Question: salam alaykum me aap ko is zehmat dena chahta hu sir rasool islam ke sahadat ke ba bibi fatima kitne din zinda rahe
Answer: Rasool e khuda s.aw.w ki shahadat k 75 ya 95 din k baad bibi zehra s.a ki shahadat hoe. Tafseel k liay is link per click karain. (http://airtaza.blogspot.com/2014/03/blog-post_6779.html ). Update on dated 03-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya hazrat muhammad (SAW) K walden jannat main jae gy ya jhanam main
Answer: Rasool e kareem ka nor jin aslaab o arhaam main muntaqil hoa, wo sab k sab musalman , mowahhid or Allah ki ibadat kerne walay thay, aap s.a.w.w. ka nor kisi aisay sulb I rehem main nahi raha jo kur o shirk ki gandagi se aalooda rahay hoon. (Ref:Tareekh e Islam, muallif syed najmul hasan sahib karaarvi,pg#46. Update on dated 15-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Rasool e khuda saw ka nikkah bibi khadija se kaab hua
Answer: Rasool e khuda or bibi khadija ka nikah 595 a.d mai hoa, rasool e khuda k ailaan e risaalat sai 15 saal pehle us waqt janab e khadija ki umre Mubarak 28 years ya 40 years thi or rasool e khuda ki umre Mubarak 25 years thi. (Ref: http://www.questionsonislam.com/article/prophet%E2%80%99s-pbuh-marriage-hazrat-khadija) . Update on dated 21-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: shehr e ALLAH kis mahine ko kaha jata hai qoitrat
Answer: Rasool (s.a.w.w) ne shahrullah maah e ramazan ul Mubarak ko kaha hai. (Ref:Khutba e shabaniyah). Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ya Rasool e pak ko zehar dya gya
Answer: jee is silsilay mai do riwayatein milti hai. 1.kheybar mai yahoodi aurat ne zeher dia tha jis ka asar bohat dair sai hota tha (slow poison) or us ka dard rasool allah ko har saal uthta tha. 2.Doosri riwayat ye hai k jab rasool e khuda aakhri ayyaam mai kaafi aleel they tu dawai k sath zehr diya gaya tha.(Ref:chaudaÚ¾ sitaray, pg# najmul hasan qararvi). [Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pbuh kiwiladat din k kis waqt mein hoi
Answer: Allama majlisi likhte hain k rasool e khuda 17 rabi ul awwal, 1 aamul feel baroz e jumma ba waqt e shab ya ba waqt e subah sheb e abi taalib mai paida hoe.(Ref:chauda sitaaray of allama najmul hasan karaarvi pg no 47). [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: HAZRAT MOHAMMED MUSTAFA SALLALLAO ALEYSSALAM ne kis sahaba se kha tha ki aap mere liye ese h Jaise Musa ke liye Harun the?
Answer: Rasool e khuda (s.a.w.w)imam ali a.s k liye kaha tha انتَ Ù…Ùنّی بÙمَنزلة٠هارونَ Ù…Ùنْ Ù…Ùوسی، اÙلّاأنـّه لانَبیّ بَعدی ye rasool e khuda ki hadees hai jis mai unhon ne imam ali sai kaha tha k aye ali tumhe mujh sai wohi nisbat hai jo moosa a.s ko haroon a.s sai thi siwaey is k keh mere baad koi nabi nahi aye ga.(Ref:http://www.alburhan.com/Article/index/8067) [Updated on 12-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zikar kah sy start hua h dunya m
Answer: jub khuda ne sub sai pehle rasool e khuda k noor ko khalq kia tou us noor ne sub sai pehle khuda ka zikr kia.(Ref:hayat ul quloob jild 2 baab (takhleeq e awwal e noor). [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Muhammad s.a.w.w.ne hajj kis hijri me kiya
Answer: 10 hijri.(Ref:https://darussalamblog.com/khutbah-hajjatul-wida/). [Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mohammad Sahab ka poora naam kya haiÛ”(Ref: http://ur.mobile.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81 ).
Answer: Hamare nabi s.a.w.w ka poora naam muhammad s/o abdullaah hay. [Updated on 04-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]