Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12926
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aik Musliman community kisi masjid ko aik jagah se shaheed kar ke dosri jagah tameer kar sakti hai. (agar masjid shaheed karny ka maqsad ghareeb aur maskeen musliman brothers ki bhalai ke liye ho)

Answer: 1-Agar masjid toot phoot bhi jaey tab bhi nah tu osay baicha jaa sakta hay or nah hi milkiyat or sarhak main shamil kia jaa sakta hay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani db, maslah#896). 2-ٓAgar masjid is qadar makhdoosh ho keh os ki murammat mumkin nah ho tu osay gira kar dobara tameer kia jaa sakta hay balkeh agar masjid tooti phooti nah ho tab bhi osay logo ki zarorat ki khatir gira kar wasee kia jaa sakta hay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani db, maslah#898). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15434
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir Masjid ke uper Ghar Banana Sahi hai ya flate ke nache masjid

Answer: is maamlay mai dekha jaaye ga k waqf karney waalay ne waqf karty waqt is baat ki niyyat ki thi ya nahi yaani aik zameen masjid k liyeh waqf karty waqt agar yeh niyyat ki gai thi k yeh zameen sirf masjid k liyeh hai lekin is k upar jitne floors hain wo masjid mai nahi hai tou upar ghar banwana kamray banwana sahi hojaaye ga lekin agar yeh niyyat na ki ho balke sirf ye kaha ho k yeh zameen masjid k liye hai tou ab upar jitne floors honge wo masjid hi honge or ghar wagaira nahi banwaya jaa sakta. (Ref: urwatul wusqa ayatullah seestani 1388). [Updated on 27-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q.koyie shaks ye dawa kerti hy ka ye masjid hamara hy aur cummiti nhi manti koi shaks khapa hoker ger may namaz perta hy to jaize hy?

Answer: Namaz, ghar me bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shareat me buhat taqeed ki gayei hai ke namaz masjid me parhi jaye. Is ke alawa masjid me ziyada jana chahiye aur us masjid me jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid ke parhoos me rehta ho aur koi wajah bhi na ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #880,883,884). [Updated on 11-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19189
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghair E Motakif (Jo Masjid Me Etekaaf Ki Niyat Se Nahi Gaya) Ko Masjid Me Khana Khana Or Sona Kaisa Hai.❓❔❓

Answer: Agar insaan majboor na ho to masjid mein sona, duniyawi kamon ke baare mein guftagu karna aur koi kaam kaaj karna aur aise ashaar parhna jin mein nasihat aur kaam ki koi baat na ho makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #901). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19281
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it compulsory or mustahab to pray in mosque

Answer: Mustahab hai aur Islam ki muqadas shareat me buhat taqeed ki gayei hai ke namaz masjid me parhi jaye. Is ke alawa masjid me ziyada jana chahiye aur us masjid me jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid ke parhoos me rehta ho aur koi wajah bhi na ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #880,883,884). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19762
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: phali masjid ka kya nam ha

Answer:

Id: 23724
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Masjid main jota pakar kr ly jana aur phir masjid main rakh kr wesy he Quran pak aur namaz parhna Sahi hai , kiun k log hath main jota pakar len to khana khany sy pehly hath dhoty hen k hota pakra tha lekin namaz aur Quran wesy he parh lety hen . islam kya kehta he es bary main plz jawab zaror den . Shukria

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!