Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16820
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: جناب ایک شادی شدہ عورت سے زنا کیا اس سے ایک بچی ب پیدا ہوئیں اگر وہ اپنے شوہر سے طلاق لے لے تو کیا میں اسے نکاح کر سکتا ہوں اس کا شوہر اس کے حقوق پورے نہیں کرتام

Answer: 1: Aurat ka apne shohar ke alawa kisi aur se jismani talluq rakhna Haram or ghunah e kabira hai. 2: Ehtiyat e wajib ki bina aap us se nikah nahin kar sakte Q ke agar shohar daar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne wale) par hamesha ke liye Haram ho jati hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2366). [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16839
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zina ki mafi kya ho sakti hai

Answer: 1: Zina Haram or ghunah e kabira me se hai aur is se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hota ho to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega Q ke Parwardigar ne Quran me wadah kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407. + sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17262
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kam Umar bachi k saat zina Ka Kia saza hai

Answer: Zina chahe kam umer bachi se kiya jaye ya bari umer ki aurat se kiya jaye dono soorton me ye Haram aur ghunah e kabira hai. Aur kabira ghunah se muraad ye hai: baaz mufassreen ne un gunaahon ko kabira qarar diya hai jin par quran Majeed mein azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai. Isi tarah baaz hazraat ka yeh kehna hai ke ghunah e kabira woh ghunah hai jis ke irtikaab karne walay par ”had e sharaei“ jari hoti hai. lekin sab se behtar yeh hai ke hum yun kahen ke baaz ghunah ko Kabira kehna khud is ke azeem honay par Dalalat karta hai, lehaza jis ghunah mein darj zail sharait mein se koi aik shart payei jaye to woh ghunah kabira hai: 1. Jin gunaahon par azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai. 2. Jin gunaahon ko quran o sunnat mein aham qarar diya gaya hai. 3. Jin gunaaho kon sharaei manaabe mein ghunah kabira se bhi azeem qarar diya gaya hai. 4. Jin gunaahon ke baray mein muatabar riwayaat mein kabira honay ki wazahat ki gayei hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Link: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62027&lid=4&mid=60134&catid=6478 ). [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17369
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a! , mera sawal ye hai kay agar mard ki sharamgah aurat ki sharamgah kay sth touch ho or shak ho kay uska monh thora sa aurat ki sharamgah mai gia ho to kia ye zana mai ata hai ..mukamal intercourse na howa ho...

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. Aur zina Haram or ghunah e kabira hai. Lekin agar is miqdaar ke daakhil hone me shak ho to ye zina to nahin kehlaye ga lekin is ke baawujood bhi na-mehram mard aur aurat ke choone ke aitebaar se ye kaam Haram or ghunah e kabira hoga. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17555
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi kisi ke sath zina kare unki marji k bagir jab wo so rahi ho aur use pata hi nahi ke uske sath maine zina kiya hu to kya tauba ke liye mujhe us ladki se bhi mafi mangni zaroori hai

Answer: 1: Us se maafi mangna zaroori nahin hai lekin sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kar lain to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 2: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010) [Updated on 19-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17714
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kyo biwi sohar ki ijaat se zina kar sakti hai

Answer: Nahi kar saktay khud Zina karna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30). [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sallam ak aurat say zina k bad us aurat ki bathi k sath nikah karsakte hai plz answer

Answer: Agar wo aurat (jis se zina kiya hai) khala ya phuphi nahin hai to us ki beti se shadi kar sakte hain. lekin behtar ye hai ke us ki beti shadi na karay. Lekin agar wo aurat (jis se zina kiya hai) khala ya phuphi hai to phir us ki beti se ehtiyat-e-wajib ki bina par shadi nahin kar saktay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2359,2361). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19074
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam o alikum .Agar koi mard kisi larke se zina kare to os mard ka beta ose larke sa nikah kar sakta ha?

Answer: Zaani (zina karne wale) karne wale ke alawa koi doosra shakhs us larki se nikah kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2364). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19241
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Kisi ladki ka rape ho gya ho past ma or jis sy aus ki shadi honi hai aus ko pata chal jahai toh Kya larka aus ladki sy shadi kar sakta hai

Answer: Zina karne wale ke alawa koi doosra shakhs us larki ke sath shadi kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #2364). [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Meri magni hoi but hum dono ki ki mulqat mein agye sy sex ho gya us is Amal ka irada ni tha back side Sy krta howy agye dakhol ho gya kia is Amal KY bad hamra nikah ho ga ya ni or is KY koi ettiyaat adha krny pary gye

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh aur aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glans penis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vegina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. ye zina kehlata hai. aur aisa karna Haram or Ghunah e kabira hai. 2: Zina kise kehte hain ye bayan kiya gaya ab agar is tarah ka kaam kiya hai to ehtiyat-e-wajib ki bina par larki ke tauba karne se pehle larka us se shadi nahin kar sakta Q ke agar koi shakhs aisi bay shohar larki ke sath zina kare jo iddat main nah ho to Ehtiyat e wajib ki bina par zaani is larki ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti, ehtayat-e-wajib ki bina par wo larka is larki se shaadi nahin kar sakta). 3: Jo shaks shadi na karne ki wajah se haram kaam (jaise zina) me mubtela hota ho to us par wajib hai ke shadi kar lay. 4: Chunke zina karna Haram or Ghunah e kabira hai lehaza zaroori hai ke sharmidagi ke sath aur sachay dil se Allah taala ki barghah me tauba kar lain to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur aap bhi yaqeenan bakhsh dega. 5: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1439 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2364,2407). + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!