Question: mujtahide taqleed kya hota hy
Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho, is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain, baghair is k keh is maslay me mazeed koi justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aoa.....kya taqleed farz hai namz ki trhan?????????????????
Answer: Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare. Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ) Zaroori hai k us mujtahid ki taqleed ki jaye jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e Elahi ko samajhne ki behtr slahiyat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1,2)
Question: asalam o alaikum agar kisi sai umrah mufradah main koi galati hou jaye aur hajj k bad usay maloom hou k us ka umrah batil hai tou uska haj sahi hai
Answer: wssalm o alykum, masale ke sahi jawaab ko jaanne ke liye umre main hone wali galti ko bataain ya kisi Alim se mulaqaat kar ke masala deryaaft karain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: srry taqleed ka mean nai pata
Answer: Mujtahid ke fatwe per amal karne ko taqleed kehtain hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 02 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: que.. akhbariat kya hai ? nd iska maqsad kya hai ye kon log hain ? plss answr in details ..??
Answer: Akhbari Mazhab e Shia k un Ulama ko kehte hain jo fiqhi Ehkamaat ko Riwayaat se Ilm e Usool (aj ke dor main ik esa ilm hai jo ehkamaat ko hasil karne main madad deta hai) ke bageer hasil karte the. Or in k or Hamare maqsad (Allah Taala k ehkamaat ko hasil karna) main koi farq nahi hai. or un k Ilm e Usool ko na-istemaal karne ki wajohaat main se aik ye hai k Ilm e Usool us waqt mojood nahi tha.(Ref : Al-Manhaj Al-Fiqhi , pg # 05 , 06 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam Bahi Taqlid kia hay.... Taqlid kis cheaz pey wajib hay.... Taqlid ki Islam may kia muqam hay..... Taqlid wajib hay to koi ref Tozi k Ilawa mean koi Mutaber Kitab Jinko taklid na karny waly b taslim kary...
Answer: 1) Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5 2)Hazrat imam hasan askari (a.s) : lougo ko chahiay k fuqaha (yani ahkaam e shariyat ko tafseel o tehqeeq k sath jaane wale mujtahideen) me se jo shaks apne aap ko gunaho se bachata ho, apne deen ki hifazat karta ho, apne nafsani khahishaat ka ghulaam nah ho aur ahkaam ilaahi ki itaat karta ho us ki taqleed kare. (Ref: Ehtijaaj e tabarsi, Jild#2, Pg#263). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: taqleed k meaning kia hn? or q zuri hy ? or taqleed ka tareeqa bata den plz
Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5). 2)Hazrat imam hasan askari (a.s) : lougo ko chahiay k fuqaha (yani ahkaam e shariyat ko tafseel o tehqeeq k sath jaane wale mujtahideen) me se jo shaks apne aap ko gunaho se bachata ho, apne deen ki hifazat karta ho, apne nafsani khahishaat ka ghulaam nah ho aur ahkaam ilaahi ki itaat karta ho us ki taqleed kare. (Ref: Ehtijaaj e tabarsi, Jild#2, Mafhoom e Pg#263). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 3)Jo shaks khud mujtahid nah ho aur na he ehtiyaat per amal karta ho us k liay wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare(yani os k fatwe k mutabiq amal kare). Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: taqlid kis tara karty han?
Answer: Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kaam ko anjam dena jaiz ho os ko anjam dain aur jis ko tark kerna chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: i dont know d meaning of Mujtahid-e-taqleed
Answer: Mujtahid yani wo shaks jo (sharhe ) ahkaam ko daleel k zarie hasil kare aura am louq us k batae hoe fatwe per amal kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1 ) Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Haram or makro may kaya farq ha
Answer: Haraam yani: har wo kaam jis ka tark karna shariat ki nigha me zarori ho.aur makroh yani napasandeda – wo kaam jis ka anzaam dena haraam na ho laikin anzaam na dena behter ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 488,493) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).