Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 27
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamulikum I just wana ask. Those perfumes which have made from Alchol is useable or not ? Plz try to give the answer as soon as possiable Thx you.

Answer: W.Salam All kinds of Alchol in perfumes are allowed for use. Ref:Jadeed Fiqhi Masail page no 62 Prob no 39

Id: 30
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AS-SALAM-UAKUM I WILL LIKE TO KNOW CAN WE EAT FOOD COOKED BY A HINDU COOK

Answer: Salam un alaikum Agar aap ko maloom hay keh us hindu ney khanay ko mas kiya hay to giza najis hay aur usay khana jayez nahi hay. Agar maloom na ho keh mas kiya hay ya nahi to khana jayez hay. Ref: Mujtahid Sey Pochay Gaye Sawalat (Part 1) Question No. 16

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 32
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi kapra najis ho jaye to kya kissi gareeb ko us ki najasat ka bataey bagair de sakte hain? aur agar woh kapra aisa ho jo pak nahi ho sakta ho maslan aisa kapra jis se rang nikal ta ho?

Answer: Salam un Alaikum, Kapray kee najasat key baray mein batlana zaroori nahi hay. Wo kapra jis ka rang nikalta hay usay baarish (rain) key pani sey paak kiya ja saktaa hay. Ref: Tawzeeh ul Masail A.Khoei Probe No. 147 & 2366.

Id: 86
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam...mera sawal yah hai k..english bathroom (camot)mai baith saktay hai isse najis to nahi hotay na...namaz hosakty hia?

Answer: Jab tak paak cheez kay najis ho janay ka ilm na ho wo cheez najis nahi hoti.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.117

Id: 156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: When i wake up i can feel a bit of semen but i cannot tell if it is mani or mazi, can i read salat in this state?

Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70.

Id: 164
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun Alikum, Hum yehan Toronto kay jis area main rehtain hain akser abadi Ahmadi (Qadyani)ki hai, un kay sath atluqat main kehan tak ehtyat karni chahye yani khanay peenay of milnay julnay main an early repy will be highly appreciated.

Answer: Wo shakhs jo kisi Nabi ki Nabuwwat aur Zarooriyaat-e-Deen main say kisi aik ka inkaar karay jo juzuwi toor par hi sahi Rasool-e-Akram SAWW ki takzeeb ka sabab banay Najis hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.103...Musafaha karna aur aisa khana khana jo najis na ho is main bazaat-e-khud koi haraj nahi hay aur jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.28...Haan agar najis cheez kisi paak cheez ko is tarah lag jaey kay un main say koi aik is qadar tar ho kay aik ki taree dosri tak pohunch jaey to paak cheez najis ho jaey gee.masalan Qadiyani ka haath kisi saalan ya tarr khanay par lagg jaey to wo khana najis ho jaey ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.119

Id: 280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i wanna ask the difference between Najis And Haram

Answer: Haram:Har wo amal jis ka tark karna shareat ki nigah main zaroori ho...Najis ki 2 qismain hain Najis-ul-Ain:Jo zaatan najis ho aur paak na ho sakti ho jaisay peshab aur pakhana waghaira..Mutanajjis:Jo zaatan najis na ho balkay kisi najis-ul-ain ki wajah say najis ho jaey.

Id: 506
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia chohay ki bit ki tarah chikbli(lizard)ki bit bhe najis hai

Answer: b.t. aap apne swal k liye www.khamenei.ir par ruju karain.

Id: 636
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam u Ailiakum i want to ask that if a person has problem of piles and bleeding after motion is done.is the splashes of blood is pak or not .plz do answer my question

Answer: Bawaseer(piles) k khoon k cheentay(splashes) najis hain. Agar piles (bawaseer) ki bemari ki wajah sa agar maqam e pakhana sa khoon niakalty huay tangon pay lag jaay tu taang ko paak kerna hoga.Laikin agar khoon kaprhay k os jagah per laga ho jo khoon nikalnay ki jagah k qareeb ho, ya jism main maqam e pakhana or is k qareeb laga ho tu namaz k liay is khoon ko paak kerna zaroori nahi ye maaf hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#838,839).

Id: 668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,, mujhay jab peshab nahee b aaraha hota to b lagta hai k kuch qatray niklay hain plzzz. tellll me k kia ye peshab k hain??kia ab paak insaan is se napak hojata hai i never understand this problem,,,,,,,,plzzz reply me ASAP..

Answer: agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi reta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!