Question: Kya ghusa ani se wazu toot tha hai?
Answer: Ghussa anay say wuzu nahi toot ta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322) [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia wazu k bager mobile phone mein quran ki application sy quran ki tilawat kr skty hein?
Answer: Jee han, Quran ki tilawat kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #316). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum Bina SAR dhake aurath k liye wazu jayaz hai?
Answer: Bazaat e khud wuzu tou sahi ho jaaye ga lekin agar koi na mehram saamne hai tou us sai pardaa karnaa laazim hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/). [Updated on 08-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum sir nails barhana jaiz hai fiqae jafferia me ? Agar nails saaf hon ethiyat hon unki tw wazu ho skta h ?
Answer: 1: Baz riwayat mai is baray mai moujood hai ke nakhun(nails) barhana auraton ke liye munasib hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1, sawaal #186, pg #90). 2: Agar nakhun mamool sai ziada barhay huay hon to jitna hissa mamool sai ziada barha hua hai is ke nichay sai mail nikalna zaroori hai take pani khal tak pohnch jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #290). [Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamun Aleikum, My question is that, Is it permissible to wear hair wig??? And if it is, How can we perform wuzu if it is non removable????
Answer: sar per wig lagana agar srif aaraaish (zehnat) ki niyat se ho or shadi ke lie fareeb kaare ( furaad ) or aieb poshi ke lie na ho tu jaiz hai .( ref: sistani.org,urdu,topic pardah, sawaal no: 27) wig aik qisam ki zehnat o aaraaish hai ise namehram mard se chupana zarori hai .(ref: nigha o libaas, pg no: 90,sawaal no: 148) sar ke baal( hair) agar masnoi ( artificial) tareqe se lagwaae hai tu lagwaana jaiz hai laikin ye wuzu or ghusl ke sahe hone me rukawat bane ghe lehaaza agar mumkin ho or zarar na ho tu inhe hatakar wuzu or ghusl karna wajib hai .(ref: deen ke ahkaam , iqtebaaz mujtahid se pouche ghe sawalaat,pg no:43,sawaal no: 144) masnoi ( artificial) tareqe se sar per baal ( hair) ugaahe jaate hai agar ahtemaal( chaance ) dia jaae ke ye masnoi ( artificial) baal ( hair ) pani ke skin ( khaal) tak pouchne me rukawat hai tu inhe hathana zarori hai .(Ref: Jadeed fiqhi masail fuqaha wa mujtahideen ki nazar mai, Part #2, baqaul Ayatullah Sistani(d.b), pg #94). Aur agar wig aisi hai jisey utara nahin ja sakta ya us ka utarna shadeed takleef ka sabab hoga tou us shaks ka fareeza tayamum hai, lekin agar wo wig tayamum ki jagah par ho yane (peshani k kuch hissey par bhi ho) tou zaroori hai k wuzu or tayammum dono karey. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #337). [Updated on 27-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya pyaz or lahsoon khane se wazu toot jata h
Answer: pyaz or lahsoon khane se wuzu nahi toot hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 44 maslah no 322). [Updated on 27-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia haiz ma hath p mehndi lga k gusal kr skty Hain kia mtlb oak hony k liy mehndi ka utarna zaroori h kia
Answer: Agar mehandi ki wajah se wuzu ya ghusl k aaza tak paani pouchne me koe rukawat nah ho to wuzu ya gusl kiya jasakta hai. Aur agar rukawat ho to phir us rukawat ko hatana zaroori hai.(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #289). [Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera sawal ye hai ke agr insan ko pishab ki bemari ho or usko pishab krne ke bad qatre nikal jayen har dafa tw wo namaz kese prhe.
Answer: Agar peshaab k qatre aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakhiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zaroori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirf namaz k waajibaat anjaam day or zaroori hay k mustahab kaam maslan azaan, iqamat or qunoot ko chorh day. laikin zaroori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay. Agar kise ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to us ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi.Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #306,308). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sir ka masa kia bgair namaz ho sakti ya nahin?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Sar ka masah kiye bager wuzu mukammal nahin hota Q ke wuzu men sar or isi tarah paaon ka masah karna zaroori hai, lehaza jab wuzu sahi tareeqe se na kiya jaye to namaz sahi nahin hogi.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #248). [Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Keya aurto ky lye zarori hy ky sarr dhaanp kr wazoo karien?
Answer: Agar wahan na mehram na ho to sar dhanpna zaroori nahin hai, lekin agar na mehram ho to us ki wajah se sar ka dhanpna zaroori hai isi tarah bazo ka chupana bhi zaroori hai. Aurat k liye zaroori hai k wo sar k baal aur apna badan na mehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na ho lekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samajhta ho or ehtamal ho k aurat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar ho jayegi, laikin aurat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2399). [Updated on 31-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]