Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15718
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aap kisi unmarried ladki ke sath neend main zina karte hai toh kiya hota hai?

Answer: Is sawal ka jawab diya gaya hai [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15856
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum agar kise ko pata ho ka zina karna Guna hai fir be galti sa ho jaya tab ka usna phele be mafi maagi thi to usko 2 mafi Mila gi kya ???

Answer: Agar koi shakhs aik martaba zina ka gunah anjam de kar Allah taala se maafi mang lay to agar dobara usi gunah ko anjam de to zaroori hai dobara Allah taala ki baarghah me sachay dil se tauba talab kare. lehaza Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taala ki barghah me tauba kar lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur yaqeenan use bhi bakhsh degi. Aur tauba is tarah se ki jaye ke sub se pehlay shermindagi ka ehsaas kare or Allah se maghfirat talab kare or khud se ehed or wada kare ke is gunah ko dobara anjaam nahin de ga, or hameshah yaad rakha jaye ke Allah daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar wo shaitan ka hokum maan raha hai or Allah ki na-farmani kar raha hai. aur koshish ki jaye ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof ker le jaisay sports, study (parhayi), duniyawi kaam kaj waghaira, aur har us cheez se bache jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar khud par qabo nah paa sakta ho to roza rakhe Q ke roza ghunahon ke muqabilay main dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16022
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kapdon ke upar se ek dusre ki sharmgah touch karne se zina ho jata hai kya?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16043
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aik larki k Sath mai nai zina kia or wo virgin thi or aik dusri larki k Sath kia jo virgin ni thi .kia dono surton mai mjhy utna hi gunnah ho ga?

Answer: 1: Zina karna Haram or gunah e kabira hai chahe larki virgin ho ya virgin na ho. 2: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. 3: Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 4: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. (Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16095
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hi sir muj say gair muslim larki say zina ho gya tha abi wo apnay gahr chali gye hay us ko hamal ho gaya is ke liye kiya karon main bohat parshan hoin us ko 5 months ho gye hain

Answer: 1: Zina karna Haram or gunah e kabira hai chahe larki muslim ho ya gair muslim. Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. 3: Qarar e nutfa (yani mani ke rehem main thehernay) ke baad isqaat e hamal jaiz nahin hai magar ye khauf ho ke hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi ke liye nuqsandah hai to hamal main agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal me jan parnay ke baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahin hai. 4: Agar maan khud bachay ko zaya kare to is ki diyat maan par wajib hai aur zaroori hai ke wo diyat bachay ke baap ya doosray worsa ko day aur agar baap hamal ko zaya kare to is ki diyat baap par wajib hai aur zaroori hai ke wo maan ko ada kare agar geraane wala doctor ho to diyat doctor par wajib ho gi agarche doctor ne maan aur baap ki darkhaast par hi isqaat kyuon na kiya ho magar ye ke waris ise diyat maaf karde. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #72, pg #466. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16266
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi k bad agr Zina ho jaay tou IMAM (as) k aqwal ki Roshni mein iski Toba r kufara kaisy amaal kiya jaay ?

Answer: 1: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taal ki barghah me tauba kare lay to yaqeenan Allah taala, Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur ise bhi yaqeenan bakhsh dega. 2: Inssan jab tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi naadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izaala or tadaruk karta hay. agar us ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baarghaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab day. Or agar huqooq e naas (logon ke huqooq) os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se us haq ka apnay upar halal honay ki ijazat lay lay ya us ka haq us ko day day. Taubah faqat " Astaghfirullah " kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah k tark karnay ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobara tauba karay. Q ke Khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay. or tauba karnay walon ko dost rakhta hay. Hadees shareef main hay k: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or us ka apnay bandon par haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”. (Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 09-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meine zina kiya hai aur mein touba bhi ki bohat bohat sharminda hn mera ek dost hai usko.iska maloom hai wo mujhe bulne nhi deta aur mujhe touba k bad bhi aaisa dukh rehta hai k mujhe maafi nhi mile gi

Answer: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 2: Inssan jab tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay or haqiqi naadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izaala or tadaruk karta hay. agar us ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baarghaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab day. Or agar huqooq e naas (logon ke huqooq) os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se us haq ka apnay upar halal honay ki ijazat lay lay ya us ka haq us ko day day. Taubah faqat " Astaghfirullah " kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah k tark karnay ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobara tauba karay. Q ke Khuda kareen or meherban hay or bakshnay wala hay. or tauba karnay walon ko dost rakhta hay. Hadees shareef main hay k: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or us ka apnay bandon par haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”. (Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, tauba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16460
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khwab me zina krne pe ghusle janabat karna hota hai?

Answer: Agar koi Khuwab me zina karte dekhe to is wajah se ghusl nahin karna hota, Han agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij hui (yani ihtelam hua) hai to phir ghusl karna hoga. Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344). [Updated on 27-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16718
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zina ka kiya kafaara ha.

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. Aur zina Haram or gunah e kabira hai. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16812
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zina howa ho mgr gawa na ho is or kia kiya jay

Answer: 1: Zina Haram or gunah e kabira hai, ab agar is par koi gawah maujood na ho phir bhi is ke liye tauba karna aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. Aur parwardigar ne quran me wadah kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!