Question: Salaam! Plz tell me wuzu k dauraan qulli kitni Dafa karni chayay aur naak mein kitni Dafa paani dala jayay plz tell me urgently coz I'm so confused about it
Answer: Wssalam o alykum,qulli or naak men pani dono 3 baar krna hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # 168 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: Hijab k uper sy sir ka msah ho skta hy? Ya hijab utar k hi krna lazim hy? Aur socks pehn k paon ka masah hojata hy ya ni?
Answer: Jee nahi is tarah ka masah durust nahi hai masah khaal (i.e jild) par kia jaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masael ayatullah Khumeni maslah# 251 & 259). [Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam alikum. Main nai kisi se suna tha k hawa kharij ho tu istanja ki zarorat nahi hoti sirf wazo karna parta hai .yeh kia theek hai.thanks
Answer: wsalam. Jee aisa hi hay reeh ka kharij hona faqat mubtilaat e wuzu main say hay. Reeh kharij hone k baad istinja karna lazim nahi hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#322). [Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sar k baalo py oil laga ho tu Masa ho jata hai ya nhi? Answer plz
Answer: Sirif chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana parhay ga. (Ref:Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part#04, pg# 26) [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: wazu mukamal hone k bad agr kapre ya tolye se jism ko khushk jaye to kya wazu batl ho jayega
Answer: nahi , is sy wuzu batil nahi hota.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 322) [Updated on 19-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum waju ke kitne wajibat hain
Answer: Was Salam. 4 wajibaat hain chehre ka dhona, dono haatho ka dhona, sar ka masah , pairon ka masah. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 235) [Updated on 08-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Her waqat shoes Aur socks pany wala shaks her wazoo k sath pawon dhona zarori hn
Answer: wuzu mai paaon dhona zaroori nahi hai. wuzu mai wajib hai k chehra or dono hath dhoye sir ka masaa or dono pair ka masah karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 235). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: BACHO KO NAZAR LAGJAYE dua dum karne ki liye wazu ka hona zaroori hai KIYA
Answer: Jee nahi is k liye wuzu zaroori nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seesstani edition#41, maslah#315). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia na mehram k samnay wazu tot jata Hy? Or fajar k wazu sy Zohar ki namaz hojari hy
Answer: Aurat ka na-mehram mard k saamne wuzu karna jaiz nahi hay. or fajar k wuzu say zohar k namaz perhi jaa sakti hay agar fajar ka wuzu baaq ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #666,321). Update on dated 26-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ma n apny dost ammar ki phupo ko choda h boht presahn hn plz koi hal btao
Answer: Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq Sura e Talaaq (Sura no 65) ki tilawat karte howe Allah Qadir o Tawana ki Baargaah e Muqaddasa main sache dil se toba o istigfaar karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) [Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]