Question: jab bevi ke sath hambistare ke wakht ke ayat sed karye pliz
Answer: Hambistari ki dua: Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: ﺍﻠﻠﻬﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺑﻙ ﺘﺰﻮﺠﺘﻬﺎ ﻮ ﻔﻰ ﺍﻤﺎﻨﺘﻙ ﺍﺨﺬﺘﻬﺎ ﻮ ﺑﻛﻠﻤﺎﺘﻙ ﺍﺴﺘﺤﻠﻠﺖ ﻔﺮﺠﻬﺎ ﻔﺎﻦ ﻘﻀﻴﺖ ﻠﻰ ﻔﻰ ﺮﺤﻤﻬﺎ ﺷﻴﺌﺎ ﻔﺎﺟﻌﻠﻪ ﻤﺴﻠﻤﺎ ﺴﻮﻴﺎ ﻮ ﻻﺘﺠﻌﻠﻪ ﺸﺮﻚ ﺍﻠﺸﻴﻄﺎﻦ (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 4). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiya pechey se sex karna jaiz he tafseel se bataye
Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay). (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,masla#135). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiya biwi ko peechay se krnay se nikah tootta hai ya nai.aap nay kaha ye makroo hai kiya iss se nikha toot jata hai
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay aur is sai nikah batil nhi hota hai (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail-e-mutakhaba, maslah # 67) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah # 2335). Update on dated 04-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASALAM ALAIKUM MOLVI SAHAB MERI SHAADI KO EIGHT MONTHS HO GAI HAIN ABHI TAK AZDAWAJI ZINDAGI SAHI SAI HURO NAHIN HUWI KIYA HUM MIAN BIWI HAIN ISLAM KYA KEHTA HAI
Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari biwi ke liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho laikin is se nikah nahi batil nahi hota (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #2382). Update on dated 04-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya biwi k peeche dal sakty hy aur kya biwi ok apna peshab pehla sakty hay aur uska white jo nikalta hay pela sakty hy
Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) Rahi bat peshab ya orat ki us ratoobat jis ki taraf apka ishara hai to wo peena ya pilana haram hai q k ye najis hen or nijasat ko khana peena ya kisi dusre ko khilana pilana haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,masla#135). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: janab kea hum jis larki se shahdi karte hen os ka ager pehli rat blood nh nekalta ya ose koi taqlef nh koi b hoti tu tafsel se plz baten ke kea wo larki pehle kuch karwa choki ha tafselan baten
Answer: Jee nahi ye zaruri nahi hai, q k baaz oraton ka parda-e-bakarat(seal) sakht hota hai or baaz ka naram hota hai, is liye ye zaruri nahi hai k fucking(jimaa) se hi parda-e-bakarat phate balke ye mumkin hai k fucking se pehle hi orat k kisi amal(kam) misal kahain se jump marne ya kisi or ayse amal ki waja se parda phat jaye, lehaza ye zaruri nahi hai k yehi nateeja nikala jaye k is oarat se pehle yehi kam sarzad hua hai jis ki waja se blood nahi nikal raha ya dard nahi horaha. (Ref:Email Recive From www.sistani.org site of Aqai Ssitani d.b). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: apni bivi ka dod pi saktay hai
Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh na piya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kyw biwi ki pakhana ki side say b shohar sex kar sakta hoa or bewi ka doodh pe sakta hay??
Answer: 1) Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay). Update on dated 04-12-2015. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11). 2)Ehtiyaat Wajib ye hay k bivi ka doodh nai piya jay(yaani Halaq say neechay nai utara jaay) (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), E-Mail from Answers@najaf.org) , 3) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 04-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A O A kaya shoher aur bivi aik dosary ki sharam gah ko chat choos sakty hain plz reply
Answer: Sohar or biwi aik dosray ki sharamgah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgah sai niklnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 04-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya husband apni wife ka dood pee sakta hai bacha peda honey sy phale aur sugah reat ko sex karna luzmy hota haiplz reply your answer
Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hai, lekin agr shohar biwi ki breast ko suck Karen or moo men doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hai k biwi ka doodh na piya jaye ). Update on dated 05-12-2015. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) shadi ki raat ko humbistri karna lazim nahe Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liye hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota). (tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).