kia ye amal bhi zina shumar kia jae ga?

Answer: Aisa karna jaiz nahi hai magar ye amal zina k hokum mai nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5855
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik shakhs nai kisi aisi aurat sai shadi ki jis nai zina kia tha aur mard nai ye baat jantay huay bhi os aurat sai shadi kar li, aurat apnay mazi par sharmindah hai ab shohar par kia hokum hai?

Answer: Shohar par koi zimedari nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!