Question: Kya shohar se phone pe bat krne se orat ka Jo liquid ata h who napak h?
Answer: Ager bato ki waja se ap shewat ki intiha tak ponhach gaae thi or phir ye ratobat (liquid) shehwat ke sath is miqdaar main nikle ke shalwaar is se aloda (gili) ho jayae or is ko inzaal(Mani ka uchhal kr nikalna) kaha jana sahi ho (yani is ke nikalne ke baad shehwat katam ho jaye ya kam ho jaye) to ye mani hai, or namaaz or is jesi dusri Ibadaton ke liye gusal e janabat wajib hai, or ager in 4 sharait (shewat ki intiha tak pohanchna, shewat ke sath nikalna, kapro ka aloda hona or inzal kaha ja sake) main se koi ek bhi na ho to ye mani nahi hai or nikalne wali ratoobat pak mani jayegi.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: washroom+bathroom pay nahany sy insan naPAK ho jta ha ...?
Answer: G nahi or Agar kise pak cheese k baare me shak ho k najis hoi hai k nahe to wo pak mani jayegi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 117) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: istebra krne ke bad bhi mujhe peshab ke khatre ate hi hai kya mai namaaz padh sakte hai ya nahi plz plz bataie
Answer: Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat bhi pak hogi aur is sai wazu bhi batil na ho ga.jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)
Question: Salam lekum my bth rom mey pishab baite baad pani sey doleta hoto pani pant po padke pant bigjata hyso hua to namaz padega to namaz qubool hogi
Answer: Wssalam o alykum, Ager kapro ke nijis hone ka yaqeen o itminaan na ho or namaaz ki tamaam sharait mojood hon to namaaz sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 117 , 929 , 1113 to 1143 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agar kisi jagha per yani zameen per aloodghi ya napaki lagy hoy hy to os jagha ko kis tarah pak kia ja sakta hy.
Answer: Agar wo zameen jis ka farash phater ya eentoon ka ho ya dosere sakht zameen jis me paani jzb na hota ho najis ho jaay to wo zameen qaleel paani se paak ho sakte hai laikin (nijaasat door kane k baad) zarori hai k is per itna paani daala jaay k behne laghe .jo paani upper daala jaay agar wo kise gharhe waghaira se bahar na nikle aur aik jagha jama ho jaay to is jagha ko paak karne ka tareeqa ye hai k jama shuda paani ko kaapre ya bartan ki madaad se bahar nikaal diya jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 174)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr jagty huy gandy khyal sy ya sex movie dekhny sy penis sy les dar katry nikl ay to gusal zruri ha or kapry kis tra pak krny hn kya sirf gandi jga ko saff krna kafi ha
Answer: Mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,389 ) Haram k baray mai sochna agar inzal(mani kharij hona) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) Libaas k jis hisse ko nijaasat laghe ghe srif wo hissa najis hogha baaqi hissa paak rahe gha . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya ehtlam honay se jitnay kupray pehnay ho wo sb napak ho jatay hain jaisay jacket, shirt or socks etc ?
Answer: G nahi sirf wohi jaga najis hogi jahan najasat lagi hogi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: Asalam o alaokum! Mera Sawal Ye Ha K Agr Insan k jism napak ha [ means mani sy napak ha] or phr adhay jism dhony say pak hoga [means adhi legs dholi] ? or phr adhy jism dho kr kapre phen liye jo kapre pheny wo pak khelaenge ya nai ?
Answer: Wssalam o alykum, ager kapre pehanne se pehle jisam ko paak kar liye to kapre paak hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Mera sawal yeh hai k main agr apni gf se baat kr raha hoon or kisi waja sy meri mani leak hojaye thori si toh mera jism or kapray na pak hojayenge ?
Answer: Agar mani kaprhe ko lagi ho tu wo na paak ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar kapdo pe mani lag jae tou kese saaf karein kese pak karein?
Answer: Pehle paani se mani ko hata ker aik dafa pani daal ker os ko nichorhain tu kaprha paak ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #156). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).