Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9986
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi Namaz parh raha ha aur billi jaiyenaymaz Kay Barbar main baithe hue ha tou namaz hue ya nahe

Answer: Jee namaz sahi hogi. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #812/813 ) Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10004
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: tasveer wali shirt pahan kar namaz ho sakti hai?

Answer: Fuqahaa e karaam is ko makrooh maante hai k namazi k libas per jandaar ki tasveer ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 852).khuda aap ko uloom e aale muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaaye. [Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10195
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aise office mai job karna jaiz hai kya jha namaz ki ijazat na hoo.

Answer: w.salam agar job karne k wajah se namaz qaza hoti ho tu phir is jagah jaiz nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5). Update on dated 11-05-2015. [Updated on 03-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aurat mard k pichy namaz ada kr skti hai?

Answer: Jee aurat mard k peeche jamaat ada kar sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#1414) [Updated on 04-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10869
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sir mjhy ye pchna ha k js jga camera lga hoa wa o whn nmz prhna jaiz ha Kiya?

Answer: Aurat k lie behtr hai k namaz aisi jagah parhay jo na mehram sai mehfooz honay k lihaz sai doosri jigha sai behtr ho chahae wo jagah makan ya masjid ya koi aur jagah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 881) [Updated on 06-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12120
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-alaikum Saf almari me Jota ho or wo samne ho Toh namaz ho jati h k nhi

Answer: Jee haan aisi jagah namaz perhna jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #885). [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13310
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya towel ya woh kapra jis se hath mouh dhone ke bad saaf karte houn ... Un kapron par namaz parna jaiz hai ya nahi

Answer: On kaprhoon per namaz ho sakti hay Q keh wo najis nahi hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah after 873 5th shart). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13466
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alaikum ...agar koi samnay soya ho ya leta ho to kia namaz ho jati hy...?

Answer: Jee han, parh sakte hain lekin kisi insan k maqabil mai namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14560
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aik jgha jahan pr phle washroom hua kerta tha. lakin ab wahan room bnaya gaya hai naya grh bnaty wkt. to kya us room mn namaz jaiz hai?? Us jgha namaz parh skty hain???

Answer: Jee han, jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, After Maslah #873, and 885). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14907
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jis room me zana ya najast giri ho us room me namaz par skty haun?

Answer: Jis jagah namaz parhi ja rahi hai agar wo wahi jagah ho jahan nijasat giri hai to agar nijasat khushk ho gayi ho (is tarah se ke namazi ke badan ya libaas ko touch na kare) to parh sakte hain. aur agar jahan nijasat giri hai wo jagah koi aur hai or jahan namaz parhi ja rahi hai wo jagah koi hai har soorat men parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sisitani(d.b), maslah #1046). [Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!