Question: Mohammed sallallahu Ala wasallam Kaun nabwat kab Mili
Answer: Hazrat Aadam(a.s) se leker hamaray nabi Hazrat Rasool Akram(s.a.w.w), tak jitne bhi anbiya e kiraam(a.s) duniya mein tashreef laye sab pedaishi nabi hain balke aalam arwah mein nabi thay jesa ke Quran mein hai ke 'aur jab Allah ne paighambaron se ehad liya ke jab mein tumhe kitaab aur hikmat ataa kar don phir aindah koi Rasool tumahray paas aaye aur jo kuch tumahray paas hai is ki tasdeeq kare to tumhe is par zaroor imaan lana ho ga aur zaroor us ki madad karna hogi, phir Allah ne poocha: kiya tum is ka iqraar karte ho aur meri taraf se (ehad ki) bhaari zimme daari letay ho? unhon ne kaha: Haan! hum ne iqraar kiya, Allah ne farmaya: pas tum gawah raho aur mein bhi tumahray sath gawah hon' yeh ehad o misaaq Allah taala ne paighambaroon se payghambaron ke liye liya hai ke saabiq nabi ka fareeza hai ke anay walay Rasool par imaan laaye. agar muasar (usi zamane ke) hain to tasdeeq karen jaisa ke Hazrat Loot(a.s) ne Hazrat Ibrahim(a.s) ki tasdeeq ki aur agar baad mein aanay walay hon to un ki aamad ki basharat den aur apni ummat ko un ki pairawi ki wasiyat kar jayen aur har aanay walay nabi ka yeh fareeza bantaa hai ke wo guzishta Rasoolon ki tasdeeq kare. Hazrat Ali(a.s) se manqool hai ke Allah taala ne hamaray nabi se pehlay aanay walay tamam anbiya se yeh ehad liya hai ke wo hamaray nabi ke maboos(مبعوث) honay ki khabar aur un ke fazaail apni apni ummton ko bayan karen aur inhen un ke aanay ki basharat aur tasdeeq karne ka hukum den. (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=3&ano=81 ). [Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nabi pak sawl Pala Muslim Kase kia tha
Answer: 1. Anas bin maalik kehta hai: paighambar e islam(s.a.w.w) do shanbeh (monday) ke din maboos ba risaalat hue aur Ali(a.s) seh shanbeh (tuesday) ke din islam le aaye, aur deegar ibaarat mein is tarah se aaya hai ke Rasool khuda(s.a.w.w) do shanbeh maboos ba risaalat hue aur Ali(a.s) ne seh shanbeh namaz parhi. is riwayat ko tirmizi ne kitaab jaame mein aur haakim ne mustadrik mein naqal kya hai aur ibn abi al-hadeed ne sharah nehjul balaghah mein is riwayat ko zikar kya hai. 2. Abdullah ibn abbas kehte hain: Ali(a.s) mein chaar aisi khaslaten paayei jaati hain jo kisi aur mein nahin paayei jaati. Ali(a.s) arab o ajam mein woh pehlay shakhs hain ke jinhon ne Rasool(s.a.w.w) ke sath namaz pari hai. 3. Salman farsi kehte hain: is ummt mein sab se pehlay hauz e kusar par paighambar islam(s.a.w.w) ki khidmat Ali(a.s) haazir honge aur Ali(a.s) hi sab se pehlay musalman hain. 4. Muhammad ibn abu bakar ne aik khat muawiya ko likha uss mein se baaz kalmaat yahan par zikar karte hain: Rasool islam(s.a.w.w) ki sab se pehlay dawat qubool karne aur un ki taraf anay walon ki tasdeeq karne aur un ke sath rehne walay aur sab se pehlay islam laane aur is ko tasleem karne walay aap ke chacha zaad bhai Ali ibn abi taalib(a.s) hain, Aap(a.s) hi sab se pehlay musalman honay walay aur logon se ziyada saadiq niyat thay, haif hai tujh par aye muawiya too Ali(a.s) ke sath qiyaas karta hai apne ko un ke barabar samjhta hai jabke woh waaris aur wasi e Rasool hain aur yeh bhi ke un ke beton ke waalid hain, Rasool islam(s.a.w.w) ki sab se pehlay itaat karne walay hain aur aakhir tak apne kiye hue ahad par baqi rehne walay hain, Rasool islam(s.a.w.w) ne un ko apne tamam asaraar o rumooz se aagah kiya hua tha aur apne tamam umoor mein un ko apna shareek qarar diya tha. 5. Imam Muhammad baaqir(a.s) farmatay hain: Allah taala par sab se pehlay imaan laane walay Ali ibn abi taalib(a.s) hain aur us waqt aap ki umar 11 giyarah saal ki thi. 6. Abuzar ghaffari, Jabir bin abdullah ansari, aur maalik bin haaris ashtar yeh tamam sahaba is baat ka iqraar karte hain ke Ali ibn abi taalib(a.s) hi sab se pehlay musalman hain. yeh ashaab aur tabaein ka kalaam hai ke jo is baat par dalalat karta hai ke Ali(a.s) ki shakhsiyat wo hai ke jinhon ne sab se pehlay islam qubool kya. (Ref: https://makarem.ir/main.aspx?typeinfo=23&lid=4&catid=25106&mid=252506 ). [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazoor pak ki kitni wife thi
Answer: Chand kaneezon ke alawa jihen maariya aur rehana bhi shaamil thien Aap(s.a.w.w) ki 11 biwiyan thien jin me se jinab e Khadija aur Zainab bint e khuzaima ne Aap(s.a.w.w) ki zindagi me wafat payei thi aur 9 biwiyon ne Aap(s.a.w.w) wafat ke baad inteqaal kiya. (Ref: Chauda (14) Sitaray, Allama Sayyid Najma ul Hassan Kararvi, Page #89). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nabi per Sabse pehle Wahi kid sureh ne nazil hui
Answer:
Question: Q..Rasool e pak s.a.w.w k pas jb jibrail a.s pehli ayat(wahi ) lekr ayay.tho aunho ny kia kaha..aor kia waqi Hazoor s.a.w.w parhna lekhna nai jantay thay.aor hmara yani shiy0n ka kia aqeeda hai.suni0n ka aqeeda yai hai k ras0ol ko 40.sal mai nabowat mili.hamara kia aqeeDa hai plzzZ.ANSwer Me.quicklY.THANkx.
Answer:
Question: A.A Janab me yeh pochna chahta hon k Hazoor pak s.a.w.w kitni betian thin? ahel e sunat hazrat ne poster chapva rakhy hen k hazoor pak s.a.w.w ki 4 betian hen aur unko na man'ny wala kafir hai, hmary aksr shia hazrat kehty hen k hazoor pak s.a.w.w ki ek he beti janab fatima s.a hen, haqiqat kia h? plz jawab zarur dain. thanks
Answer: