Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6355
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager kissi bachey ne peshaab kia ho or wo khush ho gya ho .ager us bachey ko hum uttha ley tu humhare haath ya kapre na pak tu nhi hogey?ager wohi hissa humhare kapro ya hath ko touch ho.

Answer: Agar hath, libas ya bachay mai sai koi aik ya donoo tar(geela) hon aur osi jigha touch ho jis jigha peshab lagi thi aur tari transfer bhi ho jae to wo hath ya wo libas bhi najis ho jae ga (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6430
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM-O-ALAIKUM sir mera question ya hai k agar itlham ho jay tu kia qamiz or baneen bi napak ho jay gi iss ko nejsat na lagay tu ?

Answer: Agar nijasat nahi lagi to ye chezain najis nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6814
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asak...mera sawaal hai ki agar koi najis cheez jaise peshaab ya khoon kisi jagah pe sookh gaya ho aur us pe oily yani chikna haath lag jaaye to kya haath najis ho jayega?

Answer: Agr haath ki tari najis jaga tak na ponhche to najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6840
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.s mra sawal ya hai ka jb ehtilam ho jata hai or wo gand kampron par lag jata hai tu majbori ka bais namaz parni par jayi to parhi ja sakte hai.or wohi kapra pahna ja sakta han .

Answer: Jin kaprho par mani lag gai ho wo kaprhey namaz mai nahi pehen saktay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #786). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7676
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jb ma peshap karta ho to us ky bad lase dar katry niklty ha plz is ka hal btaye

Answer: Ager peshaab ke baad ap ne istabra kiya hai to wo qatre paak hain or na hi wazo ko torte hain or na hi in se gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7765
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Peshab k bad jo katray aty hain woh kiyu aty hain yeh kis cheez Ki alamat ha R raat main soty time agr atylaam na ho 1 month tak to koi problem hai kia..?

Answer: Wo qatre paak hain or un se gusal wajib nahi hai. Albatta agr apne peshab k bad istibraa (jo k ek mustahib amal hai) krliya hai to to istibraa k bad jo qatre niklen to wo paak hen, lekin agr peshab k bad istibraa na kre to or abhi itna wqt bhi na guzra ho or peshab k maqam se koi liquid kharij ho to wo peshab ka hum rakhegi matlab najis hogi or kapron ko bhi najis kregi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70-71-72) Note Or wo qatre kun aate hain? kis cheez ki alamat hain? ehtilaam kun nahi hota? in tamaam ke jawabaat ke liye Doctor se maloom karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7793
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya sharab ki khali (empty) purani bottle ko hath lagana gunah h?

Answer: Ager wo bottle paak na ki gaae ho to ager gele hath ko bottle ki najis jaga per lagaain or hath ki tari us najis jaga tak ponhach jaae to namaaz ke liye or un chezoon ke liye jin ko paak rakhna zarori hai – masalan Quraan e Majeed – is hath ko paak karna hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 787 , 129 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7910
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam kia kisi janwar ya parinday ke galast kapray ya jism ke 1ungli ke brabar hise par lag jaye to wazu toot jata h? aur gusul farz ho jata he?

Answer: Tamaam halal gosht janwaro or parindo ka paishab or pakhana najis nahi hay or ink badan per lagne se wuzu nahi tootta aur nah hi is say ghusl wajib hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul Masail Masla#322,343)(Khuda aapki tawfiqaat mein Izafa farmaye).

Id: 7933
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namz k duran peshab ka qatra nikal jany sy wazu toot jata hai kia?? ya pir ghusal wajib hai....

Answer: Pheshab najis hai aur agar aam insaan ( jise misalsal pheshaab aane ki memari na ho) se namaz k dourain pheshaab k qatre kharij ho jaay to us ki namaz batil ho jate hai aur libas tabdeel kar k ya use libaas ko pak kar k dobara se wazu kar namaz perhna zarori hai laikin ghusal karna wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #81,1113 ,322) 1)agar koi shakhs ayse maraz me mubtela ho k ise pheshaab k qatre gherte rehte ho to Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko chhoreden. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki mohlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.3) jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz se pehle najis shuda maqam ko dho le.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sawal:-kiya kisi ko bina kisi bimari ke ULTI (VOMAIT) hota hai to wo napak ho jata hai kiya usper gusul wajib ho jata hai please jawab dijiye according to hadees ALLHA HAFIZ

Answer: Ulti pak hai aur is se ghusl bhi wajib nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #80, before 344 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!