Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14367
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai k isha ki namaz ma jo 2 rakaat bhaith k parhi jaati hain wo sunnat hain ya witar..?

Answer: Mustahab namazain jitni bhi hai unhen sunnat bhi kaha jata hai aur isi tarah unhen nafela bhi kaha jata hai. Aur namaz isha ki nafl namaz ko witr is liye kaha jata hai Q ke is namaz ko agar khare ho kar parha jaye to ye aik rakat hai. aur jo bhi adad(عدد) taaq ho (jese 1,3,5,7 wagera...) ​to use (witr) kaha jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #752,755). (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D9%88%D8%AA%D8%B1 ). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14532
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jume ki farz namaj se pahle 6 rakat kon si hai

Answer: ( Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain ). Fiqh e jafaria main Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jumme k din k ilawa 34 rakat hain jin me se 8 rakat zohar ki (jo zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen), or 8 rakat asar ki (jo asar se pehle parhi jati hen), or 4 rakat magrib ki (jo maghrib ke bad parhi jati hen), or 2 rakat isha ki (jo esha ke bad beth kar parhi jati hen), or 2 rakat namaz subha ki (jo fajar se pehle parhi jati hen), or 11 rakat namaz shab ki hain. laikin Jumme k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay parhi jaen sawaye 2 rakat ke jin ka zawal k waqt parhna behtar hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14569
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya fajr ki azaan se pehle sunnat doh raqat pdh skte hain?

Answer: Jee han, parh sakte hain. Fajar ki nafil(sunnat) namaz e fajar sai pehlay parhi jati hai aur is ka waqt namaz e shab ka waqt shuru hone ke itni der bad shuru hota hai jis men namaz e shab ada ki jasake aur us waqt tak baqi rehta hai ke jab tak subah ki namaz se pehly is ki adaigi mumkin ho laikin agar koi shakhs subah ki nafil mashriq ki surkhi zahir honay tak na parhay to is surat mai behtar ye hai ke pehlay subah ki namaz parhay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #760). [Updated on 10-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe shak hota h k mene shukrana k nafil parein h k nhi ab m kia karu

Answer: Agar koi shakhs shak kare keh mustahab namaaz parhi hai ya nahin aur us ka koi muqarrar waqt na ho jaise “namaaz-e-jafar-e-tayyar” to use samajh lena chahiye keh nahin parhi. Agar us mustahab namaaz ka yaumiah nawafil ki tarah waqt muqarrar ho aur us waqt ke guzarne se pehle shak kare keh use anjaam diya hai ya nahin to us ke liye bhi yahi hukm hai. (yani samajh lena chahiye keh nahin parhi). Laikin agar waqt guzarne ke baad shak kare keh woh namaaz parhi hai ya nahin to apne shak ki parwah na kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1185). [Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15866
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 2 2 rakat nafila namaz jo zohar mein padhte hai kya uski niyat 4 baar hogi?Nafila padhne ka tareeka btaiye plz kya har 2 rakat pr namaz mukammal kar kar agli 2 rakat shuru karni hai?

Answer: Jee han, zuhar, asar aur maghrib ki Nafila ki niyat kar ke 2, 2 rakat nafila namaz parhi jayengi. or har do rakat se pehle us ki niyat ki jaye gi. Albatta niyat ke alfaaz dil se guzrna ya masalan zaban se ye kehna ke "me do rakat nafila e zuhar wagera parhti hon" zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #752,1531). [Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17523
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: isha ki namaz ka 2 vitar zrori hn ya nahi or ya sunnat lazmi parhni hn?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhein ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. 2: Isha ki nafila (jo ke 2 rakat beth kar parhi jati hain) ka waqt isha ke bad aadhi raat tak hai, aur behtar hai ke ise isha ke fauran baad parh liya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #752,759). [Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19829
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: 5 waqth Namaz k sarH kithne Nafal pharne chahye hai or baaD ma ya PehlY pharne chahye hai sahI tareeqa Or waqth bta dijeay

Answer:

Id: 20838
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: as salam walikum. ya Ali as madad. mra sawal he ke zohreen ar maghraben ke total namz with sunnati kis tareqe se tarteeb war parhi jati he. 2) me agar 3pm me 4 rakat zohar ar 4 rkat asar ki namaz parhi to kia meri namaz hogai. plzz jaldi batade. me bht pareshan huu wasalam

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!