Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5754
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ye janna chahta hun k agr zohar ki nemaz ya koi bhi nemaz jamat ke elawa parhi jaye to us ki tarteeb kya hogi matlab zohar ki nemaz main pehle 4 sunnat phir 4 farz parehige ya pehle farz ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Zohar ki nafla namaz 8 rakat hain jo 2 2 kar k parhi jati hain aur ye namaz zohar ki namaz sai pehlay parhi jati hai phir zohar ki namaz parhtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 756)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5908
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As-salam-alaikum kya isha ki nafal k bagair isha ke nimaaz ho jati hy?

Answer: Zaroori hai k isha ki nafal ehtiyat e wajib ki bina par beth kar 2 rakat parhi jae aur isha k baad parhi jae laikin q k nafal parhna mustahab hai is lie nafal ko chor bhi saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752-755)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6525
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz e witr ka tareka sahi ahadith ke roshni mai

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak,aat hay.8 rak,aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak,at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak,at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak,at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay namaz shab me faqd 1 rakhat witar per iqtefa karsakte hai (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104, (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 498, eidition 1435 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7609
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamuallaykum Molana Sahaib tahajjud ki namaz mein konsa surah padhna Fzal hai

Answer: Namaz e tahajjud ki rakato me surah al hamd per iqttefa kar sakte hain aur dosere surah perhna wajib nahi hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4,ques # 78, pg # 47) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8418
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Fajar ki Namaz e Bajamat mai dair ho jaye phonchne mai aur jammat khari ho jaye tu sunnat kaise parhi jaye

Answer: Farj ki wajib namaz ko jama,at k sath ada kerne k baad fajr ki naafla namaz ko perhna jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #505 , Eidition 1430 hij). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8697
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wajib (farz) namazon ke alawa ek din mein kitni rakat namazein padhi jati hai

Answer: Answer wajib namazo k alawa aik din main 34 rakat mustahab namazain perhi jati hin. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #752). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9578
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As...!! Kia wo nimaz qabool hu jti jc me farz hi ada kiye jye... Kia nimz me just farz ada kiye ja skty...!!! Agr koi sunaty ya nafil chor dy tu kia nimz adohri rhti...

Answer: Mustahab ya sunnat sai muraad har wo hukm jis ko karney mai sawab ho lekin na karney mai koi gunah na ho lehaza agar namaz mai faqat wajibaat ada kie jain or mustahabaat ko tark kar dia jaey ya nafl namazein chorh di jaey to namaz sahi ho jati hai albatta behtar hai k mustahabbaat ko tark nah kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10424
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir Nafel Namaz perhna zroori hai ya ni? Jasy Esha ki namaz me nawafil hoty to nawafil na perhny k bagair namaz ho jti?

Answer: Nawafil namaz mustahab hai yani on k perhne se sawab milay ga, un ka parhna zaroori nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 ,maslah#752). [Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10439
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam o allaikum mara sawal ye h k maqarib ki namz k nafal beth kr ku parhy jaty han

Answer: Maghrib ki nawafil beth kar parhi jaa sakti hai lekin ishaa ki nafil ehtiyaat e wajib ki bina par baith kar parhna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 754) [Updated on 01-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10894
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia hum 3 rakat nafil sath parh sakty hein

Answer: Islam main 3 rakat nafila namaz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752). Update on dated 09-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!