Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2093
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: YA ALI(J.J) KI MADAD . . mera sawal yeh hai k Masoom apki tawzeeh k pehle page par likha hai k asool e deen mein taqleed jaiz nahee hai to phr app log azadari or matam par kese fatwa laga detay hoo ?

Answer: Her mukallaf per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). Note: Azadari or matam usool e deen main shamil nahi haain. Usool e deen 5 hain: 1.Tauheed, 2.Adl, 3.Nabuwat, 4.Imamat, 5.Qiyamat. Is liay aqaid k alawa tamaam deeni ehkamaat main aap k liay taqleed zarori hay.aap ko chahiay k aap azadari or matam main bhi apnay mujtahid k fatway k mutabiq amal karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2099
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main hazrat aayatullah Khomaini RA ki takleed kerta hoon. ab wo bazaahir is dunyan mai nahi. kya meri takleed saahee hai

Answer: Agar wo mujtahid jis ki aik shakhs taqleed karta he wafaat pa jay to jo hukum oski zandigi me tha wohi hokum oski wafaat k baad bhi ho ga. agarmerhoom mujtahid, zindah mujtahid k muqaablay main aalam (ziyadah jaanay wala) ho tu merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna wajib hay.warna zindah aalam mujtahid k masa,il per amal kerna hoga.or agar kisi k bhi aalam honay ka yaqeen nah hosakay ya dono ilm main baraber hon tu iktiyaar hay k kisi bhi aik ki taqleed main ajaay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#8). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2318
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal ye hai k ijtihaad ki kia haqeeqat hai ijtihaad kab start hoa aur kia ye nabi ya aaimma ka zamanay me tha agar nai to ab is ki kio zaroorat pari plz answer

Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay me pesh aanay walay halaat me k silsilay mein hummari hadisoo ko bayan karnay walay rayioun ki taraf rajooe karoo q k wo humari taraf se tum per hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf se tum per hujjat hein.” (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2336
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujh sy ye swal kia jata hy k taqleed krny ka jawaz kia hy or is baat ka buniadi jawaz kia hy k mujtahideen hm pr imam mehdi (a.s) ki hujat hain?

Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay me pesh aanay walay halaat me k silsilay mein hummari hadisoo ko bayaan karnay walay raviuoon ki taraf rajoo karo Q k wo humari taraf se tum per hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf se tum per hujjat hein.” (Ref : Kamaalud deen wa tamaam ul ni’mah, sheikh sadooq(a.h). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2623
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Taqleed Karna Zarori Ha Kya? Or Taqleed Kese Ki Jati Hai?

Answer: Deeni ahkamat men zaruri hai k insan ya to khud mujtahid ho matlb k kisi deeni amal ko anjam dene pr koi deene daleel rakhta ho, or agr ye mumkin na ho to phir deeni ahkamat men Ehtiyat pr amal kre jo ek mushkil kam hai(ismen apne zamane k tmam barre ulma or mujtahideen k fatwa ka ilm rakhna zarurui hota hai us k bad us sab pr Ehtiyat krte hue koi amal krna hota hai), or agr ye 2 tareeke insan k liye mumkin na ho to zaruri hai k wo khud kisi dosre mujtahid ki taqleed kre. O r deeni ahkamat men taqleed ka matlb ye hai k ksi mujtahid k fatwe pr amal krna hai or ye bhi zaruri hai k jis mujtahid ki taqleed ki jaye wo mard, baligh, aaqil, shia-asna-ashri, halazada, zinda or aadil ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 01- 02) (Khuda ap ki tofiqaat men izafa farmaye)

Id: 2988
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe Taqleed ki wajib honi ka book refferance (Hadees ya Qaul-e-Masoom) chaheye.

Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3028
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Farz aur Wajib may farq kia hay. please reply with reference. shukria

Answer: Farz or wajib yani har wo kaam jis ko anjaam dena Islam ki nazar me Lazimi ho.Farz aur wajib me amali lehaaz se koe faraq nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 494) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3035
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Taqleed Kia Hy?Kaisay Karain?Agar Deen Allah Or Mohammad Wa Aalay Mohammad Ka Hy To Deen Ki Taleemat Ko Kisi aalim ya Banaday Say Mansoob Karnay KI Kia Daleel Hy?

Answer: Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3) Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare. Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam molana sahab mera sawal ye hai k kya mujtahid ki taqleed karna zaruri hota hai kya ?

Answer: Jee haan, Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3779
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: taqleed say kia murad hai aur taqleed kab wajib hoti hai

Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!