Question: kia pent fold karne se namaz nahi hoti agar nahi to hadis ka hawala bhi digiye shukriya
Answer: Is se namaz batil nahe hote hai. Aur zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1113,776) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam, Kia pent fold kr k hm namaz ada kr skte hain
Answer: Libas ka pak hona zarori hai or tang libass main namaz parhna makrooh hai or fiqh jafaria k mutabik pent ko fold kr k namaz ho jati hai. aur namaz mai badan k dhanpnay k lie zaroori hai k mard chahae osay koi dekh bhi na raha ho namaz ki halat mai apni sharmgah ko dhanpain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tk badan bhi dhanpain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #786,853, 776 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia jalay hue kapron me namaz hu skty he mne suna hai k nhi hu skty plz ap mjy iska jwb de dn agr huskty hai tu thk hw n agar ni huskty tu detail me bata den k q ni huskty
Answer: 1)Namazi k libaas main 6 sharait ka hona zarori hay, in 6 sharait main ye koe shart nahi k namazi ka libaas jala hoa nah ho.Laihaza namaz main jala hoa libas perhenna jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 786) 2)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)
Question: Kya Namaz Baghair Topi Kay adda Ho Jati hai
Answer: Fuqaha karaam nay chand chezain namzi k libaas main mustahab qaraar di hain jin main se tehtul hanak k saath amama bhi hay.Laikin namaz main topi ka pehenna mustahab sabit nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 852)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam - agar larki ya aurat ko mukamal hijab yani hatoon ka rafayadain kartay waqt (namza) main chupanay ka maloom na ho aur namazeen parh li hoon toh kiya sub ki qaza ada karni hoogi
Answer: 1)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777) 2)Agar koi shakhs namaz k baad shak karay k doran e namaz is nai koi aisa kaam kia hai ya nahi jo namaz ko batil karta hai to o ski namaz sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1143 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Gilhari ki khal pehn kr namaz parhnay ka kia hokum hai?
Answer: Gilhari (squirrel) ki postan pehn kr namaz parhny mai koi haraj nahi hai laikin ehtiyat e mustahab ye hai k is k sath namaz na parhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 817)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia haf asteen me namaz ni parhna chiye or haf asteen me nam ho jae gi kia ? or pent ko flod kr sakte hen namaz ke waqt?
Answer: Namaz mai mard k lie zaroori hai k chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1113,776) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz main aurat ko kon kon say parts cover karnay chaiye aur agar namaz main shak ho k theek nhe parhi tu kia karna chaiye?
Answer: 1)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777) 2)Agar koi shakhs namaz k baad shak karay k doran e namaz is nai koi aisa kaam kia hai ya nahi jo namaz ko batil karta hai to o ski namaz sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1143)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia red tshirt mein namaz hujati he??
Answer: Jee han red t shirt mai namaz ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1113-1143)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam ... qibla mera app sai sawal hai k kya Shorts (jangya) mein nimaz hoti hai ?? ghutnay chupay huway hon ... !!!
Answer: Zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. Laikin shorts mai namaz ho jati hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 776) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).