Question: Salam ager banda ijtehad k rutbe per faiz ho tu kia us per taqleed karna wajib hai kia wo kisi ki taqleed kar sakta hai????
Answer: Jo shaks mujtahid nah ho os k liay zarori hay k wo ehtiyaat per amal kare ya ijtehaad kare, or jo shaks mujtahid ho wo ehtiyaat ya apne ijtehaad per amal ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa Part # 1 , Maslah #2). Update on dated 25-08-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam Sir abhi jo mujthedeen hayat hain unky names mil skty hain,
Answer: Khuch Zindah mujtahideen k naam: Ayatullah sistani, ayatullah Vahid Khorasani, ayatullah Ishaq fayyaz, Ayatullah Mousa Shubairi Zanjani, ayatullah Basheer Hussain Najafi, ayatullah Muhammad Sa'id al-Tabataba'i al-Hakim,ayatullah Naser Makarem Shirazi waghaira. Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mujtahideen ki taqleed kis tarha ki jati or kis mujtahid ki taqleed krni chaiye? kia taqleed farz hai momin pr?
Answer: 1-Mujtahid ki taqleed os k fatway per amal kerne se ki jaati hay, yani mujtahid k jis fatwe per amal kia jaey tu kaha jaey ga keh aap ne os k os fatwe main oski taqleed ki. 2-Taqleed aisay mujtahid ki, ki jaey jo mard, baligh, aqil, 12 imami shia, halaal zadah, adil or zinda ho. Or agar maloom ho k paish anay walay masael main mujtahidden main ikhtelaaf hay tu phir aalam mujtahid ki taqleed ki jaey, yani os ka ilm digar mujtahideen se ziyada ho. Aaj k zamanay main Ayatullah sistani aik aalam mujtahid hain, aap on ki taqleed k mutabiq apnay amaal baja laa sakti hain. 3-Monin per farz hay k wo hokum e khuda k mutabiq apni zindagi k tamaam umoor ko baja laey or ibdaat o maamlaat main khuda k hokum per amal karay, or is k laiy ya tu khud mujtahid banaiy yani itna ilm hasil karay k khud Quran o tamaam ahadees ko perhay or samjahy or phir os se hukum e khuda ko hasil karay, ya phir apni ehtiyaat per amal kare yani apni ibadaat ko is terah baja laey k kisi mujtahid k fatwe k khilaaf nah ho, or ijtehaad o ehtiyaat k liay bohot ziyada ilm ki zarorat hoti hay jo k awaam k bas ki baat nahi. Layhaza jo shaks in dono kaamo se ajiz ho os per wajib hay k taqleed kare or mujtahid ki tehqeeq per amal kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #3). Update on dated 18-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: khoei saheb ki taqleed mein hoon.kya seestani per convert ho sakta hoon.
Answer: Agar marhoom mujtahid zinda k muqaable mai aalam ho tu marhoom mujtahid ki taqleed par baqi rehna zaroori hai.(Ref: tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 mafhoom e masla 8). Update on dated 21-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Please also define Ehtiaat-e-Lazim in every consent or specially in Mutta.
Answer: If an A'lam Mujtahid gives a fatwa on some matter, his follower cannot act in that matter on the fatwa of another Mujtahid. But if he does not give a fatwa, and expresses a precaution (Ihtiyat) that a man should act in such and such a manner, for exam ple if he says that as a precautionary measure, in the first and second Rak'at of the namaz he should read a complete Surah after the Surah of "Hamd", the follower may either act on this precaution, which is called obligatory precaution (Ihtiyat Wajib), or he may act on the fatwa of another Mujtahid who it is permissible to follow. Hence, if he (the second Mujtahid) rules that only "Surah Hamd" is enough, he (the person offering prayers) may drop the second Surah. The position will be the same if the A'a lam Mujtahid expresses terms like Ta'mmul or Ishkal. (Ref: Islamic laws, pg#19-20, problem#7). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kon si quran ki ayat me likha hai k mian bivi ik dosary k sharamgah ko mun laga skte hai
Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq ju koi khud mujtahid nahe hay ,Yani Deen ko khud ,Quran,hadees se direct hasil nahe karsakta or ahteyaat bhe nahe tu us ki zimmedaare hay ke taqleed kare ,Yani Apne zamane ke mujtihideen me se ju sab se zada ilm rakhta ho us ki baat per Amal kare inshallah wo qiyamat ke din is ke zarie or Jo wo mujtahid fatwa Deta hay us ke pass us ki daleel hote hay, jis ko wo quraan ,hadees se samaje kar awaam Tak pouchata hay (or Quran ohadees se fatwa Dena or sharhe masle ko haasil karna bhut se uloom per depends karta hay bass auqaat delelo ko samagena awaam ke lie mushkil hota hay balke khud ulama ke lie bhe mushkil hota hay).aytullah sistani sahab ke nazdeed Shohar or biwi aik dosray ki sharamgah ko monh (mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. balke ye aik mujtahid e aalam ka fatwa hai, aur mijttahid e aalam apni taraf se koi fatwa nahin deta balke wo Quran aur ahadees e masoomeen a.s ke matabiq fatwa deta hai, aur Quran me surah baqra ,ayat no 187 me shohar aur biwi ko aik dosre k lie libaas kha gaya hai, aur isi tarah Quran ki isi surah baqra ,ayat no 223 me kaha gaya hai, ke tumhari auratain tumhari khaitiyan hain bs tum apni khaitiyon me jese chaho aao.