Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 70
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ayatullah khamnaie music ki ijazat dete hai kia ya kisi bhi tarah ki sur? agar dete hai tu us ki limitation kia hai?

Answer: Har tarah kay raag jo lahw aur suroor aawar hoon aur aish o noosh ki mehfiloon say munasibat rakhtay hoon haram hay.Ref:Jadeed Masail Part-1,Pg.55.

Id: 103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I have to ask is their any type of music allowed if yes then what tpye.

Answer: Salam un alaikum, Background music of dramas and music which is not related with music shows and concerts are permissible. Those kinds of musics which are related to the fisq o lahab are not allowed. Ref: Mujtahid Sey Pochey Gaye Sawalat Part 2 Ques. No. 217, 218

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 544
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya songs sunna haram hain ?

Answer: bismehi taala, gena insan ki us awaz ko kahete hain jis me utar chadhau aur tarb ho, niz lahw w laab aur ghunah ki nashisto se munasebat rakhti ho, in sefat k sath gana gana aur sunna haram he.

Id: 651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Allaikum, Kya Naat aur Hamd jis me Music ho sunna jaiz hai ?

Answer: w.s. agar music aysa ho k jo music show aur music concert se talluk na rakhta ho to sunna jaiz he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part 2 Aytullah Seestani (d.b.) page no.87 pub. by quran-o-itrat academy)

Id: 1107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam Are we allow to recite or listen to nauhas, marsia, manqabat and salam that are toned on music or song? What if we do not know the song means we dont hear songs? And what if we know it and we have heard it before???

Answer: Wo qasiday jo kisi khoob surat awaz me parhein jay lakin in me gina(song) ki kafiyat na ho to is me koe haraj nahi he . jo mosiqi mahafil e lahw o la’ib(bayhoda mahaafil) se munasibat na rakhti ho wo halal he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 557 pg # 281) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1176
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ganay sunna haram hai?

Answer: Gaana(song) gaana or sunna haram hay or gaanay say muraad wo bayhodah kalaam hay jo ehlay lahv o la’ib k maroof lah’n(melody/note) main gaaya jay.(Jaded fiqhi masail, maslah #550).

Id: 1479
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can we listen qwalli and gazal

Answer: Agar ye wo qalam ho jise aisi lae ya sur k saath gaya jaay jo lahu wa la’eb ki mehfil se makhsoos ho haram he aur us ka sunna bhi haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2043).

Id: 2124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is listening to qawali jaiz??

Answer: Agar ye ghina shumar ho to haram he. aur ghina se muraad wo batil kalam he jisay aisi lay k saath gaya jay jo lahwo wo laib ki mehfilo se makhsoos ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2043 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If I listen to a song which is not associatd wit love n romance but instead motivates me to work hard n get determind for some purpose(not haram purpososes) then is it permisible to listen to that particular music??

Answer: Ager ye ese behoda kalaam per mushtamil ho jis ko ehl e laho o lab ki maroof dundh (jese gana ect) per pesh kiya jaraha ho to is ka sunna or gana haraam hai, or ager ye dono shartain na ho to jaiz hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 550 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 3145
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, mera sawal yeh hai k schools me jo poem music k sath parhai jati hai kya wo jaiz hai, music piano sy bjaya jata hai aur kya sports song jaiz hai.

Answer: Ghina haram hay or ghina se muraad aisi awazain hain jaisa lahw o la,ib or khail kood ki mehfiloon main nikaalne ka dastoor{riwaaj} hay tu wo haram hay.(Ref:A.Khoe(r.a),Tauzee hul masa,il, maslah#930). Haram mausiqi(music) wo hay jo bayhoda or tarb(yani aish o ishrat) ki mehfilo k saath munasibat rakhta ho. Agarchah kisi makhsoos sunnay walay k liay mutrib(yani aish o ishrat wali) nah ho.(Ref:A.Khoe(r.h),Al-masailul shariyah part#2, maslah#46). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!