Question: huzur s.a.w.w ka pehla nikah kisne padhaya
Answer: Rasool (S.A.W.W) ka nikah Hazrat Abu Talib (A.S) ne parhaya tha . (Ref : 14 Sitare, By Allama Najmul Hassan Kararvi , Topic : Janab e Khadija (S.A) ke sath apki shadi khana abadi). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Who was second wife of easum e khuda saww after hazrat khadija
Answer: Hazrat muhammad saww ki doosri zauja janab e sauda (r.a) theen. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%AF%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%B2%D9%85%D8%B9%DB%81_%D8%A8%D9%86_%D9%82%DB%8C%D8%B3) [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Muhammad ebadth k leye kaha jatay tay
Answer: Wahi k aghazz se pehle nabi saww ibadat k liay ghaar e hira jaya karte thay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%DA%A9%D9%88%DB%81_%D8%AD%D8%B1%D8%A7%D8%A1). [Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humarey ghar quran meisy baal nikla. yeh kaisy pata chalay k baal hmra ha ya aima athar a.s meisy kisi hasti ka?
Answer: Ye maloom karna keh quran main milne wale baal masoom a.s k hain ya kisi aam insan k baal tu is ka asan tariqa ye hay keh on baalo ko jala kar daikh lain agar jal jain tu wo baal masoom k nahi haongay or agar nah jalain balkeh soney(Gold) ki tarah chamakne lagain tu wo baal masoom a.s k hoon gay. Ye jo hum ne bayan ki wo aik hades ka khulasa hay jo bihaarul anwaar or manaqib ibne ashoub main maujood hay.(Ref: Biharul anwaar, jild#49, pg#59-60[Biharrul anwaar jild#49 link: https://lib.eshia.ir/71860/49/59 , https://lib.eshia.ir/71860/49/60], Manaqib ibn e ashoub, jild#4, pg#348). [Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Muhammad na kitni saal ki umar mai nabuat ka ilan kia
Answer: Hazrat muhammad saww ne aylaan e nubobat 40 saal ki umar main kia. (Ref: https://www.imamali.net/?id=8023#_ftn1) [Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nabi e pak ki pehli shadi kis ke sath huwi
Answer: Nabi mUhammad (saww) ki pehli shadi hazrat khadija (s.a) se hoe. Ref:http://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81#.D8.B4.D8.A7.D8.AF.DB.8C) [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Muhmammad(saw) ko kis surat m ahmad kaha gia ha
Answer: Surah Saff surah # 61 Ayat 06 me he ke Hazrat Eisa (a.s) ne kaha ke mere bad aik nabi aai ga jis ka naam Ahmed hoga.(Ref: Al-Quran.) [Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: قرآن مجید کی کس سورت میں آیا ہے کہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ وآلہ وسلّم اللّٰہ کے رسول ہیں
Answer: Surah Al-Imran Ayat number 144 me hai ke Muhammad (saww) nahin hain siwaye rasool, aur Surah Al-Ahzab Ayat number 40 me bhi hai ke Muhammad (saww) tum logon me se kisi aik ke bhi baap nahin hain lekin Allah ke Rasool hain aur khatam un nabiyeen hain, aur Surah Al-Fatah ayat number 29 me to wazih tor kaha gaya hai ke Muhammad (saww) Allah ke Rasool hain.(Ref: AL-Quran) [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat rasule khuda ka bibi khatija ka nikah kab hua tah
Answer: Rasool e khuda or bibi khadija ka nikah 595 a.d mai hoa, rasool e khuda k ailaan e risaalat sai 15 saal pehle us waqt janab e khadija ki umre Mubarak 28 years ya 40 years thi or rasool e khuda ki umre Mubarak 25 years thi. (Ref: http://www.questionsonislam.com/article/prophet%E2%80%99s-pbuh-marriage-hazrat-khadija) . [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Mujhe ye poochna hai k syed shajra kaha se shuru hua. Kia hazrat Abu talib a.s ki aal olad bhi syed thy? Ya syed shajra BiBi Syeda s.a se chala?
Answer: Syed se murad wo shakhs hai k jis ka silsila nasab bap k zariye se hazrat hashim (a.s) jo (Rasool khuda k walid k dada hain) tak poochta ho.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1261, Eidition 1430 hij). [Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]