Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aassalmu alaikm,kia namaj kapra na pehne se hota hai ?

Answer: Zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #776) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6060
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya frmaaty hain olama ekaram es masalah k bary me. Agar aik admi k pass kapry ni hain to baghair kpry k namaz jayze hi k ni agar hi kitny hd ke qaid hi kpra na hony ke plzz jldi jawab dein

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jab insan k pas namaz parhnay k lie libas na ho to ehtiyat e mustahab ki bina par namaz mai apnay aap ko ghas phons aur darakht k paton sai dhanp sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 782)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7066
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Kapde Par Khoon Laga Ho , Aur Namaaz Ka Waqt Nikal Raha Ho Th Us Soorat Mai Humien Kya Karna Chahiye ?

Answer: Mard ko chahiye agr ose koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai (kamaskum) apni sharamgahon ko dhapen aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #776) Agar kise k badan ya libas per dirham ki miqdaar se kam (insaan ka) khoon lag jaay to wo is halat me namaz perh sakta hai aur ehteyate wajib ye hai k dirham ki miqdaar anghote ki upper wali gerha k barabar samaje jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 835) Agar kise k pass namaz ka waqt itna baqi ho jis me srif tayumum he kiya jasakta ho hatta k is k pass is qadar waqt bhi na ho jis me apne jisam se nijasat door ki jasake to aise surat me tayumum kar ke nijasat k sath namaz perhna jaiz hai. Jab waqt itna kam ho k agar aik shakhs wazu ya ghusal kare to sare namaz ya is ka khuch hissa waqt k baad perha jasake to zarore hai k (namaz k lye) tayumum kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 664) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Someone said to me that namaz can not be offered in black cloths other than ayyaam e aza, is this true? kindly reply

Answer: G nahi black kapre pehnna makrooh nahi hai chahe ayyam-e-aza hon ya na ho. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se poochhe gaye sawalat , Part # 2, Ques # 02 (Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7262
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam Mera sawal ye hai ke mard kitne wazan chandi(silver) ki Ring Angoothi Pehn sakta Hai jawab inayat farmaien tahnks

Answer: Mard k lie sona ( gold) pehanna haram hai aur k sone ( gold) k ilawa dosere instrument maslan chandi ring istemaal karna jaiz hai (is men koi miqdar moyan nahi h).( ref: sistani .org, urdu, zenat, que, 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7578
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ulta kapde me namaz hoti hai. . . Quran me iska zikar hai

Answer: G han koi harj nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 786 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7663
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam alaikum ...mera sawal ye hai ke aur ya mard underwear pene bagai lungi ya sadi me ya kisi bhi kapdome agar namaz pade to hoti hai kya???

Answer: merd k liay zarori hai k namaz main apni Sharamgaah ko kisi bhi cheez say dhaanpay aur behtar ye hai k naaf say gutno tak badan bhi dhapain. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#776)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7873
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam.alaikum.mera sawal.hai k kya bagir underwear k wuzu jayaz hai aur kya bagair underwear pehne namaz padh sakte jai

Answer: Wssalam o alykum, Wazo jaiz hai, Ager under ware ke ilawa pore kapre pehne hon to bger underware k bhi phar sakte hain(wajib miqdar namaz men badan ko chupane ki faqt sharamgaah ko chupana hai).(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # after 128 to 142 , before 517, eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia orat ki nakab main namaz ho skti hy jb kh koe namahram bhe mojood na ho??

Answer: G han jaiz hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 777 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8021
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sar pe topi rakhy bina namaz ho jati ha k nai?

Answer: G han ho jaati hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #786 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!