Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maira question hai k kya us jagha per sijdah sahe hai jiss k agay zuljanah ya kisi aur terha ke Islamic shabi bane hue ho.

Answer: Jee haan aap os jagah namaz perh saktay hain.Laikin aisi jagah namaz perhna makhrooh hay jis gagah photo ya mujasmay ho chahay nanamzi k saamne nah ho .(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 854-886). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3836
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat ka masjid main namaz pahna jaez hy????? agr hy to AHADEES ka hawala zroor dyn....

Answer: Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Auratoo k lie behtr hai k namaz aisi jigha parhain jo na mehram sai mehfoos honay k lehaz sai doosri jagha sai behtr ho chahe wo jigha makan ho ya masjid ho ya koi aur jigha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 880-81 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4038
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu aalekum kya miya aur bivi ek sath mager fasle per namaz padh sakte hai.maslan tahajut

Answer: Ehtiyaat e lazim ki bina per merd o aurat ka aik sath baraber main kharhay ho ker namaz perhna sahi nahi ya aurat ka merd se agay kharhay hona bhi sahi nahi .balkeh lazim hay k aurat merd se kam se kam itna pechay kharhri ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main merd k dono guthno k baraber ho. Or ehtiyaat e mustahab ye hay k aurat k sajdagah merd k pechay os k kharhay honay ki jagha per ho.ya merd o aurat k demiyaan ko rukawat ho ya dono k dermiyaan 10 hath(460 cm / 4.50 meter) se ziyada faasla ho. Or is maslay main mehram or na-mehram ka koe farq nahi or shohar or bivi main bhi koe farq nahi, laikin ye hokum baligh afraad se makhsoos hay. Or ye faaslay ka hokum halat e ikhtiyaar se makhsoos hay. Or halat e majbori(iztiraar) main koe haraj nahi or isi terah makkah e mukarramah k hujoom main bhi koe haraj nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mainhaajus saliheen,part#1, maslah #545 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4852
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia us jaga nmaz ada ho sakti he jhan tasaveer hn

Answer: Jis jagah jaandaar ki photo ho chahay wo namaz perhne walay k saamnay nah ho, wahaan namaz perhna makhrooh hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5001
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kon sa amal kartay hovay namazai ky agay sy guzarna jaiz ha?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Namazi k aagay sai ghuzarnay mai koi haraj nahi hai albetta agar koi shakhs logo ki ghuzarnay ki jigha par namaz parh raha ho ya koi aur shakhs os k samnay khara ho to namazi k lie mustahab hai k apnay samnay koi cheez rakh lai aur agar wo cheez lakri ya rassi ho to bhi kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 887)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: masjid may bina wazu anai jayaz hai.

Answer: Baz fuqha nai farmaya hai k masjid mai janay k lie wazoo krna mustahab hai. laikin Ayatullah Sistani(d.b) k nazdeek is mai wazoo ka mustahab hona sabit nahi hai. albetta agar koi shakhs mustahab honay k ehtimal k sath wazoo karay to wazoo sahi hai aur is wazoo k sath har wo kam kar sakta hai jo ba-wazoo ho kar karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mai yeh janna chahata hoo ki kya Saas Apne Sage Damad Ya dewar k samne namaza Pad sakti Hai

Answer: Kisi insan k maqabil mai namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5694
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aurt khuly asman k nichy namaz parh sakti hy ?

Answer: Aurat k lie behtr hai k namaz aisi jigha parhay jo na mehram sai mehfooz honay k lihaz sai doosri jigha sai behtr ho chahae wo jigha makan ya masjid ya koi aur jigha ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 881)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5911
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mard ka farz namaz ghar pe parhne kesa hai namaz hijati hai

Answer: Namaz ghar mai bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Is k alawa masjid mai ziada jana chaheay aur os masjid mai jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid k paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi na ho to os k lie masjid k alawa kisi aur jigha namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 880-884)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5916
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya muhram Maa Bhai Behan ek hi room main ek sath namaz par sakty hain

Answer: 1)Jab bhi mard or aurat aik sath namaz perhna chahain tou ehtiyat e lazim ki bina par zarori hay k aurat mard se kam se kam itna pechay khari ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main mard k dono guthno k baraber ho.2) Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khari ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain , yehi hokum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.3) Agar mard aur aurat aik dosray k baraber kharay hon ya aurat aagay kheri ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyan diwar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il(maujood) ho k aik dosray ko nah daikh sakain ya on k dermiyan 10 hath se ziada ka fasla ho tu dono ki namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 874 and 875) note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat bhai behan hon ya maa beta ho ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!