Question: Who are the next most learned mujtahid after ayatullah sistani. Can one turn to ayatullah makarem shirazi for a law for which ayatullah sistani says "on the basis of obligatory precaution."
Answer: 1: Agar mujtahid fatwa nah day or ehtiyat lagaye to aisi ehtiyaat ko ehtiyaat e wajib kehte hain. Ehtiyaat e wajib mai muqallid ko ikhtiyaar hai k ya tu is ehtiyaat par amal karay ya fal aalam ki taraf ruju kar k os k fatway par amal kare. 2: Fal-Aalam: Wo mujtahid jo Aalam kay baad Ilm main sab say barh kar ho. 3: Ehtiyat-e-Wajib: Wo hukum jo ehtiyat kay mutabiq ho aur Faqeeh nay is kay saath Fatwa na diya ho aisay masail main Muqallid us mujtahid kay Fatwa par Amal kar sakta hay jo Fal-Aalam yani Aalam kay baad Ilm main sab say barh kar ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #6. + Fiqhi Estelahat, pg #486). (Note: Fal alam mujtahedeen men se Ayatullah Waheed Khorasani, Ayatullah Ishaq fayyaz, or Ayatullah Mousa Shubairi Zanjani hain laikin Ayatullah Nasir Makarem Shirazi fal alam men nahin hai). [Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم یا علی مدد د سر میرا سوال یہ ہے کہ تقلید کیوں واجب ہے ؟کیونکہ جب ہمارے وقت امام موجود ہیں اور میرے خیال سے کے اماموں کے نائب ہم جیسے انسانوں میں سے نہیں ہوسکتی کیونکہ آپ تو رجس سے پاک ہیں توامام کے نائب ھم میں سے کیسے ہو سکتی
Answer: 1: Hazrat Imam Hasan Askari (a.s) ka irshaad giraami hai: “Logon ko chahiye ke fuqha ( yani Ahkaam sharieat ko tafseel wa tehqeeq ke sath janne waale mujtahdeen) mein se jo shakhs apne aap ko Gunaahon se bachaata ho, apne deen ki hifazat karta ho ( yani apne deen par sakhti se qayam ho) apni nafsani khuahishat ka ghulaam na ho aur Ahkaam ilahi ki itaat karta ho us ki taqleed karen.” Is ke bad Imam (a.s) ne farmaya: “ ye ausaaf madoode chand shia fuqha’ mein se hain, sab mein nahin.” (Ehtejaj e tabrisi, jild #2, pg #263). Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadison ko bayan karnay walay ravioun ki taraf ruju karo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis tarah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” (kamal-lu-deen wa tamam-un-neama, shaikh e sadooq{a.r} ). Aima kiram (a.s) mandarja bala farmodaat ke pesh e nazar un tamaam logon par jo darja e ijtehad par faiz nahin hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed karna wajib hai q ke is ke bagair in ki ibadaat aur aisay tamaam amaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, ibtidaei page) 2: Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal diya hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (Ref: Jadeed Fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), pg #53). [Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz main Ali un wali ullah pahrna Sab mujtahid k mutabiq Sastani Khomeini Khamanai
Answer: Aytullah sistani ke nazdeed Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai parhna jaaiz nahin hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/). (Note: namaz main quran, zikr e ilahi or dua k alawa kisi qisim ka izafay ki ijazat shariat ne nahin di ). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya is wqt Imam (as ajf) k naib is dunia mn mojood hn? ya mujtahdeen ko naib e imam kehna thk h? jese Rehbar e Moazam or Seestani sahib kya imam ne khud is bare mn koi rehnumai frmai hai? koi reference mil jay to behtr hai.
Answer:
Question: Ye words jo fatwa ma use kiye jatay hain tw Kia ehtyat e wajib or ehtyat e laazim pe amal na krna b haram ?
Answer: Agar mujtahid fatwa nah day, or ye kahay keh ehtiyaat e wajib ya ehtiyaat e lazim hay tu is ehtiyat per amal kia jaey ya phir is masle main fal aalam mujtahid ki janib ruju kia jaey.(Ref: tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#6). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #495,496). [Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Taqleed karnay ka kya tareeka hai? Koi namaz parh k niyat ki jaati hai?
