Question: salam mara question yai hy kay maray walid ayatollah S.ALI.SISTANI(r.a)kei takhleed kartay hai. and mai S.ALI.KHAMNAIE(r.a) kei takhleed karta hou to kiya yai sahi hai bap ek Mujtahid kei takhleed karay aur bata dousray kei takhleed? W.SALAM
Answer: w.s. dono main se har ek ki zimedari he k apne mujthid k fatwe k mutabiq amal kre. (mujthid se puchhe gaye sawalat, part-3 page-22)
Question: Assalam O Alaikum, 1. Main dil he dil mein agar Khamnai sb ki taqleed ka irada ker leta hoon to kia yeh theek hai? Agar Nahin to koi tariqa batain.
Answer: w.s. taqlid ke subut par sharee adilla hain or aqal ka bhi phaysla yahi he k jo shakhs khud ahkame deen se agah nahin he wo mujthide jameush shrayet ki tarag rujua kare. (istiftaat k jawabat, Aytullah Khamenai (d.b.) page no.17)(taqlid k liye dil ka irada kafi he).
Question: AssalamO Alaikum, Ehtiyat-e wajib kisy kehty hain?
Answer: w.s. is ka matlab yeh he k kisi amal k anjam ya tark ka wujub ahteyat ki bena par he. (istiftaat k jawabat part 1 Aytullah Khamenai (d.b.) page no.29)
Question: agar sistni ka aur wali e faqih ka fatwa apas me contradict ho to kiska fatwa mana jaye?
Answer: b.t. har ek ki zimedari he k apne mujthid k fatwe k mutabiq amal kre. (mujthid se puchhe gaye sawalat, part-3 page-22)
Question: mein kis ki taqleed me hun mujhe is ka ilm kaise hoga.
Answer: bismehi taala, dini ahkamat me taqleed ka matlab yeh he k kisi mujtheed k fatwe par amal kiya jae, agar yeh bat ijmalan maloom ho k darpesh masail me mujthedeen ke fatwe ek-dusre se mukhtalif hain to zaroori he k us mujthid ki taqleed ki jaye jo "aalam" ho yaani apane zamane k dusre mujthedon k muqable me ahkame elahi ko samjhne ki behtar salahiyyat rakhta ho.
Question: asslam o alaikum mera sawal yeh hai please key quran ka matlaib to pata hai aap please itrat aur mujtahid-e-taqleed ka matlaib bata de please
Answer: Itrat:Itrat ka lugvi(dictionary k mutbiq) aam matlab aulaad ya ghar walay hotay hain.or iska istilahee(term/technical meaning) matlab islam ki nazar main, sirif hamaray nabee(s.a.w.w) ki piyari baiti Hazrat fatimah zahrah(s.a) or 12 imam(a.s) hain. Mujtahid: jo shaks is qadar ilm rakhta ho k hukm e khuda(order of God) ko Quran ,Ahadees, ijmaa or aqal say haasil kersakta ho, aisay aalim shaks ko mujtahid kehtay hain.is shaks per taqleed kerna haram hay or isko apnay hi fatway per amal kerna hoga. Mujtahid –e-taqleed: wo mujtahid jis main chand shraait(conditions) maujood hon tu awaam ko os mujtahid ki taqleed(following) ker k os k fatway(opinion) k mutbiq apnay tamaam aamaal anjaam daina zarori hain. Mujtahid –e-taqleed ki shrait: 1.merd(man). 2. baligh(mature). 3. aaqil(not mental). 4.12 imami shia. 5.halaal zaadah. 6.zindah 7.aadil. or agar ye baat maloom ho k mujtahideen k kisi fatway main ikhtifaaf hay tu is maslay main aalam(tamaam mujtahideen main sab say ziyadah ilm wala) k fatway per amal kerna hi wajib hoga.
Question: It is important to take the taqleed of rahbar for youths?
Answer: Jis mujtahid ki taqlid ki jaye woh mard, baaligh, aaqil, shia isna asheri(12 imami shia), halaal zaada, zinda or aadil ho. agar yeh bat ejmalan(muktasar taur pe) maloom ho ke darpesh masaa’il main mujtahedin ke fatwe ek dusre se mukhtalif hain to zaroori he ke us mujtahid ki taqlid ki jaay jo aalam ho yaani apane zamane ke digar mujtahedin ki nisbat ahkame elahi ko samajane ki bahetar salahiyat rakhta ho Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzeehul masa’il,maslah# 2).
Question: ma ny abi tk taqleed nhi ki , koi perfect mujtahud btae aurap k ilm k mutabik tashad ma ALI UN WALI ULLAH parhna jaiz hy?jaldi ans bhejy
Answer: 1) Mujtahid e aalam k lie aisay ahl e ilm hazrat ki taraf rajoe karain jin ki deen dari aur aisay masloo me in ki marefat k mutalik ahl e ilm per bharosaa aur eitemad ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 2, pg # 21) 2) Ethiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa parhna jaiz nahi hay. (ref:ayatollah sistani(d.b), www.sistani.org (topic:tashhud). Namaz main quran ,dua or zikr e ilahi k izafay ki ijazat hay.( ref:ayatollah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#1016,1036,1122). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASLAM O ALAKUM KIA BAGHER TAKLET K NAMAZ ,ROZA ,HAJJ ,ZAKET WAGERA SAB KAM JO MANA KIA HAN KO SUB HARAM HO JIN GA ?
Answer: Agar koe mukallaf aik muddat tak kisi ki mujtahid taqleed kiaay baghair aamal baja laata rahe to agar us k aamaal hukame waqae k mutabiq hon ya us mujtahid k fatwe k mutabiq hon jis ki taqleed karna abhi us ki zimmedaari he to wo amaal saheeh tasw’wur kiye jaa’en gay is k alawa bhi agar wo jaahil kaasir ho or aamaal ka naqs arkaan waghera k aytebaar se na ho to bhi us k aamaal saheeh taswwur kiye jaa’en gay yehi hukm us soorat main bhi hay jab jaahil e mukassir ho or amaal main koe aysa naqs ho jo laa-ilmi ki soorat main maaf ho to jayse buland awaaz se qir’at ki jagaah aa’hista awaaz se qir’at ya bar aks, to bhi us k aamaal saheeh mane jaa’en gay yaahi hukum us soorat main bhi hay jab use yeh maloom na ho k pichhale aamaal kefiyat k etebaar se saheeh thi ya nahi to bhi us k aamaal minhaj main zikr shuda baaz mawarid k alawa saheeh tasw’wur kiye jaa’en gay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 12).
Question: Main ek 23 saal ka ladka hoon main ne aj tak kisi mujtahid ki takleed nahi ki hai kya main is waqt aqae Sistani ke fatwoon ke saath unki tarleed kar sakta hon.
Answer: 1)Agar koe mukallaf aik muddat tak kisi ki mujtahid taqleed kiaay baghair amaal baja laata rahe to agar us k amaal hukm e waqae k mutabiq hon ya us mujtahid k fatwe k mutabiq hon jis ki taqleed karna abhi us ki zimmedaari he to wo amaal saheeh tasw’wur kiay jaa’en gay is k alawa bhi agar wo jaahil e kaasir ho or amaal ka naqs arkaan waghera k aytebaar se na ho to bhi us k amaal saheeh taswwur kiay jaa’en gay. 2) Jis mujtahid ki taqlid ki jaye woh mard, baaligh, aaqil, shia isna asheri(12 imami shia), halaal zaada, zinda or aadil ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2 , 12) Note : Aap ayatullaha sistani d.b. ki taqleed kar sakhtay hein. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)