Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2879
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mani se insan napak hota he

Answer: G han.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2880
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri mani niakal jati he is halat main namaz parhni chaie

Answer: Namaaz se pehle gusal karna wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 356 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3479
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir agar kapro pay money lag jia aur pata ho kay kaha pay lagi hai to pani lagane se woh jaga pak hojiatai hai ya nahe?

Answer: Agar kapra Mani say najis ho jae to mani ko hatanay k baad aik dafa qalil pani is par dala jae jab wo pani beh jae to kapra pak ho jae ga albetta kapray ko nichorna zaroori hai ta k wo pani nikl jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia peep (zakham sai niklnay wala pila madah) najis hai?

Answer: Jee nhi, siway is k keh is peep mai khoon mila hua ho. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 26, pg # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4228
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mitti ka tanoor agar kafir nai banaya ho to kia osay istemal krna jaiz hai?

Answer: Agar is k bnanay sai tanoor ka najis hona sabit ho jae jaisay agar wo kafir is tanoor ko apnay hathoo sai bnaey aur wo ahl e kitab bhi na ho to phir aisay tanoor ko pak keay begair roti k lie istemal krna jaiz nhi. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 19, pg # 27)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4368
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera masla ya ha k raat ko sota waqat ehtelam ho gya tha to vo kapron par laga tha aur sath may mera bed(metres) par b laga tha vo jaga wet ho hai thi, main ya poucha na chata hon k is paak kasa kia jaya

Answer: Agar mani kisi paak cheez per lag jaay tu wo najis ho jaay gi or os ko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door kar k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak ho jati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichorna bhi zaroari hay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b) tauzeehul masail, maslah # 155). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4459
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.a kaya larki larky kay sperm pi sakti hai aur kaya larka bi kisi kay sperm pi sakta hai ?

Answer: Mard ki sperm(mani) najis hai. aur peena haram hai, aur aurat k jism sai jo ratubat shawat k sath niklay aur janabat ka sabab bnay to wo ratubat bhi mani ka hokum rakhti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 84)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4594
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam shrab do tehai kam honay pr sirka ma tabdeel ho jati hai sawal yeh hai k jis bartan ma shrab sirka bananay k liay rakhi jay us bartan ka neechay wala hisa to pak ho jata ha ooper waley hisay k baray ma kia hukam hai

Answer: Bartan ki beroni jigha aur upper ka hissa agar is sharab sai aalooda ho jae to ehtiyat e wajib ye hai k sharab k sirka ho janay k bad is hissay sai perhaiz kia jae.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 209)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4701
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: vuzu k bad girnain vala pani pak hay ya ni.

Answer: Wazoo kartay waqt girnay wala pani pak hai laikin agar koi najasat os sai mil jae to najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4768
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salm sir kia kapro ko jin par ihtlam ki mani lagi un ko khusk tareeqy sy pak kar sakty ha us ka tarreeqa kia jazak Allaha

Answer: Agar kapra mani se najis ho jay to mani ko door karne k baad 1 dafa pani is per dala jay. jab wo dhul jae to phir os ko nichorna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!