Answer: Jee nahin, namaz nahin parhni balke Ahkaam mein taqleed ka mana ye hai ke sirf ye niyat ki jaye ke Ahkam e shareiya me aik Alam Mujtahid ke hukum par amal karen ge aur us Mujtahid ki taqleed karna zaroori hai jo Baaligh, Aaqil , Shiah Isna ashri (12 imami shia), halal zaadah, aadil aur zindah ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #6). [Updated on 28-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Latest masael me Ayatollah Sistani ne kafir ka khana Ehtiyaat kaha hai.. to iss masale me next aalam kon hai jinse rujoo ho sake? Aur unka kya masala hai
Answer: 1: Wo shakhs jo Allah taala ke wujood ya us ki wahdaniyat ka iqraar nah karta ho isi tarah ghaali (yani wo log jo(shio ke 12 ) aimma(a.s) mein se kisi aik ko khuda kahen ya ye kahen ke khuda, imam mein hulool kar gaya hai) aur khariji o naasebi (yani wo log jo aimma(a.s) se dushmani aur bughz ka izhaar karen) bhi ehtiyat e wajib ki bina par najis hain. Aur isi tarah wo shaks jo kisi Nabi ki nuboowat ya zarooriyat-e-deen maslan Namaz, Roza mein se kisi aik ka aisa inkaar kare jo juzwi taur par hi sahi, Rasool Akram(s.a.w.w) ki takzeeb ka sabab banay, ehtiyat e wajib ki bina par najis hai. 2: Is bina par kaafir ki do qismen banen gi. Pehli qism me 2 tarah ke kaafir shaamil hain. 1) Jo Allah taala ke wujood ya us ki wahdaniyat ka iqraar nah karay. 2) Jo kisi Nabi ki nuboowat ya zarooriyat-e-deen ka inkaar karay. Dusri qism me 3 tarah ke kaafir shaamil hain. 1) Ghaali. 2) Khariji. 3) Naasebi. Pehli qisim me dusre kisi mujtahid ki ruju nahin milta, yani dusre mujtahideen ke nazdeek bhi wo najis hi hain. lekin dusri qism me Ayatullah Ishaaq Fayaz(m.z) ki taraf ruju milta hai ke Ghaali, Khariji aur Naasebi teenon Paak hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #45, maslah #103. + Tauzeeh ul masail (farsi), Ayatullah Ishaaq Fayaz(m.z), pg #110). [Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Please give me reference about taqlead by imam Mahdi a.s ?
Answer: 1: Imam Mehdi(a.s) farmatay hein: “Ghaibat e kubra ke zamanay me pesh aanay walay halaat ke silsilay mein humari hadison ko bayan karnay walay rawiyoon ki taraf ruju karo Q ke wo humari taraf se tum par hujjat hein jis tarah hum ALLAh ki taraf se tum par hujjat hein.” (Ref: Kamal ul deen wa tamam ul nemat, shaikh saddooq[a.r]). Imam ke is farman ke pesh e nazar un tamaam logon par jo darja e ijtehad par faaiz nahin hain, apnay zamanay ke mujtahid ki taqleed karna wajib hai Q ke is ke bager un ki ibadat aur aisay tamaam aamaal jin me taqleed zaroori hai, batil ho jatay hain. 2: Taqleed mujtahid ke fatway ke mutabiq amal karne ka naam hai is tarah mujtahid ki raye ke mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho us ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiye usay tark karain bager is ke keh is masleh me mazeed koi justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki gardan me daal diya hai aur khuda ke nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jaded fiqhi masail, pg #49). [Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: TAQLEED KA MTLB KYA KARNA HAI
Answer: Taqleed islami fiqh ki aik istilaah ka naam hai. deeni ahkaamat (jaise namaz, roza, hajj wagera ke masail) mein taqleed ka matlab yeh hai ke kisi mujtahid ke fatwe par amal kiya jaye. Mazhab e tashayu mein islam ke do hissay bayan kiye jatay hain jin mein se aik usool deen hai jis mein tauheed, adal, nubuwat, imamat aur qayamat zikar kiye jatay hain, in mein taqleed karna jaaiz nahin hai aur dusra hissa furoe deen kehlata hai, agar insaan mujtahid nah ho yani us wo is qadr salahiyat ka maalik nah ho ke woh quran-o-sunnat se islami ahkaam lay sakay aur nah woh ehtiyaat par amal kar sakay to aisay shakhs ke liye wajib hai ke woh taqleed kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1,2). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mien taqleed k bare mein janna chahta hon, k taqleed kese ki jati hai, kis ki taqleed ki jaye, kiya jis ki taqleed ki jaye us se rabtey mein rehna zarori hai, Pakistan mein aksaryat kis ki taqleed karti hai or mein kis ki taqleed karon, or mein jis ki taqleed karon us k fatway janne k liye qabil-e-bharosa zariya kon sa hai?? Plz tafseel se bayan karen. Khuda aap ki tawaqoat mein izafa kare.
Answer: