Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14641
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mummy papa ke allow karne pr kya beta apni ma or bahen se sex kar skata hai

Answer: Jee nahin, Yeh Haram or gunahan e kabira men se hai Q ke Maan, Behan, Beta, Bhai ye sab apas men mehram hen or unk darmiya is qism k taluqat jaiz nahin hen, Jo mard aur aurat apas mai mehram hon agar wo lazat ki niyat rakhtay hon aur haram mai mubtila honay ka khof ho to badan ko chhoona yahan tak ke dekhna bhi haram hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #13). Us bete par shadi karna wajib hai Q ke Jo koi shadi nah karne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay ke shadi karay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42: Maslah #2407). [Updated on 10-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14780
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamoalekum agar kisi shkas se bina shadi kiye bina ladki pragnent ho jaae to uski kya saza hogi, aur use kya karna hoga is gunha se bachne ke liye

Answer: 1: Na mehram ke sath hambistari karna zina kehlaye ga Aur zina karna haram aur gunahan e kabeera main sai hai. (Ref: Minhaajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1439 hij, Maslah #30). 2: Sachay dil se toba ki jaye, Aur Hazrat Rasool Allah(s.a.w.w) se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (surah #66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main toba ki jaye. (Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #37). 3: Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu apnay aap ko is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahin donga. or hamaisha yaad rahe k Allah har waqt daikh raha hay or is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15046
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کسی سے زنا ہو جائے وہ اُس کی سزا چاہتا ہو تو اُسے کیا کرنا چاہیے کیا وہ شخص خود کو کوڑے مار سکتا ہے؟

Answer: Jee nahin, balkeh Aap Allah taala se sachay dil se maafi talab karen, Sab gunah maaf ho saktay hain agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai q k parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay or isi liay kaha gaya hay k nidamat hi tauba hay or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain kyun keh khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay or tauba karnay walo ko doost rakhta hay hadees e shareef main hay k aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay or isi liay hadees main aya hay tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k khuda hazir or daikhnay wala hay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b,) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766 + (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated 17 08 2011).Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Kisi dosre ke saamne apne Gunah ka izhar karna jaiz nahin hay.(Ref: Mujtahid se poche gaey sawalaa, part #3, maslah #229). [Updated on 16-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15073
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera swal y h ky.main ksi sy zina main mubtla hun..lakh koshish ki h pr nikal hi ni pa rhi...allah sy darr b lgta h. prjb qo bulata h main khud ko rokk ni pati..main kya kron?

Answer: Tauba: ye hai ke Sub se pehlay sharmindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gi, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahi hain or Allah ki na-fermani ker rahi hain. Koshish karain k khud ko degar mufeed kamon main masroof ker lain jaisay sport, perhai, ghar ke kam kaj waghaira, or har os cheez se bachain jo Aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar wo khud par qabo nah paa sakti hon to roza rakhain Q k roza gunahon k muqabilay mai dhaal ka kaam karta hai.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15134
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ayk talaq yafta sunni lrki ka nikha ho gaya hy rukhsati nae hoi, or hm ne us k nikha k bad zina b kra hy, kia main us lrki sy nikha kr skta hon gr wo apna nikha khtm kr dy?

Answer: 1: Zina aik gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k zina karne wale khuda sai tauba talab karain. 2: Agar shadi shuda aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina kernay walay) par hamesha ke liye haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zaani (zina kernay walay) sai nikah nahin kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi. or agar tauba o istighfar nah kare or apne amal per baqi rahe (yani zinakaari tark nah kare) tu behtar ye hay k shohar osay talaq day day laikin shohar ko chahiay keh os ka meher use day. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2367). (Note: Ehtiyat e wajib ki bina par Aap dono nikah nahin kar sakte). [Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15329
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar bivi ko kafi saal k bad pata chaly k us k shohar ny kam wali bachi k sath zabardasti zinah kiya hai to us surat mai biwi ko kya karna chahiye, us sy us ki ulad bui hai ur wo shohar bowi sy muhabbat bhi karta hai

Answer: Zina aik gunah e kabeera hai, lehaaza lazim hai k zina karne wale khuda sai tauba karain. Laikin shohar aur shohar ki biwi aik dosre par haram nahin hote lehaza dono miyan biwi aik sath reh sakte hain aur aik sath zindgi guzar sakte hain.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2367). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15371
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr husband boly mery dos sa sex kro to kya ya jaiz hy islam mn plz jwab zrur dijiya ga

Answer: Jee nahin ye jaiz nahin hai aur shohar ke liye bhi ye jaiz nahin ke apni biwi ko kisi aur ke liye paish karey. ye gunah e kabira hai. (Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, masalah #30). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15383
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualikum hafiz saheb mai sawaal ye hai ke mere biwi kisi gair mard ke saath ham bistari kar chuke hai aur ek bar nahi balke kaye bar kya mai uske gunah ko maaf karke aage unke saath zindagi kar sakta hu pls help kare

Answer: Zina aik gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k zina karne wale khuda sai tauba karain. Agar shadi shuda aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina kernay walay shakhs) par hamesha ke liye haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zaani (zina kernay walay shakhs) sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi. lehaza dono mian biwi aik sath reh sakte hain aur aik sath zindgi guzar sakte hain. or agar tauba o istighfar nah kare or apne amal per baqi rahe (yani zinakaari tark nah kare) tu behtar ye hay k shohar osay talaq day day laikin shohar ko chahiay keh os ka meher use day. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2367). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sage baap beti ka rishta sex kar ne se khatam ho jata hay email kare faahkir@gmail.com

Answer: 1: Baap or beti apas me mehram hain aur mehram afraad ka aik dosre ke sath sex karna haram hai. or is se tauba karna lazim hai. lekin is se baap or beti ka rishta khatam nahin hota or wo baap or beti hi rahen ge. 2: Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye. 3: Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part # 3, Maslah #90,155, Edition 1427 hij. + Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #37. + (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) [Updated on 23-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ik zina kaar aurat mehr ki haqdaar hai ya nahi?

Answer: Zina bil jabr karne per zina karne wala mehr e misl ka zaamin hota hay. Agar aurat zina me mashoor ho to ehtiyat ki bina par us aurat k tauba karne sai pehle koi us sai shaadi nahin kar sakta, lekin jab wo tauba kar le or koi us se nikah karna chahe to use mehr dena zaroori hai. ( yani wo bhi mehr ki haqdaar hai ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani, edition #42, maslah #2364. Tauzeeh ul Masail Jaame, part #4, edition #1443, Maslah #217+ https://www.sistani.org/persian/qa/0930/#13016). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!