Question: mujy ap sy pochna hy k ma job karti hon kia kisi male coleague k samny namaz parhna jaiz hy ya nai
Answer: Agar koe fasaad na paida ho raha ho aur haraam me bhi mubtala hone ka khouf na ho to mukamal hijaab sherhe k saath jis me foots (peron) ko bhi na-mehram se chupaana zaroori hai namaaz perh sakte hai.(Ref: Ayatullah khoie Tauzeehul masail 31st edition, maslah #898 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agr mard ke hath aur kandhe pr kpda nhi hai maslan jab wo banyan pehna ho toh kya uski namaz jaiz hogi ya kndhe aur hath dhkna zaroori hai.
Answer: Merd k liay namaz main sirif sharamgaah chupana zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #776). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya namaz main Half Shirt pehn'ne se namaz zaya hojati hai
Answer: Merd k liay namaz main sirif sharamgaah chupana zarori hay. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #796). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kea larki ki namaz trouser tshrt mai hojati hai
Answer: Jaiz hay. Laikin zarori hay k aurat namaz k waqt apna tamaam badan hatta k sar or baal bhi dhannpay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #777). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam o alaikum, sir aurat apne jism ka kaunsa hissa namaz mai khula rakh sakti hai jisay na mehram se chupana zarori hai
Answer: Aurat namaz main faqat chahra, kalaeyo tak hath or takhno tak pao khula rakhsakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #777). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia namaz k doaran sar dhanpna zrori hy mard k lye??Kia topi sar py na leny sy namaz pakrooh ho jati hy kia?
Answer: Namaz k doran sar dhanpna wajib nahi hay, berhana sar namaz perhna nahi makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #863). Update on dated 10-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai namaz prh raha hota hon to meri billi jayenamaz pr a jati hai....kya namaz qubool hogi?
Answer: koe haraj nahi, Agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail jaame, part#1, maslah #995). Update on dated 13-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya without underwear k namaz ho jati h?
Answer: Mard k liye zaroori hai chahay usay koi na bhi daikh raha ho namaaz ki haalat mai apni sharam gaah ko daanphay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 776). [Updated on 31-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mazi kapry py lagny sa kapry napak ho jay ghy? Pher nmaz parny k lia us kapry ko dhona zaruri ho gha ya mazi lagi hua he kapro sa nmaz par sakty hn?
Answer: Mazi paak hai or kaprho ko paak karnay ki zaroorat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 70). [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aoa mera ye sawal hai agar zyada mard ghar main hon to kia namaz ho jati hai
Answer: Ji haan hojati hay lekin aurton k liay behtar hai keh namaz aisi jagah parhain jo namehram sy mehfoz ho. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 881) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]