Question: assalam o laiakum janab meray husband bahar jana chahtay hayn.kaghzaat jama kara diyay hayn.ap koe waziifa bata dain jis kam ho jai. Allah iska ajar apko day.
Answer: wssalam o alykum, ager ap ke husband sura e nasar ko apna mamool bana lain to uhain her qadam per kaamyabi naseeb hogi.(Ref : nawaa e saleheen , pg # 27 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Aoa Meri pareshani ye hai Ke meri family mujhe badnaam karna chahti hai mujh pe gande ilzam lagati hai mujhe dunnia mei
Answer: Wssalam o alykum, Ap Rozana Namaaz e Subha ke baad Ayat ul Kursi se pehle ye dua ( aoozo bil-llahi al-wahidi al-majidi min kulli adowin wa hasidin) phare. (Ref : Nawaa e Saleheen , pg # 17 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: slam . mere father faimly k sath acha behave nahin karte . har wakt ghuse me rehte hain .meri walda k sath acha salook nahin karte . koi wazifa batain k un k dil me faimly k liye muhabbat paida ho
Answer: Wssalam o alykum, Sura e Maaeda (Sura no 5) ki ayat no 90 se 92 ko baad e namaaz e Jumma kisi bartan ya kagaz per shehad o zaafraan se likain, phir is (bartan ya kagaz) ko Aab e Baaraan (barish ka pani) se dho kar yehi ayaat 70 dafa tilawat kar ke is pani per dam karain, phir hafte ke rooz is pani se gehoon ka aata goondain or 3 jumme tak is aate se banai hoi rotiyoon se us shaks ko nashita karaain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 47 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mujhy sakon ni ha main har waqt bechain rhti hun dil ni lgta kisi kam main or udas rhti hun parashan rhti hun raat ko bury khawab aty hain aksar koi hal bataye
Answer: Sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko shuro se pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 us hi ayat ko phar ka dua maangain jis ko 1st din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain. 41 martaba pharne wali ayaat : Sura e Al-Hamd (Sura no 1) ayat no 4 pharye is ke baad ye dua pharni hai allah umma an taqziya hajati (or apni hajatoo ko Allah Qadir o Tawana se bayaan karte howe us ke lutf o karam ki umeed rakhain). (Ref : nawaa e Saleheen , pg # 49 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalam -o-alikum mera Question ye h k hamara ghar sell nahi ho raha kafi arsay se sell p lagaya howa h lekin ghar nahi sell ho raha koi aisa wazifa batean k Allah ki madat se ghar sell hojaye.
Answer: Wssalam o alykum, sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayaat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko shuro se pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 us hi ayat ko phar ka dua maangain jis ko 1 din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain. 41 martaba pharne wali ayaat : Sura e Al-Hamd (Sura no 1) ayat no 4 is ke baad ye dua pharni hai allah umma an taqziya hajati (hajat ki jaga per Allah Qadir o Tawana se ghar ke sell hone ki dua maangain).(Ref : nawaa e Saleheen , pg # 49 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: aslam-u=alaikum... meri aapi ki shadi papa k czn k sath hui h woh hmari n papa logon ki zraa c v respect ni krte galiyan nikalte hen na e humari koi baat mante hen na e papa logon ki hum bot pareshan hen... pleeez eska koi hal btaa den.... thn'x :)
Answer: Wssalam o alykum, Sura e Maaeda (Sura no 5) ki ayat no 90 se 92 ko baad e namaaz e Jumma kisi bartan ya kagaz per shehad o zaafraan se likain, phir is (bartan ya kagaz) ko Aab e Baaraan (barish ka pani) se dho kar yehi ayaat 70 dafa tilawat kar ke is pani per dam karain, phir hafte ke rooz is pani se gehoon ka aata goondain or 3 jumme tak us aate se banaai gaae rotiyoon se us shaks ko nashita karaain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 47 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: assalam o alikum meri pareshni ya hai ky mera paper ka result watig hai 1month se jada hogya abi tak result nahi ayea mai diploma ky or b tec me admison lema koi dua batyea ky jadi se reslt ayea or b tech me admisom ho kise ache collge
Answer: Wssalam o alykum, sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayaat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko shuro se pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 martaba us hi ayat ko phar ka dua maangain jis ko 1 din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain. 41 martaba pharne wali ayaat : Sura e Al-Hamd (Sura no 1) ayat no 4 is ke baad ye dua pharni hai allah umma an taqziya hajati.(Ref : nawaa e Saleheen , pg # 49 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: Plzzzz mje iska jawab dijye me bht tension me.rehta hun
Answer: Ayat ullah kashmiri k mutabiq 7 roz tak agar surah e alam nashrah surah no 94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn wag hum door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu alayekum hazrat mera naam wasim ahmad hain or meri maa ka naam noor jahan hain Meri tabiYat kharab rahti hain or nokri k liye mehnat v kar raha hu fir bhi kamyab nahi ho raha plz istkhara kar muje bajha or ilaaj batadijiye
Answer: Wssalam o alykum, bimari ke liye Sura e Yaseen ko likh kar is ka pani piyain. (Ref : payaam e Shifa , topic # fazaail e Sura e Yaseen , pg # 70). Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Asslam o alikum ; Kafi time s mary sath hr kam bura e ho raha. qarz b bn gya mary pay. Sub naraz ho rahy mjhy s dost wgara. Mary is masly ka hal btain please
Answer: Jo kohe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajar pure hoghe. ( ref: payaam shifa, pg: 249) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)