Question: assalam u alaikukm jnab mara q ye hai k agar mani s pehle nikalne wali mazi pak hai to kia mian biwi khas hise ko kiss kr sakte hain k nai ?
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shadi ki pheli rat me ager larki ko bledding na ho to kya larki ne phely sex kea hoga jis ki waja se nai bledding hoi or kya ye laxmi hai bledding? Plz fast send ans me
Answer: She may have lost her virginity due to an accident or she may not have had the membrane from the beginning. In case, you stipulated in the marriage contract that should be virgin, you have the right to cancel the marriage. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : April 21, 2011). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kis aurat k lye apne shohar ki sharamgah ko chusna jaiz he ya ye 1 makruh r napak r najaiz amal he?
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam o alaikum janab mera sawal ye hai ki kya shauhar apni biwi ka doodh pi ssakta hai kya fiqah e jafariya me ye jaez hai aur mera dusra sawal hai ki kya hum apni biwi ke sath oral sex kar sakte hai meherbani karke mujhe jawab diye shukriya !
Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae.) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) 2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam alaekum mera sawal hai k keya biwi k sat peche sey (dubur )kar sakte hai . Please mera jawab agar mera email par bejde tu merbani hoga .
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mera sawall hai k kiya shohar apni biwe k sat peche sey kar sakta kiya astara haram hai our nikah tot jata
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (is se nikah khatam nahi hota hai.). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 1. mera sawal yeh hai ki, shadi ki pehli raat ko miya biwi ek dusre ki sharm gah ko chus sakte hai
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal ye hai k hamal tehrny k bad b.v se kab taq mubashrat ki ja sakti hai islam is bary mein kia kehta hai,,,,,,quran o hadis ki roshni mein batien shukria
Answer: Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5). Update on dated 14-12-2015. Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Biwi agr ko jaiz bt na manay to usko marna ya skhti krne ka tarika ha ya phr Islam koi or hll
Answer: Auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aaziat aur takleef na pounchay aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376). Update on dated 14-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamwalikum .sir meri ye problam hai ki jab main apni gf se phone pe bat karta hu to penis se taransarant liqid ata hai.ye kya hai.kya iske nikalne se gusul farz ho jata hai.aur iska ilaz bata de plz
Answer: 1)Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay). (Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67). 2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). Update on dated 14-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).