Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4776
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agha sahab, mara sawal ya hay kah, Agarbati, Lobaan, Hassad kay patay, Bokhore etc ko ghar may jalanay ki koi sharie Ahamiyat hay, aur is ka kia faida hay. aur kon say din karna chahiyah. Ya is ka koi faida hi nahi. please explain.

Answer: agar agarbati, lobaan waghaira ka istemaal maal ka israaf na samja jaraha ho t o ye haram nahe hai ( laikin is k istemaal ko deen ka hissa na samja jaay ) ( ref: deenk ahkaam,aqasistani,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5392
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alekum.mujhe pochhna yeh hai k ek mard ya aurat ki lash pre ho to kese pta chaley ga wo musliman hain ye ghair muslim? musliman ki zahiry pehchan kya hai?

Answer: Wssalam o alykum, ager wo mayat ese ilaqe se mili ho jo musalmanoo ka ilaqa ho to us ko musalmaan mana jaae ga, or ager kafiroo ke ilaqe se mile to ager is ke musalmaan hone ka imkaan ho to ehtiyaat e lazim ki bina per is ko musalmaan mana jaae ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1, Maslah # before 303 , eidition # 1 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5957
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa, 22 weeks ka baby agr abortion ho jaye tu os ka jnaza jayez hai? aur kb jayez hoga agr paeda ho kr sans lay ? ya sans na lay tb b jnaza lazim hai.

Answer: 1)Agar aik bacha maa k pait mai 4 mahinay ya is sai ziada ka ho kar sakit ho jae to osay ghusl dena zaroori hai bal k agar 4 mahinay sai kam ka ho laikin is ka pura badn ban chukka ho to ehtiyat e wajib ki bina par is ko ghusl dena zaroori hai. in 2 suraton k alawa ehtiyat ki bina par osay kapray mai lapait kar bagair ghusl diay dafan kar dena chaheay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 547) 2)Namaz e janaza os waqt wajib hoti hai jab bacha puray 6 saal ka ho chukka ho (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 583)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6031
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: how we Calcifies if any woman death we do not is she muslim , hindu or kaffir or chirsten waiting for your good response.

Answer: Is sawal sai jo samajh aya hain os k mutabiq Agar koi miyat Islamic ilaqay sai milay to os par zahiran musalman ka hokum lagay ga aur agar wo kafir ilaqay sai milay to ehtiyat e lazim ki bina par os ko bhi zahiran muslaman mana jae ga. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # before 303) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6120
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q. Kia shia aqayid main Ghayibana namaz e janaza ho sakti hay or kisi sunni ki ghayibana namaz e janaza main shirkat kar saktay hain? Plz dalayil/ref kay sath answer kijie. Jazakallah!!

Answer: Namaz e janaza mai zaroori hai k namaz parhnay wala mayyat sai door na ho. Yani gayabana namaz e janaza nahi ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 583-97) Note : agar taqiyya ki wajah sai sunni ki aisi namaz e janaza mai shareek hona paray to shareek ho saktay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir agr non muslim country main lady dead body mill jaye to kaisy pata chaly ga k muslim hy ya non muslim?

Answer: Wssalam o alykum, ager wo mayat ese ilaqe se mili ho jo musalmanoo ka ilaqa ho to us ko musalmaan mana jaae ga, or ager kafiroo ke ilaqe se mile to ager is ke musalmaan hone ka imkaan ho to ehtiyaat e lazim ki bina per is ko musalmaan mana jaae ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #before 303, eidition # 1st ). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10095
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Walaikum, kya biwi 2 months pregnant ke waqt kisi rishtedaaro ke janaze ko shohar khanda desakte hai ya nahi

Answer: Jee haan de sakta hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 618 ) [Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10757
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mayyit ko ghusal k bad hath lagaya to kya mujh par ghusal wajib he?

Answer: Tinno(3) ghusul mokamal honay kay bad agar koi mayyit ko choay(touch) kar lay to us per ghusul wajib nahi hay. ( [Updated on 10-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10922
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, Kya shohar apni biwi ke mayyat ko gusal de sakta hai. Quran o hadees ke hawale se rahnumai farma deen. Jazak ALLAH

Answer: mard namehram aurat ko ghusal nahi de sakta hai aur isi tarah aurat na mehram mard ko ghusal nahi de sakti, lekin biwi apne shohar ko ghusal de sakti hai aur shohar bhi apni biwi ko ghusal de sakta hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 548). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11093
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam walaikum hazrat ..mera sawal bada nahi hai chota sa hai ..inteqal pe rishtedaaron ka zor zor se awaz krke chilla kr rona kya zaruri hai? Pata nhi main ye sahi puch raha hun ya galat bas mujhe janna hai.....

Answer: Ehtiyaat e wajib ye hay keh mayyit per rote waqt awaaz bohot buland nah ki jaey. (Ref: Ayatullah Khoe(r.a),Tauzeehul masail, maslah #644). Update on dated 25-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!