Question: S.W HAMAI KAISAI MALOOM HO KAI HAMARI HAJ AND ZIARAT KABOOL HOUI HAI PLZ TELL ME SOON
Answer: Aap is silsilay main taqleed karain. Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki reaa k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam O elikum, Kisi Mjtahid kii Taqleed kaysay kii jayay, Yani un kii Taqleed main aanay kay liya kiya kiya jayay?
Answer: Wssalam o alykum, Mujtahid ke fatwe par amal karne ka naam taqleed hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 02 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kia sistani sahab ky tamam jawabat sunni or shiya dono,,,ya sirf shiya ky lyia hain?
Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Ayatullah Sistani shia mujtahid hain aur shia fiqah k mutabiq jawaab dete hain . sunni firqe k loog shia fiqh per amal kar sakhtay hein (ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b., 01-28- 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: taqleed kia hy ? q zarore hy? kro to q or na kro to kia hoga? or kis k hadees ki bunyad py kren?
Answer: Taqleed hamare aaima masumeen ka btaya gaya hamre liye ek hukm hai 11th IMAM k bad se ye sisila shuru hota hai khud imam ki taraf se hukm k mutabiq, Q k jab ham pore tor per Quraan e Majeed o Ahadee o Rwayaat ka ilm nahi rakhte jesa ke Mujtahid(Mufti) rakhta hai ya Doctor insan ki body ke bare main rakhta hai or ye pata hai ke Allah Taala ne Ibadaat o Muaamlaat ham per ik kaas kefiyat (jese fajar ki namaaz 2 rukoo o 4 sajdoo ke sath 2 rakat hai) main wajib kiye hain or ye bhi jaante hai ke hamara dor dor-e-Gebat hai jis main IMAM Mehdi (a.s) parda e Gebat main hai to Allah Taala ke hokum per amal karne ke liye Mujtahid ki taqleed (Mutahid ke bataye howe fatwa per amal karna taqleed hai)is k ilawa ik aam insan ke liye koi rasta nahi hai, jis terha bemaar ke paas Doctor ki di hoi medicine ke khane ke ilawa koi raasta nahi garche Doctorate ki kitabain markets main mojood hai, Han ager in tamaam condition ke bawajood ham Mutahid ke btaye hue ahkamat per amal na karain to hum ye maloom na kar paae ge ke hamara amal Allah Taala ke nazdeek sahi hai ya nahi, jis terhan ager apni marzi se medicine kha lain to ho sakta hai ke kabhi shifa de or kabhi moot tak ponhcha de.Or Hazrat Imaam e Mehdi (a.s) farmaate hai ke Geebat e Kubra ke zamane main peesh aane wale halaat ke silsile main hamari hadesoo ko bayaan karne wale Raviyoon ki taraf ruju karo, kun ke wo hamari taraf se tum per us hi terhan hujjat hai jis terhan ham Allah ki taraf se hujjat hain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # before fehrist , 01 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).To jis tarah ham dunya k ksis bhi pehlu bager rehnuma k rehnumai hasil nahi kr sakte isi tarah deen k mamle men b ham pr wajib hai k ham ehl e elm ki taraf ruju kren take ham sahi tarah se deeni ahkamat per amal kr saken
Question: Islam.main sowar ham kyu mana hai...reply with references please. .
Answer: muqallid k liye illat(reason) ka jaanna zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 02). Note musalmaan ke liye itni waja kafi hai ke ALLAH TAALA ne us ko mana kiya hai, kun ke her shaks her hokum ki illat ko nahi jaan sakta, jis terhan doctor dawa dete waqt har mareez ko ye nahi batata k kis waja se ye dawa ap ki bimari ko door kare gi or na hi aqal-mand mareez ye pochta hai.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Ya Ali Madad....... Mere Do Sawal H,,, 1st Ye K Taqleed Krna Lazim H...??????????? Or Agr Lazim H Tu Kio Lazim H....????? 2nd Taqleed K Meanings Kia H...?????
Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadison ko bayan karnay walay raviyon ki taraf roju karo q k wo humari taraf se tum par hujjat hein jis terah hum ALLAH ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki raye k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiye usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3) Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare. Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assallam.o.allaikum w.w touzee.ul.masail ya or aisy mujtahideen ki books mai masoomeen k farman pe hain ya k mujtahid ki apne farman hai
Answer: Wssalam o alykum, jesa ke Masomeen (a.s) ka qool Muhammad e Mustafa (s.a.w) ka qool or In (s.a.w) ka qool Allah ka qool hai, pas qool ik hai lekin kabhi Quraan ki to kabhi Nehj ul Balaga ect ki shakal main, is hi terhan Mujtahideen ka qool bhi Masoomeen k qoal ka natija hai jesa ke Imaam e Zamana se marvi riwayat se ye matlab nikalta hai ke Geebat e Kubra ke zamane main peesh aane wale halaat ke silsile main hamari hadesoo ko bayaan karne wale Raviyoon ki taraf ruju karo, kun ke wo hamari taraf se tum per us hi terhan hujjat hai jis terhan ham Allah ki taraf se hujjat hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # before fehrist , 01 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam , mein Ayatullah Sistani ki taqleed karta hun, lekin mjhse koi puchta k Quran o Hadees sa Taqleed dikhao tou mjhe iska ilm nhi. Tou agr apka paas Quran o Hadees k refrence hain tou please mjhe bhjdein. JazakAllah
Answer: Walaikum salam, Quraan e Majeed main farmaya gaya hai ke na-jaanne walo ko Quraan e Majeed ka ilm rakhne walo se ilm hasil karna chahiye(Ref : Sura e Nehal (sura no 16) , ayat # 43) , or Imaam Mehdi (a.s) se Hadees marvi hai ke gebat kubra ke zamane main peesh aane wale halaat ke silsile main hamari hadesoo ko bayaan karne wae raviyoo ki taraf rujo karo kun ke wo hamari taraf se tum per us hi terhan hujjat hain jis terhan ham Allah ki taraf se hujjat hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 ,topic # fehrist se pehle). Or ager muqallid Mujtahid ke bataae howe fatwe per batane ke mutabiq amal kare to us ke amal ki zimmedari Mujtahid leta hai, jesa ke kud Ayat Allah Sistani ne Tozeeh u Masail ke shuru k saf`haat men fehrist se pehle farmaya hai. or is matlab per Surah e Bani-Israeel (sura no 17) ki ayat 71 dalalat karti hai, or uper bayaan karda hadees main bhi ye matlab hai [Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya taqleed krna zaruri hai?
Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadison ko bayan karnay walay raviyon ki taraf roju karo q k wo humari taraf se tum par hujjat hein jis terah hum ALLAH ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki raye k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiye usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3) Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare. Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir ap wali e faqih mein aik he bat ref kr rahy hain keh ye faroi masla hy is mein apny marjy ki tarf raju kren to main A.Sistani ka muqalid hon mera wali faqih A.Khamenai hain ya A.Sistani hain....ya mera koi wali faqih ni hy.......shukriya
Answer: Ayatullah Syed Ali Sistani d.b. k nazdeed aik jamia sharait mujtahid in tamaam umoor me wilayat rakhta hai jin per insaano ka ijtemaaye nizaam qaim hai aap aqai seestani k muqallid hai lehaza wohi aap k wali e faqih honge. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 7 pg # 22) [Updated on 02-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]