Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3997
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya roza rakh ke blood test karwa sakte hai?

Answer: Har wo kaam jo kamzori ka baa,is banay makhrooh hay, maslan khoon daina . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629) Note: Aam taur per Q k khoon test kerne k liay thorha saa khoon nikala jata hay or wo kamzori ka sabab bhi nahi banta tu ye kaam makhooh bhi nahi hoga or roza bhi durust rahay ga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6535
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya rozy ke halat may plucking kra skty hai?

Answer: Roze ki halat me plucking karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1883) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6574
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia roza ki halat main blood diya ja sktta hai

Answer: Roze ki halat me blood diya jasakta hai. lekin roze me har aysa kam karna jo komzori ka bais ho maslan khoon daina makrooh(na-psandeeda) hai .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553,1629 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7666
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum: sir kya hum roze ki haalat may koi body ka part pain kar raha ho to uspar koi balm lagasakte hai?

Answer: Rozay ki Halat me balm laganay me koi masla nahi. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roze ma blood donate krne sa roza toota ha ya ni....? aur ab roza chorne ka kia hukam ha ....?

Answer: G nahi, Roze ko batil to anhi krta lekin agr khoon dena jism ki kamzori ka baais bane to phir makrooh hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553,1629 Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roza kis tarah maqro hoota ha.... aur roza insan k kis kis hisa ka hota ha??????????

Answer: 1) Makhroohaat e roza main se kuch ehem makhroohaat ye hain: 1) aankh main dawae daalna or surma lagana jab k os ka maza ya bo halaq main pohanch jaey.2)har aisa kaam anjaam daina jo kamzori ka sabab ho maslan fasad khulwana or hammam jana. 3) khushboo daar butiyo(ghaas) ko songna. 4) aurat ka pani main baithna. 5) jo libas pehn rakha ho osay tar kerna. 6) daant nikalwana or har wo kaam kerna jis ki wajah se monh se khoon nikle. 7) tar lakrhi se miswaak kerna. 8) bila wajah pani ya koe sayaal cheez monh main daalna. Or ye bhi makhrooh hay k mani kharij hone k qasd k baghair insane apni bivi ka bosa le ya keo aisa kaam kare jis se shewat ubhre or agar aisa kerna mani k ikhraaj k qasd se ho tu os ka roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1666). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2) Aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa(parts of body) ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1004 , published by darul hujjah). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8726
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya roza ki halat me ksi qsm ki poetry se roza batil hta ay k nae

Answer: Roze ki halat main ash,aar perhna makhrooh hay, laikin ehl e bait (a.s) ki midhat main main ki gae shairi makhrooh nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1013 , Eidition 1430 hij). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8747
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia roza khushbu lagany se makru hota hy

Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 28-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8802
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can a person can hug and kiss his wife during fasting.

Answer: Ye makhrooh hay k mani nikalne k qasd k baghair insan apni bivi ka bosa lay ya gale mile ya koe shehwat angez kaam kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8816
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.. jee mera sawal ye hey . k rozey ki halat mey koi mard apni biwi ko choom (kiss) sakta hey or is k ilawa or pyar kar sakta hey.. milap to waisey bi haram hey..

Answer: Ye makhrooh hay k mani nikalne k qasd k baghair insan apni bivi ka bosa(kiss) lay ya gale mile ya koe shehwat angez kaam kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!