Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 80
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ek aurat ne chemical wali mehendi ya nail-polish lagayi hui hai toh is soorat mein iske liye wuzu ka kya hukam hai? kya uske liye mehendi ya nail-polish ki maujudgi mein wuzu aur us per tayammum karna kaafi hoga ?

Answer: Salam un alaikum, Agar yeh mehendi paani key pohonchney mein rukawat banti ho to wuzu sahi nahi hoga. Agar shak hai keh paani pohnchay ga ya nahi tab bhi zaroori hai keh mehendi ko hata liya jaaye. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 289

Id: 107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salams..main ne suna tha ki jo chemical wali mehendi hoti hai vo wazu k pani main rukawat nahi banti hai.. kia aap muejh bata saktye hain ki aaj kal jo mehendi aati hai bazaron main vo lagane se kia wazu k paani ka masla hota hai ya nahi..Thanks..

Answer: Mehendi kay rukawat bannay ya na bannay kay baray main ham kuch nahi keh saktay.agar ye mehendi wuzu kay pani kay pohunchnay main rukawat banti hay to wuzu sahih nahi hoga agar shak ho kay rukawat banay gee tab bhi zaroori hay kay hata liya jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.289.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 108
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: When we read Quaran in arabic on-line do we have to do wuzu?

Answer: Baaz fuqaha nay Quran Majeed kay parhnay kay liye wuzu ko mustahab qarar diya hay.laikin is ka mustahab hona sabit nahi hay albatta agar koi shakhs mustahab honay kay aihtimaal kay saath wuzu karay to is ka wuzu sahih hay aur is wuzu kay saath har wo kaam kar sakta hay jo ba-wuzu ho kar karna zaroori hay.masalan is wuzu kay saath namaz parh sakta hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.321.

Id: 113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Using Alcoholic Perfumes when praying namaz! if there is no problem with it... is there any requirement that we shouldnt use alcoholic perfume BEFORE WUZOO??

Answer: A.Sistani kay nazdeek Sanati aur Tabeei Alcohol ki tamam aqsaam paak hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.109.

Id: 210
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamoalekum ab tak jawab sa qasir hoon sawal dosraya ha kah wuzoo karne ka darmiyan bat karne sa wuzoo sahi rehta ha

Answer: Salam un Alaikum Agar Baat karney ki waja se wuzu kay Afaal k darmian itna Fasla (waqfa)hojay k usay Urf e Aam mai Pe Dar Pe (Aik k baad Aik)dhona na kehlay to Wuzu BATIL hai. Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No.282

Id: 261
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a if any one washed left hand in wazau then off the tap(nul) there is water on the tap & that water mixed with water (tari) which is remain in the right hand & then i do masa of head .......... ques, is wadhau become right.

Answer: Agar ye kaam baain haath ko mukammal tor par dhoonay say pehlay kiya ho to koi ishkaal nahi hay aur agar baain haath kay dhonay kay baad kiya ho laikin nalkay say haath par muntaqil honay wali taree nihayat hi kam ho yani aik ya do qatray ho jo haath ki taree kay saath mil kar khatam ho jati ho to bhi koi haraj nahi hay.Ref:Book-2 Pg.26 Q.No.19.

Id: 300
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamolikom .gusel ya wazo key bad keya pani ko towl ya kesi kabrey key sath saf keya jaa sak ta ha?waliom salm. hamid shah

Answer: Aisa karnay main koi haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani.

Id: 323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya Mehendi waghaira jo kay aaj kal raaij hay aur Cone ki shakal main aati hay .. usay istemaal kar saktay hain?

Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to istemaal kar saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.

Id: 341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya wudhu karney k baad agar towel sey chera ya haath etc saaf kiye jaein tu kiya wuzu "batil" ho jata hai?

Answer: ji nahi. yeh mubtilaat-e-wudhu mein se nahi hai. REF: Tauzeeh-ul-masail, masla no. 322.

Id: 363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aik aadmi ki daari itni bari hai k uski jild nazar nahi aarahi hai ab wo wuzzu main apney chehrey ki jild tak pani kasey phonchaye ga

Answer: bismehi taala, agar chahere ki jild balo ke niche se nazar aati ho to pani jild tak pahonchana zaroori he or agar nazar na aati ho to balo ka dhona kafi he or un ke niche tak pani pahonchana zaroori nahi. (ref. tawzihul masail, urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masaala no. 239 page no. 47)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!