Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2811
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khaali Masjid main light jalani chahiye ya nahi?

Answer: light jalana mustahab hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 899 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 4735
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mara walad ghar may namaz parta hn ya sahe hai ya nahe masjad may namaz nahe parta aur kho tu bahana banata hn

Answer: Namaz ghar mai bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Is k alawa masjid mai ziada jana chaheay aur os masjid mai jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid k paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi na ho to os k lie masjid k alawa kisi aur jigha namaz parhna makrooh hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 880-884) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4998
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya raat ko shayari karna haraam/makrooh hai. agar hai to kyun.

Answer: Masjid mai aisay ashar parhna jin mai nasihat aur kaam ki baat na ho makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 901)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5237
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz-e Jamaat sai pehley ya baad mai namazi mustahib namaz parhtain hain is doran dusray namazi ba awaz batain kartain hain jo namazi ko distrub kartain hani Janab ye umal kia sahi hai kay nahi. mufasil jawab ki darkhwast hai. thanks.

Answer: Masjid mai dunyawi kamoo k baray mai batain krna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 901) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5254
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai aik shia larka hon mujhay Masjid mai janay k mustahabat bayan karain aur oski safai k baray mai Ayatullah sistani k maslay ki roshni mai bayan karain?

Answer: Masjid ko saf suthra rakhna aur is mai chirag(light) jalana mustahab hai, aur agar koi masjid mai jana chahta ho to mustahab hai k khushboo lagae aur pakiza aur qeemti libas pehnay aur apnay jootay k tal’way k baray mai teqheeq kray k kahi najasat to nahi lagi hai. is k alawa masjid mai dakhil hotay waqt pehlay right pair aur bahir nikltay waqt pehlay left pair rakhay aur mustahab hai k sab logo sai pehlay masjid mai aye aur sab sai bad mai niklay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 899)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhay aik sawal ka jawab dain mehrbani ho gi mera sawal ye hai k Masjid mai dakhil honay k baad koi khas namaz prhni hoti hai ya nahi?

Answer: Jab koi shakhs masjid mai dakhil ho to mustahab hai k 2 rakat namaz ehtiram e masjid ( ﺍﺤﺘﺭﺍﻢﻤﺴﺠﺪ )ki niyat sai namaz parhay (namaz e fajr ki terah) aur agar wajib namaz ya koi aur mustahab namaz prhay tb bhi kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 900)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera aik chota beta hai kia mai os ko apnay sath masjid mai lai kar ja sakta hon ta k oski achi tarbiat ho jawab dain?

Answer: Bachay ko 2 suratoo mai masjid mai lana makrooh hai 1: Jab wo bacha namazio k lie ba’is e zehmat ho. 2: Ehtimal ho k wo bacha masjid ko najis kr dai ga. Is k alawa bachay ko masjid mai lanay mai koi haraj nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 902)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5650
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Molana sb mre do bete hain ak ki umar 3 baras aur ak ki 2 baras h. Kia m jb fajr ki namza ke l uthta h un ko uthaon ya un ko shor don to sote rahen. Islami Hukm kia h. Kia is umer se bachn ko masjid le jaon.

Answer: 1) Mustahab hay k samajh daar bachay ko(yani os bachay ko jo buray bhalay ki samajh rakhta ho ) namaz perhne or doosri ibadaat baja lanay ki adat dali jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1370). 2) Aisay bacho ko masjid main dakhil honay daina makhrooh hay jo namazio k liay bais e zehmat ho ya ehtimaal ho k wo masjid ko najis ker day ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 902). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5829
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Masjid me raat me rukna aur sona kaisa , hadish ka ref. Bhi de.

Answer: Agar insaan majboor nah ho tu masjid main sona makrooh hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#901). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Masjid pe kabar hein tho udar na maz padsaktha ki nahi

Answer: Islam ki muqadis sharea`at men both ziyadad takeed ki gai hai k namaz men parhi jaye, dunya bhar ki sari masjidon men sab se behtr masjid_ul_Hran oe us k bad masjid_e_Nabvi hai or us k bad majid_e_koofa or us k bad masjid_e_bait_ul_Muqadis ka darja hai, Us k bad shehr ki jame masjid or us k bad muhalle ki masjid or us k bad bazar ki masjid ka number aata hai. (Aysi koi mana nahi aai hai agr masjid men Qabr men ho to masjid men namaz nahi pargh sakte)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 880)(Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!