Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10982
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qasar namaz k sath ju suntien hain kia unko parhna hai ya nai

Answer: zuhur aur asar ke nawafil safar mein nahi parhni chaiye aur agar isha ke nawafil rajaa ki niyyyat se parhe jaye to koi haraj nahi. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla no 755 ). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11197
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zohar ki 4 sunnat jamat k bad kasy Ada ki Jay

Answer: 1. Nafal namazein (mustahab namazein) jummay ke ilawa kul 34 rakaat hain, jin me se 8 rakaat zuhar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat maghrib ki, 2 rakaat isha ki ehtiyat wajib yeh hai keh beth kar ada ki jaye to woh ek rakaat shumar hogi, 11 rakaat namaz e tahajjud aur 2 rakaat subah ki namaz, albatta jummay ke din zuhar aur asar ki 16 rakat ke sath 4 rakaat ka izafa ho jayega. 2. zuhar ki nafal zuhar se pehle parhi jati hai, us ka waqt awwal e zuhar se hai aur us waqt tak baqi rehta hai jab tk use namaz e zuhar ada karna mumkin ho. (Ref : Ayatullah Sayyid Ruhollah Khomeini,Tauzeehul masail , maslah #764,768 ) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11348
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sukhrany ke nafal kab ada karny chye mtlb us ka time kia hota h

Answer: Shukrane k nawafil kisi bhi waqt perhe jasakte hain. (Ref: Ayatullah sistani, Urwatul wusqa,Part#2, Maslah#1208). Update on dated 14-01-2020. [Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11432
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr wedding night me nafil na parhy ho to kya hota ha?

Answer: Nafil namaz mustahab hai lehaaza usay tark kiaa jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 752). [Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11434
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr wedding night me nafil na parhy to kya hota ha?

Answer: Nafil namaz mustahab hai lehaaza un ko agar tark kar dia jaey tu koi haraj nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 752). [Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13392
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Panjgan namazo ka afzal tareen waqt?

Answer: 1: Namaz e zohar ki fazilat ka waqt zawal aur shakhis (lakrhi) ke sayah ki wo miqdaar jo zohar k baad paida ho 7 may say char 4 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. Namaz e asr ki fazilat ka waqt shakhis (lakrhi) k sayah ki wo miqdar jo zohar k baad paida ho 7 may say 6 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. (ye waqt os waqt ka hay jab shaded garmi na ho aur jab shaded garmi ho to in dono namazoo ki fazilat ka waqt shakhis k baraber aur shakhis ki dogni (double) miqdaar k dermiyaan baghair faaslay k hay.) Namaz e Maggrib ki fazilat ka waqt os k liay jo musafir nahi hay maghrib say shafaq k chalay janay tak yani humrae magribia (magrib ki surkhi) aur jo musafir ho os k liay fazilat ka waqt raat k 1/4 hissay tak hay. Namaz e Isha ki fazilat ka waqt shafaq k chalay janay say yani humrae magrabia say raat k aik 1/3 hissay tak hay.) Namaz e Subah ki fazilat ka waqt fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay, or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay. Isi terh tamaam fazilat k waqton me jaldi karna pehlay bataye gay waqtoon par afzal he. (Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#1,maslah#504). 2: Munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88). 3: Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). 4: Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) 5: Quran e kareem main sorah Bani Israil(sorah#17) ki ayat#78 main hay k “ Aap zawaal e aftaab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezam kia gaya hay.” Note: Wazeh rahay k Quran e Kareem nay namaz k 3 hi auqaat biyaan kiay hain.2 namazo ko zawaal e aftaab or 2 ko tareeki e shab or 1 ko fajr se, layhaza 3 auqaat per ayteraaz kerna Quran se nawaqifiyat ki wazeh daleel hay.(Anwaarul Quran, Tajuma or tafseer Allama Zezhan Haider Jawwadi, pg#613.) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13760
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Do we have Sunnat namaz in Shia belief? Or what is the difference between sunna and nafil?

Answer: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahi hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz kaha jata hai. Rozana ki mustahab (nafla, sunnat) namazain jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat magrib ki, 2 rakat isha ki, 11 rakat namaz shab ki, aur 2 rakat namaz subha ki. laikin Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtar hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #752) [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13812
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 5 waqt namaz k sath nafal r sunat namazo k bary my tafsil sy btayi k kitni namazy Hain r har namaz k kitny rakat hy.

Answer: 1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat magrib ki, 2 rakat isha ki, 11 rakat namaz shab ki, aur 2 rakat namaz subha ki. laikin Juma k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parhna behtar hai. 2: Mustahabat(nawafil) ka waqt muayin hai. jese Zuhar ki nafila zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen, or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada karna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila asar se pehle parhi jati hen, or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-asar se pehle ada karna mumkin ho, Magrib ki nafila maghrib ke bad parhi jati hen or jahan tk mumkin ho ise magrib ke waqt ke andar anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rakat beth kar parhi jati hen) esha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise esha ke foran baad parh liya jaye. Fajar ki nafila fajar se pehle parhi jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab parhi ja sake. Namaz shab ki, 8 rakat namaz shab ki niyat se 2.2 rakat kar ke parhi jati hen, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki neyat say parhi jati hen, is k baad aik rakat namaz-e-witr ki neyat say parhi jati he jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul-huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakhshish ki dua mangi jati hai. 3: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa sai shuru hojaata hai (yani maghrib-o-isha ki azaan ke waqt se subah ki azaan ke waqt tak baaqi rehta hai) lekin behtar yehi hai subah ki azaan k qareeb hi parhi jaye. agar koe shaks us waqt bedaar ho jub fajar tuloo horahi ho tou ada or qaza ki niyat k baghair namaz e shab ada kar sakta hai. or agar namaz e shab ka waqt baqi na rahe tu baad main qaza ki niyat sai ada kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Editon #41st, maslah #752,753, & 756 To 762) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14208
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa,fiqa e jafaria mai 5 waqt ki farz namaz kai sath jo sunnat aur Nafal phary jati hai us ki detail bta dai.juma mai bhi.jaxak Allah

