Question: AOA, peeshab kay baad 1 mard nay 3 baar sharamgah paak ker li.phir istibra kertay huay sharamgah say cheentay jism per gir jaaen tau kya woh paak hein?please reply by Ayat-ul-Allahh seestani fatwas
Answer: Maqam e paishaab ko aik baar dhoona kaafi hay or behtar ye hay k 3 mertabah dhooya jaay.agar aap ko ye yaqeen (100%) ho k jo cheentay aap k jism per lag gaay hain wo paishaab k qatray hain jo paishaab ki naali say istibra kertay waqt niklay hain tu jism ka wo hissa najis ho jaay ga. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#62,119).
Question: Agar Peshab ke qatre ate hon to kya har namaz se pehle kapre pak karna zaroori hay ya nahin. Agar hai to is ka tareeqa kya hai. Aur kya har namaz se pehle penis aur tangon ko dhona zaroori hai ya nahin.
Answer: agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd hazraat is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi rehta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72). Agar paishaab k qatray aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).
Question: Salam. English toilet use karte waqt pakhana karte waqt jo cheete ur te hain us main peshaab bhi shamil hota hai. Un jagho ko jahan cheete ure hain ek baar pak karna kafi?
Answer: Agar libaas aur badan peshab se najis ho jay tu os per qaleel ya kur pani 2 dafa bahana zurari he. albatta jaari paani(maslan chashma{ spring/fount}) main aik baar dhona kaafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 154). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: gusl farz hone ki sorat me pak kapre pehn sakte hain kia?agar gusl k baad phir se wohi kapre peh liye jain to koi harj hai kia?
Answer: Jo shakhs junub ho het’ta ke agar haram se bhi junub hua ho to is ka pasina pak he. 2)Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag gey aur donoo ya in me se aik is qadar tar(wetness) ho k aik ki tari dosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 114 , 119)
Question: salam janab, mera sawal ye hai ke raat ko ahtelam,ya khooni matam kerne ki wajah se jo kapray pe daagh reh jatay unkay pak kerne ke bawajud tou kiya un kapron se namaz parhna jaiz hy??? jb ke dagh moujood hon? detail mein btayiye...
Answer: Jab tak aayn nijasat kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahi ho gi lakin agar boo(smell) ya nijasat ka rang is me baqi rah jaay to koe haraj nahi layheza agar khoon libaas per se heta dia jaay aur libaas dhooh lia jaay aur khoon ka rang libaas per baqi bhi reh jaay to libaas paak ho ga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 164)
Question: salam mera sawal ye hai k, agar mani ratobat chadar , bistar, ya dusry kapro mei lag jaye to kiya wo bhi najis ho jaye gay, aur ye k mani nikal ne k bad gusul kiye baghair mani saaf kar k dusry kapry pehne to kiya wo kapre bhi najis ho jaye gay
Answer: 1)Agar mani kisi paak cheez per lag jaay tu wo najis ho jaay gi or os ko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door ker k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak hojati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichornah bhi zarori hay.(ref:Ayat Ullah Ayat Ullah Seestani(d.b), (d.b), Tauzee hul masail, maslah#155). 2)Agar badan k tamaam najis maqamaat (yani jahaan mani lgi thi) ko paak ker k dusray kaprhay pehen liay jain tu wo dosray kaprhay paak raheen gay. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119).
Question: agar wife k sath hmbistri ki jay to us k bad kia cloth ka vohi hisa dhona chiye ya mukaml dhona chiye . agar vohi hisa dho lia jay to jaiz hay ya najaiz hay.
Answer: Is web site me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Kapray k jis hissay ko najasat lagi ho sirif wohi hissa najis hoga. Aur baqi hissa paak shumaar hota hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 122) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr anus mein pasina aaye to kya pak hai or namaz ho gati hai
Answer: pasina khud pak hai laikin agar ye najasat sai mil jae to najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 80-114) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera sawal yeh hai ki kya peshab ke bad istanja tissue paper se kiya ja sakta hai ya nahin agar pani se karna mumkin na ho
Answer: Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se paak nahi hota he. aur ose pani se aik martaba dhona kafi he albatta ethiyaat e mustahab he k 2 martaba dohain aur behter ye he k 3 martaba dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamo Alaikum. mera sawal ye hai k kya mani (semen) khaarij honey se pehle jo chikna sa mada khaarij hota hai sharamgaah se us se Ghusal farz hota hai ya nai? Plz reply me soon
Answer: Wssalam o alykum, G nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).