Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Wuzu ( 45 Questions)


Id: 10632
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA! kajal, lainer or lipstick lagana sa wazu ho jata hai? jo hum ankhoun k uper lagata ha jisa lainer kheta ha muja ni pata usko lagna sa pani lagta ha ankho ko k ni ya samj ni ara yahe phuchna cha rai.

Answer: agar kisi ko shaq ho kah koi cheez jild tak pani pohungnay may rokawat hay yah nahi to zaroori hay us cheez ko hata day pani nichay tak pohchahay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah#289) [Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Total fraiz in wozu?

Answer: wuzu mai 4 wajibaat hain. 1.chehra dhona 2.dono haathon ko kohni sai ungliyon k siron tak dhona. 3.sar k aglay hissay ka masaa. 4.dono pair k saamney walay hissay ka masaa. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 235) [Updated on 27-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11524
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alikum Ya Ali a.s Madad Mera Sawal ye h k mn job krti hn r wahn bar bar wazu ni kr skti mn ghar se wazu kr k jati hn to ap ye btaye k aik wazu k sath kitni namazain parhi ja skti hain?

Answer: Jab tak wuzu baaqi hai namaazein parhi jaa sakti hai har namaz k liay alehda wuzu karna mustahab hai zaroori nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 321). [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Ya Ali A.S Madad Qibla mera sawal yeh tha k ager wuzu kernay k baad kapray change kia jain means k pooray kapray utar ker doosray tabdeel kia jain to dobara wuzu kernay ki zarorat to nahin hai.

Answer: wuzu dobara karnay ki zaroorat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13051
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Balon par masah karnay kay lie balon ki maximum length kia ho sakti he please clear bata dein, Ayt. Sistani se bi istafta lia magar clear nahi ho rha

Answer: wo baal jo sar k agle hisse main ugte hain or sar k agle hisse main hi rehte hain tu on baal per masah kia jaa sakta hay or agar wo baal lambe hoon tu on k os hisse per masah karna jaizz hay jo jo sar k agle hisse main rehta ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 250). [Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13247
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamum Alaikum Yaa Ali ع Madad Allama Saab Baalo Me Gel Yaa Wax Lagayi Ho Phir Wuzu Kaise Kar Sakte Hai...Kya Uss Baalo Par Masah Kiya Jaayein Jispar Gel Lagi Hui Hai To Kya Wuzu Jaiz Hai...Or Agar Nahin Phir Wuzu Kaise Karna Hoga.?

Answer: Aam taur per Gel ya Wax rukawat hi hote hain lehaza agar ye sar k aagale hissay k tamaam baalo per or khala per lage hoon tu maslah karne k liay in ko hatana hoga. (Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#289). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13330
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hair patch cosmetic glue ky sath head py attach hy or net wala hy to kia wazzu or gussal ho jay ga

Answer: Agar wuzu main sar ka masah karne main koe rukawat nah ho tu wuzu sahi ho jaey ga laikin ghusl karne se pehle badan per rukawat ho tu os ko hatana zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #376). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13547
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamoalikum sir main job karti hun or mainy Khol kar skarf kia hota hy thory Bal nazar arahy hoty haain or sath male b kam kartyy haiin kia Is tarha sy wuzu toot Jata hy ya mjy namaz k Lia dobara wuzu karna parhy ga ???

Answer: wsalam.is sai wuzu baatil nahi hota lekin namehram k saamne baal kholna jaiz nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13711
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA. Agr apko bht arsy bd maloom ho k ap jahan wazu krty rhy hen bessn wgyra men, or us bessn men koi pagal peshab krta rha hai to kya wo besan napak hai or us jgah wazu krna kesa hai? wo peshab krk pani baha deta tha phir wo jgah pak hui ya napak??

Answer: 1: Wuzu ho jaey ga, wuzu k liay basin ka paak hona zaruri nahi hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #264-297,322). 2: Agar koi cheez peshab se najis ho jay tu os per qaleel ya kur pani 2 dafa bahana zurari he. albatta jaari paani(maslan chashma{ spring/fount}) main aik baar dhona kaafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 154). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14109
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kajal laga ho ankhon me or ankhon se neeche aa gaya ho to gusal hoga

Answer: agar us maqaam par khal per paani pohanch gaya hai tou ghusal sahi hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 376). [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!