Question: جب آپء کی روح پرواز ہوئ تو آپ کا سرِمبارک کس کی آغوش میں تھا
Answer: wafaat k waqt rasool e akram saww ka sar e mubarak maula Ali a.s ki gardan or seene k darmiyaan tha. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81 ). [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiu abu talib ny rasool ko Muhamad ka name diya
Answer: Hazrat Rasool e Akarm(s.a.w.w) ka naam Hazrat Abdul Mutalib nay Allah taala ke hukum say Muhammad rakha tha. (Ref: Nuqoosh e Asmat page #21,22) [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hazrat Muhammad s a a w ka kabar Moubarak ki kaha hn or Hazart Muhammad s a a w ko kis nia dafnaya
Answer: Paigambar Akram(s.a.w.w) ke jism e mutahhar ko Hazrat Imam Ali(a.s) nay apnay khandan ke chand afrad ke sath mil kar G=ghusl aur kafan diya aur masjidun nabi men mojuud Aap ke apnay Ghar men supurd e khaak kiya. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81#.D9.88.D9.81.D8.A7.D8.AA ). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Huzrat Muhammad s.a.w.w ny apny inteqal sy kitny maah qabal huj farmaya?
Answer: Hazrat Muhammad (s.a.w.w) nay apnay inteqal say taqriban 2 maah pehle haj kia. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81). [Updated on 11-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: hujur sallallaho wale wasallam kya syed the?
Answer: Jee han. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Edition 1430 hij, Mafhoom e Maslah #1261). [Updated on 04-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muhammad nay elan nabuwat k bd kitny sal Makkah may guzary
Answer: Nabi kareen(s.a.w.w) ne Elan e nubuwwat ke bad 13 saal makke men guzare aur madine me 10 saal. Elan e nubuwwat ke bad Nabi kareen(s.a.w.w) ki kul zindgi 23 hai. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81 ). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, my question is that who give poison to Holy Prophet PBUH??
Answer: Is silsilay mai do riwayatein milti hain. 1. kheybar mai yahoodi aurat ne zeher diya tha jis ka asar bohat dair sai hota tha (slow poison) or us ka dard Rasool e Khuda(s.a.aw) ko har saal uthta tha. 2. Doosri riwayat ye hai k jab Rasool e khuda(s.a.aw) aakhri ayyaam mai kaafi aleel they tu dawai k sath zehr diya gaya tha.(Ref: 14 Sitaray, Maulana Syed Najm ul Hassan Kararvi, pg #88). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ke nazool ka zikr ap S. A. W ne sab se pehly kis se Kiya tha
Answer: Rasool e khuda saww ne sab se pehle nozool e quran ka zikr hazrat khadija sa se kia tha.(Ref: https://www.erfan.ir/urdu/20793.html) [Updated on 10-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran pak ki kitni ayat mn aqeedah khtm ka tazkra ha
Answer: Quran main faqat aik baar sorah ahzab ki ayat#40 main khatam e nubovat ka tazkira aya hay.( sorah#33, ayat#40). [Updated on 14-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام وعلیکم بھائی امید ہے آپ خیریت سے ہونگے میرا سوال یہ ہے کہ حضور صلی اللّٰہ علیہ وسلم کے سگے چچا ابو طالب ایمان لاۓ تھے یا نھیں ؟
Answer: Sub se pehli baat to ye hai ke: Janab abu talib(a.s) aik momin or tauheed parast insaan thay jinhon ne zindagi ke akhri lamhaat tak nabi e khuda(s.a.w.w) ko khuffaar e quraish ke shar se mehfooz rakha or islam ki taraqqi or paishtraft main sub se ziyada taawwun (madad ki) kiya. Aur tamam ulmaye shia aur ahal sunnat ke baaz buzurag ulama maslan 'Ibn abi al-hadeed' shaareh nahajulblagh ne aur 'qastalani' ne irshad-ul saari mein aur 'zaini dahlaan' ne seerat e halabi ke hashia mein hazrat Abu Talib ko momnin e ahal e islam mein se bayan kiya hai islaam ki buniyadi kitabon ke manabe mein bhi hain is mauzoo ke bohat se shawahid miltay hain ke jin ke mutalea ke baad hum gehray taajjub aur herat mein parh jate hain ke hazrat Abu Talib par aik giroh ki taraf se is qism ki be ja tuhmaten q lagai gayeen ? Jo shakhs apne tamam wujood ke sath paighambar e islam ka difaa kiya karta tha aur baarha khud apne farzand ko pighmbr e islam ke wujood muqaddas ko bachanay ke liye khatraat ke mawaqay par dhaal banadiya karta tha ye kaise ho sakta hai ke is par aisi tohmat lagai jaye yahi sabab hai ke diqat e nazar ke sath tehqeeq karne walon ne yeh samjha hai ke hazrat Abu Talib ke khilaaf, mukhalfat ki lehar aik siyasi zaroorat ki wajah se hai jo 'shajrah e khabisiya bani umayia' ki hazrat Ali(a.s) ke maqam wa martabe ki mukhalfat se peda hui hai Q ke yeh sirf hazrat Abu Talib ki zaat hi nahin thi ke jo hazrat Ali(a.s) ke qurb ki wajah se aise hamle ki zad mein aayi ho, balkay hum dekhte hain ke har woh shakhs jo tareekh e islam mein kisi tarah se bhi ameer ul momineen hazrat Ali(a.s) se qurbat rakhta hai aise no jawan mardana hamlon se nahin bach saka, haqeeqat mein hazrat Abu Talib ka koi gunah nahin tha siwaye is ke woh hazrat Ali(a.s) jaise azeem peshwaye islam ke baap thay. (Ref: link: http://urdu.duas.org/masoomeen/Hazrat_Abu_Talib.htm + link: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62032&lid=4&mid=61746&catid=6483 ). [Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]