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15, tuiziulmasail,aqa sistani,Urdu ,masla:1,2,) (NOTE : Aik mujtahid-e-Aalam apni puri zindagi kharch kerta hai sirf Quran or talimaat-e-Ahlebait a.s ko samjhne k liay, lehaza wo aam afrad ki ba-nisbat ziyada Quran or Ahadees-e-Masomeen a.s ko samjhne ki salahiyat rakhta hai, Wo Faqat riwayaat k zahiri Alfaz ko dekh ker koi Fatwa nahi deta balke os Hadees k bare men Mukammal Malomaat Hasil kerta hai. Q k Jis tarah quran ko uski tafseer k bagher faqt tarjume se samajhna na-mumkin hai isi tarah Ahadees-e-Masomeen a.s ko bhi samjhna Faqt tarjume se mumkin nahi hai lehaza aysi boht sari cheezen hoti hen jo kisi Ayat Ya Hadees ko samjhne se taalluq rakhti hen un sab ko nazar men rakh ker ek mujtahid phir Koe fatwa deta hai. Or in chizon ko samjhne k liye ilm hasil kerna zaruri hai. is topic k liye ek kitab (Ijtihad or taqleed per kiay gaey Aytarazat) ko perh lain insha Allah apki mazeed rehnumai hogi.) [Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ye maslon ka mafhoom "mafhoom e masla" kia ap khud se nikaltay hain ya ayatollah Sistani ?qasam kha kar btayea
Answer: (Note: Masail jitne bhi bayan kiye jate hain wo Ayatullah Sistani(d.b) ke hi hote hain lekin choonke ziyada tar in masail ki ebartain mushkil hoti hain ab awam ko samjhane ke liye in masail ko awan ki zaban men in ka mafhoom pesh kiya jata hai aur is wajah se (Reference) men (Mafhoom e Masalah) likha jata hai. lekin masalah number wohi hota hai jo likha jata hai bas faqat us ka mafhoom pesh kiya jata hai ). [Updated on 26-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis ki taqleed Karen jab ke IMAM ka hukum 1 hi hota ha to apas mein mujtahid k fatwy alag alag kuin?
Answer: jis mujtahid ki taqleed ki jaaye us mai yeh baatein hona zaroori hai mard ho, baligh ho, aqil ho, shia isna ashari ho, halaal zaada ho, zinda ho, aadil ho or apne zamaane mai deegar mujtahideen ki nisbat ehkaam e ilahi ko samjhne ki behtar salahiyat rakhta ho yaane aalam ho.(or jab taqleed kise aik mujtahid aaalm ( jo dosero se ziyada spcilest ho us ki karni hay tu fatwo ke ke ikhtelaaf se practicaly koi faraq nahe perhta) mujtahideen k fatwon mai ikhtilaaf kaii wujoohat ki bina par hota hai baaz aukaat riwaayaat mai ikhtilaaf hota hai, kabhi aik hi riwayat mukhtalif wordings k saath hoti hain wagairaa...(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2). [Updated on 02-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salam o alikum, Can we change our taqleed.if it's hard to follow the rules.
Answer: 1: Taqleed karne ka meyar ye hai ke us mujtahid ki taqleed ki jaye jo 'Aalam' ho yani apnay zamane ke deegar mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhne ki behtar salahiyat rakhta ho. 2: Ehle e khubra ke mutabiq Ayatullah Sistani(d.b) aalam mujtahid (Most learned jurist) hain, aur in ki taqleed karna wajib hai. lehaza agar aap Ayatullah Sistani(d.b) ki taqleed kar rahi hain to yahi wajib hai. lekin agar aap kisi dusre mujtahid ki taqleed kar rahi hain to phir aap par wajib hai keh aap apne mujtahid ki taqleed chorh kar aalam mujtahid (yani Ayatullah Sistani(d.b)) ki taqleed karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2. + link: http://sratali.rigala.net/t7-topic ). [Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia taqleed badli ja sakti hai?
Answer: 1: Taqleed karne ka meyaar yeh hai ke zaroori hai ke aise mujtahid ki taqleed ki jaye jo Aalam ho yani apnay zamane ke deegar mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhne ki behtar salahiyat rakhta ho. 2: Ehle e khubra ke mutabiq Ayatullah Sistani(d.b) aalam mujtahid (Most learned jurist) hain, aur in ki taqleed karna wajib hai. lehaza agar aap Ayatullah Sistani(d.b) ki taqleed kar rahi hain to yahi karna wajib hai. lekin agar aap kisi dusre mujtahid ki taqleed kar rahi hain to phir aap par wajib hai keh aap apne mujtahid ki taqleed chorh kar aalam mujtahid (yani Ayatullah Sistani(d.b)) ki taqleed karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2. + link: http://sratali.rigala.net/t7-topic ). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]