Question: Asslamu-alaikum--Mera ques hai ke mard or aurat 1 sath bethkar namaz padh sakte hai ya ni.. agr ni too kyu ni iski vjhaa kyaa hai.. Khuda Hafiz.
Answer: 1)Jab bhi mard or aurat aik sath namaz perhna chahain tou ehtiyat e lazim ki bina par zarori hay k aurat mard se kam se kam itna pechay khari ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main mard k dono guthno k baraber ho.2) Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khari ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain , yehi hokum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.3) Agar mard aur aurat aik dosray k baraber kharay hon ya aurat aagay kheri ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyan diwar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il(maujood) ho k aik dosray ko nah daikh sakain ya on k dermiyan 10 hath se ziada ka fasla ho tu dono ki namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 874 and 875) note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat sohar aur biwi hon ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Namaz jaga Badel Badel k parho a k qayamat k roz wo jaga b bayes e magfirat ho skti h.. Es baat mai kitni Sachae h or agr sach h tu kahan ye likha h koun c Hadith h ayat h ya rawayat h? Kindly infom me
Answer: Mustahab hay namaz ko mukhtalif maqamaat main perha jay takeh wo zameen qiyamat k din os shaks ki gawah ban jay. Hadees main hay rawi ne sawaal kia hay aba abdillah (a.s) shaks apni nafil namaz ko aik jagha perhe ya mukhtalif maqamaat per tu aap(a.s) ne fermaya k: nahi balkeh yahaan or wahan(yani mukhtalif jagho per) pas ye jagha tere liay qayamat main gawah ban jay gi. Or inhi(a.s) se riwayat ki gae hay k : masjid main mukhtalif maqamaat per namaz perho, pas qiyamat k din har maqam namazi k liay namaz perhne ki gawahi day ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), urwatul wusqa, part#2, maslah #1382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: zarori hai k khanakaba k under har rukn k mutabik do rakat phari jay
Answer: Khana e kaba k ander har rukun k muqabil 2 rakat namaz perhna mustahab hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 879). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Jis Room Main Tasveer lagi ho wahan nimaz Q ni hoti
Answer: jis jagha photo ho khah wo namaaz perhne wale k saamne nah ho namaaz perhna makrooh hai laikin namaaz sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #885 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mai jis jaga namaz parhti hun wahan aksar aik powder ( face powder ) rakha hota hai jis par aik shakal bne hai mai us ko hatana bhool jati hun tw kya mere namaz hojati hoge ? ... lekin wo powder ka dibba mre pechy hota hai agay nae
Answer: Jis jagah jaandaar ki photo ho chahay wo namaz perhne walay k saamnay nah ho, wahaan namaz perhna makhrooh hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya kisi fasad kii jaga par namaz padna jayaz hai ya nahi
Answer: Zarori hai k insaan aise jagha namaaz perhe jaha namaaz pure perhlene ka ehtemaal (chance) ho laikin agar kise aise jagha umeed ki niyat se namaaz perhe jaha ise itmenaan ho k maslan hawa aur baarish ya (lougo) ki waja se waha pure namaaz na perh sake gha ittefaaqan se pure namaaz perh le to jaaiz hai or namaz bhi sahi hai.agar kohe aise jagha namaaz perhe jaha thehrna haraam ho maslan kise aise chat (roof) k neche jo anqareeb girne waali ho to wo ghunaghaar hoga laikin namaaz sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah # 870,masla 870) namehram mard aur aurat ka tanhaai me aik aise jagha hona jaha ghuna me mubtela hone ahtemaal(chance) ho haraam hai. aur ehteyate mustahab(behter ) ye hai k aise jagha namaz na perhe (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #876 ) jis jagha ghaana ghaaya jaata ho ya haraam mouseqi bajaai jaati ho waha namaaz perhna baatil nahe hai laikin in ka sunna aur istemaal karna ghuna hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 877) roads aur ghali koche me agar ghuzarne waalo k lie baais zehmat na ho to namaaz perhna makroo hai aur agar in louqo ko zehmat ho to in k raaste me rukaawat daalna haraam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kisi aur ki zamin par bagair e jazat namaz pad sakte hai kiya
Answer: Kise ki jaadaad( maqaan, ghar waghaira ) me namaaz perhna us surat me jaaiz hai jab k maalik wazaahat se namaaz perhne ki ijaazat de ya maalik k raazi hone per dosere wujuhaat ki bina per itmenaan rakhta ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #865 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Foam (gaddy) py namaz jaiz hai? un logo ny lie jo zamen py bheth nae sakty kisi takaleef ky wajh se?
Answer: Agar is per hile jule baghair nah reh ker namaz nah perh sakte hoon tu namaz batil hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #869). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya kesi chalti hoe train me Nmaz parh skty hen
Answer: Zaruri hai keh namazi ki jagah wajib namaazon mein aisii na ho keh neez harkat namaazi ke khade hone ya ikhtiyaari ruku aur sajud karne mein man’e ho balkeh ehteyaat-e-lazim ki bina par zaruri hai keh os ke badan ko sakin rakhne mein bhi man’e na ho aur agar wo waqt ki tangi ya kisi aur wajah se aisii jagah massalan bus, truck, kashti ya railgadi mein namaaz parhe to jis qadr mumkin ho badan ke thhera’o aur qible ki simt ka khayaal rakhe aur agar transport qible se kisi dusri taraf mud jaay to apna monh qible ki janib mod de. Agar mukammal taur par qible ka khayaal rakhna mumkin na ho to koshish kare keh 90° se kam ikhtelaaf ho agar yeh bhi mumkin na ho to sirf takbeeratul haraam kahte waqt qible ka khayaal rakhe aur agarche yeh bhi na ho sake to qible ka khayaal rakhna zaruri nahin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #867). Update on dated 20-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aurat mard se pahle namaz padh skti hbkya mane azan hote hi Namaz pdh skti h ya Mard padhkr aye uske baad
Answer: Jee haan aurat mard say pehly namaz parh sakti hy, agar wo dono aik jagah namaz parh rahy ho to Ehteyaat-e-lazim ki bina par zaruri hai keh aurat mard se kam se kam itna pechhe kharhe ho keh sajda karne ki halat mein mard k do zano k barabar faasle par ho. Or Agar koe aurat mard k barabar ya aage kharhi ho aur dono aik hi waqt namaz parhne laggain to Ehtiyaat-e-wajib ki bina par zaruri hai keh namaz ko dobara parhjaey. Yehi hukum hai agar ek, dusre se pahle namaz shuru kar de. Or Agar mard aur aurat ek dusre ke barabar kharhe hoon ya aurat aage kharhi ho aur dono namaz parh rahe hoon laikin dono k darmiyaan deewar ya pardah ya koe aur aisi cheez ha’el ho keh ek dusre ko nah dekh sakagaey ya on k darmiyaan das haathh se ziyadah faasla ho to dono ki namaaz sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #874/875/786)+ (https://www.sistani.org/urdu/qa/17522/). Update on dated 18-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).