Answer: 1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakat zohar ki, 8 rakat asar ki, 4 rakat magrib ki, 2 rakat isha ki, 11 rakat namaz shab ki, aur 2 rakat namaz subha ki. laikin Juma k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parhna behtar hai. 2: Mustahabat(nawafil) ka waqt muayin hai. jese Zuhar ki nafila zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen, or is waqt tab tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada karna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila asar se pehle parhi jati hen, or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-asar se pehle ada karna mumkin ho, Magrib ki nafila maghrib ke bad parhi jati hen or jahan tk mumkin ho ise magrib ke waqt ke andar anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rakat beth kar parhi jati hen) esha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise esha ke foran baad parh liya jaye. Fajar ki nafila fajar se pehle parhi jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab parhi ja sake. Namaz shab ki, 8 rakat namaz shab ki niyat se 2.2 rakat kar ke parhi jati hen, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki neyat say parhi jati hen, is k baad aik rakat namaz-e-witr ki neyat say parhi jati he jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul-huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakhshish ki dua mangi jati hai. 3: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa sai shuru hojaata hai (yani maghrib-o-isha ki azaan ke waqt se subah ki azaan ke waqt tak baaqi rehta hai) lekin behtar yehi hai subah ki azaan k qareeb hi parhi jaye. agar koe shaks us waqt bedaar ho jub fajar tuloo horahi ho tou ada or qaza ki niyat k baghair namaz e shab ada kar sakta hai. or agar namaz e shab ka waqt baqi na rahe tu baad main qaza ki niyat sai ada kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #752,753,& 756 To 762) 3: Namaz-e-Ghufaila Maghrib o Isha ki namaz kay darmiyan parhi jati hay. is ki pehli rakat main Al-Hamd kay baad kisi doosri surah kay bajaey ye ayat parhni zaroori hay. ( وَذَاالنُّوْنِ اِذْ ذَّھَبَ مُغَاضِبًا فَظَنَّ اَنْ لَّنْ نَّقْدِرَ عَلَیْہِ فَنَادیٰ فِی الظُّلُمٰتِ اَنْ لَّا اِلٰہ اِلَّا اَنْتَ سُبْحٰنَکَ اِنِّیْ کُنْتُ مِنَ الظّٰلِمِیْنَ فَاسْتَجَبْنَالَہٗ وَنَجَّیْنٰہُ مِنَ الْغَمِّ وَکَذٰلِکَ نُنْجِی الْمُؤْمِنِیْنَ۔ )aur doosri rakat main Al-Hamd kay baad bajaey kisi aur surah kay ye ayat parhay ( وَعِنْدَہٗ مَفَاتِحُ الْغَیْبِ لَا یَعْلَمُھَا اِلَّا ھُوَ وَیَعْلَمُ مَا فِی الْبَرِّ وَالْبَحْرِ وَمَا تَسْقُطُ مِنْ وَّرَقَۃٍ اِلَّا یَعْلَمُھَا وَلَا حَبَّۃٍ فِیْ ظُلُمٰتِ الْاَرْضِ وَلَا رَطْبٍ وَّلَا یَابِسٍ اِلَّا فِیْ کِتٰبِ مُّبِیْنٍ ) aur iskay baad qunoot parhay ,us main ye dua parhay ( اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ اَسْئَلُکَ بِمَفَاتِحِ الْغَیْبِ الَّتِیْ لَایَعْلَمُھَا اِلَّا اَنْتَ اَنْ تُصَلِّیَ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِ مُحَمَّدٍ وَّاَنْ تَفْعَلَ بِیْ کَذَاوَکَذَا) kaza wa kaza kay bajaey apni haajatain bayan karay aur iskay baad kahay ( اَللّٰھُمَّ اَنْتَ وَلِیُّ نِعْمَتِیْ وَالْقَادِرُعَلیٰ طَلِبَتِیْ تَعْلَمُ حَاجَتِیْ فَاَسْئَلُکَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِ مُحَمَّدٍ عَلَیْہِ وَعَلَیْھِمُ السَّلاَمُ لَمَّاقَضَیْتَھَالِیْ ). Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #763). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14288
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir fajar ki namaz agr room me parhain to usme 2 sunnah pehly parhyn gy ya sirf 2 farz e parhyn gy

Answer: Fajar ki nafal(sunnat) namaz e fajar sai pehlay perhi jati hai laikin agar koi shakhs subah ki nafal mashriq ki surkhi zahir honay tak na parhay to is surat mai behtr ye hai k pehlay subah ki namaz parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #760). (Note: Fajar ki namaz jahan bhi parhi jaye us ki nafil namaz alag se mustahab hai ). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!