Question: Saamun Alekum, Kaale Jute pahenne ke kya nuksan hain aur kisne kaha hai. Sistani Saheb
Answer: Was-salam. Kaaley jootey ka pehnna ayatullah seestani k nazdeek makrooh hona sabit nahi hay. (Ref: Mujtahid sai poochey gaye sawalaat hissa doum page# 44). Update on dated 28-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia muharram k elawa normal days me black clothes pehenna allow he? And black shoes also?
Answer: kaaley kaprey or jotay pehnna makrooh nahi hai chahey ayyam e aza ho ya nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se poochhe gaye sawalat , Part # 2, Ques # 84. Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Can i allowed to wear two silver rings with stones during namaz ?? Is there any restriction on the wait if the rings ??
Answer: Chandi(i.e silver) ki rings pehnne main koe ishkaal nahi hai lekin mard k liay sone ki anghooti pehnna haram hay or us k sath namaz batil hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41,maslah#820). [Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salaam walaikum Kala juta pehan sakte hai ya nahi
Answer: Kaley jotay pehnna makrooh nahi hai chahey ayaam e aza ho ya nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se poochhe gaye sawalat , Part # 2, Ques # 84. [Updated on 06-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Billi ka Bal agar libas pe ho to Kya Namaz ho jaey gi
Answer: Agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail jaame, part#1, maslah#995). [Updated on 14-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar billi ka Baal libas pe ho to Kya Namaz ho jaey gi
Answer: Agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail jaame, part#1, maslah 995). [Updated on 14-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya khoon lage hue kapdon me namaz ho jati h
Answer: Namaz per saktay han agr kapron per aik dirham sy kam khoon lag jahay ar ahtiyat e wajib yah hay k dirham ki miqdaar anguthay ki uper wali girha k barabar samji jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #835). Update on dated 20-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 20-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia ahle sunat ko black soot pehnany ki ijazat ha mtlab islam m black soot jaiz hai
Answer: Kala libas pehenna jaiz hay or makhrooh bhi nahi hay. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/01844/). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar pent pe aik qatra peshab ka gir jay to kia us pent k saath namaz ho jati hy? Lekin sirf aik e katra gira ho istanja karny k baad to usi pent k saath namaz ho jati hy ya ni?
Answer: jee nahi pehle us maqaam ko paak kia jaaye phr hi usi pent mai namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 787). [Updated on 10-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia mardon k liye tanbay ki anguti pehn'na jaiz hai,
Answer: jaiz hay. (https://www.sistani.org/urdu/qa/search/59535/) [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]