Question: MERA QUESTION YE HAI K AALAM BANNAY K LIYE HAFIZ W QURAN HONA LAAZMI HAI K NAHI
Answer: Mujtahid e aalam bannay k liay hafiz e Quran hona zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia taqleed sirf khums, zakat aur namaz wagira jaisi cheezoo k lie hoti hai ya zandigi k tamaam shoboo mai shamil hoti hain?
Answer: Mujtahid zandigi k tamaam masail k baray mai fatwa deta hai aur taqleed karnay walay par lazim hai k wo in tamam ahkam mai apnay mujtahid ki taqleed karay.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 6) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar koi shakhs murda mujtahid ki taqleed par baqi rahay is terha k zinda mujtahid ki taraf rujoo na kia jae to is k ghuzishta aamaal k baray mai kia hokum hai?
Answer: Is surat mai agar murda mujtahid zinda mujtahid k muqablay mai aalam(ziada ilm rakhta ho) ho to phir isi ki taqleed par baqi rehna wajib hai aur agar wo aalam na ho to phir zinda ki taraf ruju karna wajib hai aur is k aamal agar is mujtahid k fatway k mutabiq hain jis ki taqleed is waqt is par wajib hai to wo sahi shumar hoon gai aur os par koi zamidari nahi ho gi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 1 , pg # 19) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: I want to do taqleed of above mentioned mjtahid.Please tell what I have to do for this.Please give me proper answer.Thanks
Answer: Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) Note: aap ayatollah SIstani k fatway per amal kerne k liay in k fatway per mushtamil kitab tauzeehul masa,il per amal ker saktay hain. Or kitab in ki official web site per maujood hay or is ka link ye hay: http://al-shia.org/html/urd/resaleh/index.php
Question: Assalam-o-Alaikum, mera yeh sawal haid k hum mujtahid ki taqleed kyun kartay hain, because main nay baaz logon say suna hai k hum to Iman e Zamana AS ki taqleed kartay hain to kisi mujtahid ki taqleed ki zaroorat nahi hai. Plz reply in detail. Thanks.
Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) 2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam aksr lg kahte hn k jo iran k mjthid hmre pakistan k halat se na waqif hn to onki taqleed wahin tk mahdood hai iran tk kai ye thk hai plz bai
Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Hum imam e zamana as ki rayat hen or humara eman oe aqeeda hai k imam e zamana hazir or nazir hen to hum pe dunvi taqleed q wajib hai....?
Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) 2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kaqleed zrori hey to charoun mein say ksi aik imam ki kar li jay? Imam Abu Hanifa (Ramatullah Alhe) ki he taqleed kyoun zrori hey? Quran aur Hadith say wazih karian.
Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawb dia jata hai. 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) 2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal yeh hy ky meri cousin agha khamnae ki taqleed krti han aur wo agha sistani ki taqleed men ana chati han un ka kehna hy ky agha khamnae sy rabta bhi ni hota hy na unki tauzeeh hy is bana par wo kia taqleed change kar sakti han?
Answer: Taqleed karnay ka meyar ye hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamanay k digar mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr salahiat rakhta ho. Is k alawa aap taqleed change kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1-12)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ya Ali as madad. plz takleed k baray main quran o hadees ka hawala dy k batain k takleed karni wajib hy.