Question: Agar billi wha so jae jaha quran or janamaz rakhi h to kya billi ko hata dena chahie ?
Answer: Usay hatana zarori nahi hay or agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail jaame, part#1, maslah #995). [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar aurten bra yani shameez nahi pahne to kya namaz nahi hogi
Answer: Namaz kay waqt Aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur Ehtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaye, lihaza agar aurat chadar is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hay laikin ye yaqeen hasil karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray kay atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #777 ). (Note: Is se namaz men koi faraq nahin parta, namaz sahi gi ). [Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia paseene wale kapre mein namaz ho skti he? Mjhe bht paseena ata he baar baar nahana kapre badalna mushkil he..
Answer: Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. aur pasine wala libas najis nahin hota lehaza pasine wale libas men namaz parhna saheeh hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #787). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salaam walekum Kya mard shorts pehen kr namaz parh sakty hai aur t-Tank shirt pehen kr bhi namaz parh sakty kia.
Answer: Zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahon ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnon tak badan bhi dhapain. Aur shorts aur t shart mai namaz ho jati hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #776). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz k wqt sir pr kprey ki topi rkhna kesa hy rkhni chhaye ya nahi
Answer: Koi haraj nahin hai, Rakh sakte hain, albatta Fuqaha e karaam(r.z.a) namazi ke taht-ul-hanak ke sath amama pehenne ko mustahab shumaar karte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #852). [Updated on 11-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam un alike. barah e karam ya wazahat kar dxain k agar piles ki bemari ki waja sa agr maqam e pakhana sa khoon niakalty huay tangon pa lag jaiy tu kia insan napak hojata ha kia namaz ko baja lanay k liay pak hona zauri ha. Allah apki tufiqat mai mazeeed izafa karay.Shukriya
Answer:
Question: Assalam o Alikum mera sawal hai k kis nay aap say ye sawal kia k kalay kapray penhana kaisa hai khas kar muharram me aap ka jawab tha k ye na pasandida fail hai... aap is ki reson bata k guid karain , kala golaf to kaba k b hai or hamary paisha imam b kala cover phenty hain namaz k time aap b phenty hain
Answer:
Question: ref question id #23814 (Ref : Ayatullah sistani(d.b),Tauzeehul masail, maslah # 853). Is maslay mai aqa sistani ne apna fatwa bayan nahi kia hai bal k dosray (mujtahideen) foqah e karam ka qoul naqal kia hai yani namazi k libas mai kalay libas ka makrooh hona dosray (mujtahideeb) foqah e karam k fatway k mutabiq hai ayatyllah sistani d.b. k mutabiq nhi hai. aqa aaasistani ka fatwa wohe hai jo bayan ho chuka hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Mere swal yeh ha main bohat confused hogaya hu ap es jawab k baad kia ye aqa sistani ka fatwa ha ya nahi?, Because agar unho ney dosray (Mujtahideen) ka qoul naqal kia ha toa es ka matlab yeh nahi ha k aqa sistani ka fatwa different ha, haan agar different ha to us ka reference kahan ha? un ka reference(Fatwa) kahan ha? mere pass unki official website english version main clear cut reference mojod ha ap parh sakte hain jis main makrooh cheezo ka zikar ha aur wo bhi kisi aur mujtahid k mutabiq nahi aqa sistani k mutabiq ha http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2211 Makrooh things Certain Items are Makrooh for the Dress of One who Prays: 874. To wear a black, a dirty, or a tight dress, or to put on a dress of a person who is a drunkard, or of one who is careless about najasat. Similarly, to wear a dress which has images printed or drawn on it, to keep the buttons open, to wear a ring which has images engraved on it. kindly meri rahnumai karain allah ap ko jaza de Regards Ali Raza
Answer: