Question: Q:1 Whose reward is more than the other between these two namaz ? (1) wajib namaz e.g. namaz e zuhr OR (2) mustahib namaz e.g. namaz e tahajjuj ( namaz e shab )
Answer: Salam un Alaikum We are extremely sorry for the late reply. We will try to responce you soon next time insha allah. Is sawaal ka jawaab yeh hay keh maslan zohar, aasar aur subah kee nafila kee fazilat us waqt ziyada hay keh ja usay fazilat key awwal waqt mein parha jaye laikin yeh nahi kaha ja sakta keh wajib ya mustahab mein sey kaun see namaz afzal hay, is liye keh wajib namaz ko to chora hee nahi jaa sakta jab-keh mustahab namaz ko tark kiya ja sakta hay. Ref: Istiftaat Aqai Sistani.
Question: Namaz-e-Juma to Namaz-e-Juma ki niyat se pardhte hai laikin baqi jo sunnatay hai us ki niyat bhi juma ki hi hogi ya phir zohar ki niyat se pardhe
Answer: Jume k din zohar aur asar ki sola(16) rakat nafal per 4 rakat ka izafa ho jata he. Behter he k puri puri 20 rakatain zawaal se pehle parhi jein siwa’ay 2 rakat k jin ka zawaal k waqt parha jana bahter he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam-u-aliqum: may nafila namaaz kay baaray may jaanha chatha hon.mujhay in ki tadad to pata hai lakin agar aik shakhs Jamaat kay saath zohar aur asar ki faarz namaaz parhta ho to wo nafila naamaz kab parhay aur kis niyat kay saat paray.
Answer: Namaz e asar k bad Namaz e asar ki nafla rajae ki niyat se parh sakhtay hein.(ref : email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : April 6, 2011)
Question: namzey asar mein sonnat parhi jati hain kia? ar aghr nahi tu kiun?
Answer: Namaz e asar ki sunnat namazain (nafil) 8 rakat hain jise 2 , 2 rak’at kar k parhte hain. Asr ki nafil ,asr say pehlay perhi jaati hay aur is ka waqt asar tab tak baaqi rehta hay jab tak oasay namaz e asr say pehlay ada kerna mumkin ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752 , 757)
Question: Assalamo Alayikum. Mujhe namaaz ke sunnaton ke bare me batayen.
Answer: Mustahib namazain bohat se hein jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat heinjin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752)
Question: namaz may jo nafil parhte hain wo bhi farz or sunnat ki tarah kharay ho k parhne chahiye ya beth ker parhna chahiye nafil.ya dono tarike se parh sakte hain.
Answer: Nafal namazain halat e ikhtiryari me bhi baith kar parhi ja sakhti hain. Aur ye bhi zarori nahi he k 2 rakaatoon ko aik rakat samjha jaay albatta behtr he k inhein kharay reh kar anjaam deen jain aur zarori he k namaz e isha ki nafil ehtiyaat e wajib ki bina per beth kar anjam di jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 754) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.A,mera sawal ye he ke hum agar farz namaz ke sirf farz hi parh len sunnat aur nafil na parhen to koi ghunah to nahi or kia humari namaz ada ho jaey gi?
Answer: Mustahab namazoon me se rozana ki nafil namazoon ki bohat ziada takeed ki gae he. Laikin in ko parhna zaroori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.o.a.Keya nafal nemaz Beth ke parhne chayain ya khare ho ke.jo nafal nemaz main hote hain ,shukriya
Answer: Nafal namazain halat e ikhtiyaar may beth kar parhi ja sakhti hain aur ye bhi zaroori nahi hay k 2 rakatoo ko 1 rakat samjha jaay albatta behter hay k inhain kharay ho kar parhain. Aur zaroori hay k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 754). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: Isha ki qaza namaz mai kia witar b parhnay hotay hain plz guid me
Answer: Isha ki nafla ka waqt namaz khatam honay k baad sai aadhi raat tk hai aur bethr hai k namaz e isha khatm honay k foran baad baad parhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 759) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslam o alikum sir mujhe namaz k mutalik kuch bataen isha ki namaz mn 3 vitr kis taraha perhay jatay hn?
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Isha ki nafl 2 rakat beth kar parhi jati hai. aur fajar ki terah parhi jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752-55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).