Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7576
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo Alaikum Kia masjid men imam jahan imamat karty hain usi jagah wo apny shoes shopping bag men rakh k namaz parha sakty hain ?

Answer: Wssalam o alykum, Ager masjid ki behurmati hoti ho to jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 893 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7684
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikum mera question ye he ki womens ko masjid me jana q allow nhi h

Answer: Wssalam o alykum,Womens ke liye Masjid main jana jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 881 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager mere ghar k pass shia masjid na ho to ghar mei namaz parhna kesa amal hy...

Answer: Masjid k alawa ghar me bhi namaaz perhna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 880-81 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 9554
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bemari ki halat mein namaz ghar mein parhi ja skti hy ?

Answer: Beemari k alawa bhi namaz ghar mai parhi jaa sakti hai masjid mai namaz parhna zaroori nahi hai albatta mustahab e takeedi. (yani wo mustahab jis ki bohat takeed ki gayi ho)hai k namaz masjid mai parhi jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #880). Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hi Checking AGain

Answer: Alright Thank you

Id: 10118
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam alikum! Keya Ahly kitab masjid mai Aa Saqty hai?

Answer: Ahl e kitab ka masjid main dakhil hona ehtiyaat ki bina jaiz nahi. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0710/) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10703
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir, kia nonmusllim masjid k andar cleaning ki niyat say ja sakta hay?

Answer: Kafir or Ahl e kitab ka masjid main dakhil hona ehtiyaat ki bina jaiz nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0710/) [Updated on 04-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alekum kya masjid ki cheez ghar la sakte hai

Answer: jo qaleen waghera imambargah ke liay waqf kia gaya ho use namaz parhne ke liay masjid me nahi le jaya ja sakta khuwah woh masjid imambargah se mulhaq hi kyun na ho, lekin yeh maal imambargah ki milkiyat men ho to mutawalli ki ijazat se dosri jagah le ja sakte hain. isi tarah masjid ke liay bhi yehi ehkam hai. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail ,42nd edition, masla no #2654 ). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12415
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aj kalMasjidein band hai or mera kam marketing ka hai toh ghar se bahir hota hun toh ghr k ilawa or kaha namaz parh sakty hain?

Answer: Namaz tu aap kahin bhi parh sakty hai office wagaira mai masjid mai namaz parhna zaroori nahi mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 880). [Updated on 17-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12814
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAMUN ALYKUM MASJID ME SAHEN HONA JARURI HY ?

Answer: Masjid me sehen banana zaroori nahin hai. Masjid ka tameer karna aur aisi masjid ki murammat karna jo toot phot gae ho, mustahab hai aur agar masjid is qadar toot phot gae ho k is ki murammat karna mumkin na ho to osay gira kr dubara tameer kia ja sakta hai bal k agar masjid tooti phooti na ho tb bhi osay logo ki zaroorat ki khatir gira kr bara kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 898) [Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!